Truth revealed.

100 12 13
                                    

Male Narrator:

Kehete hai galti karna jitna aasan hota hai uss se kaiee zyada mushkil hota uss galti ki maafi maangna aur uss se bhi zyada himmat ka kaam hai sach bolna.
Aur mujhe toh dono he Kam karna tha, pehele toh mujhe Naina ko Sach batana tha aur uske baad mujhe uss se maafi magni thi.
Ab sach bolne ki himmat toh mai juta chuka tha par sawal ye tha ki kya Naina Mujhe maaf karengi?
Kya mai Naina ka Bharosa dubara Jeet pauga?
Kya mai Naina ko phir se meri Naina Bana pauga?
Ye sab sawal mere dimag mein aise daud rahe the jaise derby ki daud mein ghode daudte ho.

The narrator starts laughing.

Aur iss chakkar mein mere samne rakha khana meri halak se he nahi utar Raha tha aur Naina bechari ye soch kar dar rahi thi ki kahi meri sehat toh kharab nahi hogaiee thi?
Aur uski iss fikar ne mujhe ye ehsaas dilaya ki Naina mujhse kitna pyaar karti thi aur iss ehsaas ne mujhe aur bhi Sharminda kar diya tha.

Naina: Sameer kya hua? Tum kuch kha kyu nahi rahe ho?
K..kahi tumhe thand toh nahi pakad li?

Preeti: Abhi tak toh theekh the ... Achanak kya hogya tumhe?

Naina: aur ye kya? Itni thand hai aur tumne sweater bhi nahi pehen rakha... Tabiyat toh kharab hogi he na!

Swati: Munna Pandit tum log apne dost ko samjhate kyu nahi ho?

Munna: Kya Batau Fork wala Pandit tujhe ... Hum toh samjha samjha ke thak gaye hai isse ... Vaise ajj bada Sundar lag raha hai tu!

Swati and friends rolled their eyes.

Sameer: Naina..Naina tum logo ko itni tension lene ki zarurat nahi hai. Mai theekh hu.
Aur rahi baat iss sweater ki toh mujhe tumhe kuch batana hai aur uske baad mai ye pehenuga.

Naina: kya batana hai?

Sameer: pehele tum sab khana Khao uske baad batuga.

Munna Pandit got worried while all started having their meal.

Sameer slowly slowly started taking bites looking at Naina who was Giggling with her friends and her huge smile smeed like a magic.

Sameer:(pov) kya haq hai mera Naina ki ye muskan cheen ne ka?
Kya haq tha mera uska dil dukhane ka khayal tak apne dil mein lane ka?
Naina...jab mai tumhe sach batauga...kya tum mujhe maaf kar paogi?
Kya hum kabhi phir se yun ek saath baith kar khana kha payege?

Sameer was blankly looking at Naina when Naina looked at him.

Naina: Kya hua Sameer? Tum mujhe aise kyu dekh rahe ho?

Preeti: are tere alawa aaj kal isse kuch dikhta kaha hai ...kyu Sameer?

Preeti winked at him.

Naina Blushed and still Sameer was blankly looking at her.

Naina: Sameer... Ab toh khana bhi ho gaya...batao na...tum mujhse kya kehena chahte the?

Sameer: sab batauga Naina...par yaha nahi

He looked towards a corner where there was no one.

Sameer: wahan...aur t..tum sab bhi chalo please.

Naina: I..inki kya zaroorat hai? M..mera matalab hai ki...

Swati : iska matlab hai ki agar hum saath rahenge toh ye tumse pyaar bhari baate keh nahi payegi na hmm hmm?

Naina looked down while blushing and Sameer looked at her.

"Naina, please... Ye baat bohot zaroori hai" Sameer spoke making them realise that how serious was he.

He walked to the corner and all walked behind him.

MAINE PYAAR KIYA ❤️حيث تعيش القصص. اكتشف الآن