Part 11

329 35 6
                                    

Karan aur police sab milkar jungle me dhudhne lagte hain. Unhe bahut andar jakar door se ek tooti hui jhopdi dikhti hai. wo log wahan jakar dekhte hain but wahan bhi kuchh nahi milta tabhi Karan ki nazar uss jhopdi me rakhe ek vase par jati hai jo ek dam naya dikhta hai.

Karan - Ek minute ye itni purani tooti jhopdi me ye naya vase kya kar raha hai. ( Karan us vase ko hatane ki koshish karta hai jisse wahan secret room ka darwaja khulta hai jo neeche Tahkhana me jata hai )

Inspector - Ye to secret room hai. Constable jakar dekho.

Constable - Ji sir.

Karan - Rukiye, main khud jakar dekhna chahta hoon.

Inspector - Sir.

(Parallel scene)

Rajesh - Monami... Monami... Monami...my baby...

Monami - Um...umm ?
( Monami ko aankh par kali patti lagakar chair se bandhkar aur muh par tape chipka kar rakha hua hai. Rajesh uske muh se tape hatata hai) K..Kaun ho tum? kahan lekar aaye ho mujhe?

Rajesh - Oh c'mon Monami, mujhe tumhari ye baat bilkul pasand nahi aayi. Main tumse itni mohabbat karta hoon par tum to mujhe pahchan hi nahi rahi...tumhe na iski saza milegi... Rajesh Shergill ko apni baat manwana achhe se aata hai...n you know what darling uske baad tum mujhe kabhi nahi bhool paogi.

Monami - Ra... Rajesh uncle.

(Rajesh Monami ke pas jakar use galat tarike se chhune lagta hai)

Monami - Chhodo mujhe...main Karan ko... Sooraj Uncle ko, sabko bata dungi ki aap kitne gire hue insaan hain.

Rajesh - Bata dena lekin pahle main wo kaam to kar lu jiske liye main tumhe yahan laaya hun.

( Ye kahkar Rajesh Monami ko jabardasti kiss karne ki koshish karta hai )

Monami - Chhodo... Chhodo ( Monami Rajesh ko pair se dhakka deti hai aur zor zor se aawaz lagati hai ) Bachao Bachao koi hai...

.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.

Idhar Karan jaise hi tahkhane me jata hai tabhi use Monami ki aawaz sunayi deti hai. Wo bhagkar uss Room ki taraf jata hai tabhi kuchh goons rashte me aakar use maarne lagte hain but fir wahan police aa jati hai aur unko pakad leti hai.

Dusri taraf Room se fir se aawaz aati hai

Monami - Chhodo mujhe... chhodo...

Karan daudkar uss Room ke darwaje ko todta hai but wahan bhi use kuchh nahi milta tabhi uski nazar peeche wale darwaze par jati hai. Karan bhi usi darwaze se bahar aata hai to dekhta hai Rajesh Monami ko jabardasti apne sath le ja raha hai.

Karan - Monami..

Rajesh Karan ko dekhkar bhagne ki koshish karta hai but police use pakad leti hai.

Karan Monami ko hug kar leta hai.

Karan - Tum theek ho? Kahi chot to nahi lagi aur gaal pe ..... Unki itni himmat... (Karan gusse se Rajesh ko marne jata hai but wo dekhta hai ki Monami ne uska hath pakada hua hai. Uski aankhe mano Karan ko rukne ke liye kah rahi ho)

Karan - Inspector aap inhe lekar jaiye main thodi der me wahan pahunch raha hoon.

Inspector - Sir.

( Karan Monami ko dusri gadi me baithata hai. Monami abhi bhi sadme me thi )

Karan - Monami... Monami.... Thoda loudly Monami...

Monami Karan ki taraf dekhti hai aur use tightly hug karke zor se rone lagti hai.

Karan - Monami... Monami meri taraf dekho...see...sab theek hai... kuchh nahin hua.. main tumhe kuchh hone hi nahin dunga..kabhi bhi nahin..hmm? Bharosa karogi mujh par?

Monami fir se ek chhote baby ki tarah use kaskar hug kar leti hai.

Monami - I do...I do

Uske baad Karan Monami ko uske ghar chodne jata hai.

Pradeep - Are Karan beta tum yahan?
Monami se milne aaye ho?

Karan - Ji Uncle, wo darasal yahan Papa ke ek friend ne party organise ki hai to wo chahte the ki main unhe join karu. Agar aapki ijazat ho to kya main Monami ko bhi apne sath lekar ja sakta hun...umm isi bahane hame thoda time mil jayega ek dusre ko samajhne ka aur wo bahar jayegi to use bhi achha lagega. Monami kya tum..?

Monami nodded in positive.

Karan (Monami ke chehre ko dono hatho se thamkar ) - Agar tum poori tarah taiyar ho to

Monami uthkar chali jati hai aur thodi der baad do dresses ke sath bahar aati hai. Mr. Mahajan muskura chale jate hain.

Monami to Karan - Ye saree pahnu ya kurti ?

Monami to Karan - Ye saree pahnu ya kurti ?

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
From Darkness To Light Where stories live. Discover now