Part -3

474 45 6
                                    

Mahajan family ladke walo ka wait kar rahi thi. Thodi der me ladke wale (khanna) wahan pahunchte hain.

Pradeep - Aaiye bhaisahab bas aapka hi intzaar kar rahe the ham log.

Monami, Koel sabko namste kahti hain aur Khanna sahab ke bete aur ek beti bhi Mahajan ko namste kahte hain.

Pradeep - aaiye wahan chalkar baithkar baatein karte hain.

Kuch der baad Khanna aur Mahajan Monami  aur ladke (Vihan) ko aapas me baat karne ko bolte hain.

Pradeep - Beta aap dono jao thoda ghoomkar aao aur jo bhi baatein karni hai aapas me kar lena.

Monami aur Vihan aapas me baatein karte hue wahan se thoda door aa jate hain jahan aaspas kam log hote hain. Tabhi wahan kuchh badtameez ladke Monami ko galat nazar se dekhne lagte hai. Monami unko notice kar leti hai aur Vihan ko lekar wahan se jaane lagti hai. Wo log unka rasta rok lete hain aur unhe gher lete hain. Unme se ek Monami ka haath pakadne ki koshish karta hai ye dekhkar Vihan unhe rokta hai but wo Vihan ke sath marpeet shuru kar dete hain jisse darkar Vihan wahan se bhagkar guard ko aur gharwalon ko bulane chala jata hai.
     Idhar Monami akeli unn logo ke beech khadi hoti hai. Ek ladka aakar Monami ka duptta khinchne ki koshish karta hai but....but Monami usko zordar chanta laga deti hai. Tabhi ek ladka door se ye sab kuch dekh leta hai. Wo badtameez ladke Monami ke sath zabardasti karne lagte hain. Wo ladka wahan se sab Kuchh ignore karke ja raha tha but tabhi uska man badlta hai aur wapas lautkar aa jata hai. Wo ladka unn sabko mar markar wahi dher kar diya. But uss fight me uska Mask hat jata hai aur Monami dekhti hai ki use bachane wala koi aur nahi balki...............................................................................balki Karan Shergill hai. Use vishwas nahi ho raha tha jis insaan ke bare me usne itna kuchh bola, aaj usi insaan ki wajah se wo safe hai. Monami dheere se aage badhti hai aur Karan ka Mask fir se use pahna deti hai. Uski ungaliyo ka touch Karan ko infact dono ko ek dusre ka wo touch ek different feeling deta hai. Wo dono kuchh minutes ke liye ek dusre ko dekhte hain aur ek dusre me kho jate hain. Kuchh minutes baad sabhi gharwale aur kuchh guards wahan aate hain aur Monami Karan wapas real world me aa jate hain.

Pradeep - ( to guard) bahar nikalo in logo ko. Samajh nahi aata aise logo ko aap ander kaise aane dete hain.

Itne Karan wahan se chala jata hai aur sab dekhte hain ki wo sare badtameez ladke dard se karahte hue zamin par pade hain. Vihan Monami ke pas jata hai aur puchhta hai ye sab kisne kiya. Monami jawab dene wali hi thi par wo dekhti hai ki Karan wahan se ja chuka hai. Ye dekhkar Monami kahti ki ek achhe insaan ne sahi samay par aakar use bacha liya par ab wo yahan nahi hai.

Rekha - Beta tu theek to hai na. Kuchh hua to nahi na tujhe.

Monami - Main thik hun MAA. Aap bilkul tension mat lijiye. (To guards) aap log please aise logo ko yahan aane ki permission na diya karein.

Guards - Sorry Ma'am, sorry sir. aage se iss tarah ki galti nahi hogi.

Khanna- Chaliye Bhai sahab ab ham log bhi chalte hain. Baithkar baatein karte hain.

Koel - Ek minute Uncle, kya ham family members kuchh der ke liye akele me baat kar sakte hain?

Khanna - Huh... Ha ha kyun nahi. Aap log batein kijiye ham log tab tak palace ghoomkar aate hain.

Koel sabko lekar side me chali jati hai.

Pradeep - Ye kya tarika hai Koel, mehmaano ke samne aise ham sabko yahan le aayi akele me baat karne. Tumhari jo bhi baat hai wo baad me nahi ho sakti thi kya?

Koel - Papa itna to aap bhi jante hain ki apki beti koi bhi baat yuhi to nahi karegi. Baat zaroori hai tabhi yahan laayi hun aap logo ko.

Ye sunkar Pradeep shant ho jate hai. Monami abhi bhi Karan ke bare me hi soch rahi thi.

Koel - Papa main bas itna kahna chahti hun ki ladke ke bare me koi bhi decision lene se phle uski harkate dhyan me rakhiyega. Jo ladka 2 thappad khate hi Monu ko unn ladko ke beech akele Chhorkar chala aaya. Usse Monu ka rishta na hi ho to hi achha hai. Please 🙏

Pradeep - Par wo poori tarah se galat bhi to nahi beta, wo bas help lene hi to gya tha use Chhorkar.

Koel - Par wo kisi tarah koshish karke  Monu ko bhi sath lekar bhag sakta tha. Magar usne aisa nahi kiya. Kya hota agar wo ladka wahan sahi waqt par Monu ki help ke liye nahi aata. Socha hai aapne? Aur tu Monu aise chup kyo khadi hai kuchh to bol.

Monami - Huh ..ha kya hua? Kuchh kaha tune?

Koel - Monu tu thik hai na... kuchh pareshan sa... Kuchh kiya to nahi na tujhe unn logo ne....koi chot wagaira...

Pradeep - Ha Monami tum sach me theek ho na..

Monami - Ha Papa, Koel main theek hun. Don't worry.

Pradeep-  Monami tum kya kahti ho ladke ke bare me...I know wo tumhe wahan akele Chhorkar chala aaya jo use nahi karna chahiye tha but point to ye bhi hai ki wo tumhare liye hi help lene aaya tha. To koi bhi decision lene se phle ek baar soch lena.

Monami - (after a long pause ) Papa mujhe thoda time chahiye..

Pradeep - Thik hai beta. Mujhe tumhari baat se koi problem nahi. Infact achha hai jaldbazi karna sahi nahi. Main bas ye chahta hu ki meri beti ko ek achha jivan sathi mile.

Ye sunkar Koel aur Monami Pradeep ko hug kar leti hain. Rekha ye dekhkar bahut khush hoti hai.

Don't forget to vote nd share ur views. Keep showering ur love guys.
Happy reading☺️

From Darkness To Light Where stories live. Discover now