Oberois

1.1K 53 13
                                    

Story starts after 5 years leap

LONDON,

One girl is writing a letter with so much love there were another papers on which there are some sketches , on some written I am sorry , I love you and the girl is staring at one pic while doing this
Suddenly she sees someone, a person who is everything to her, she knows she belongs to him she madly running towards him but stopped abruptly and she sees a glass wall occurs between them she stepped back can't even try to broke that
That person also stand still and then disappeared

G: nahi (she screamed and realize she saw a dream once again )

soft cute tiny hands wrapped around her neck

G: good morning meri jaan
B: no gm akshu cutie pehele batao
G: kya batao abhir

Yes they are our akshu and abhir

Ab: phirse wahi wala sapna dekha
Ak: hmm
Ab: aap thik ho
Ak: mere pass tu hai na toh main bilkul thik hun
Ab: ILY Akshu cutie (kissed her cheek)
Ak: ILY too par kaun apni mumma ko cutie bulata hai sidha mumma nahi keh sakta
Ab: vo toh school main bolta hi hun par mere liye toh aap meri cutiepie ho
Ak: accha ji (kissed his cheek) chalo baate bahot ho gayi phataphat ready hote hai school jana hai na
Ab: ok

They get ready and come downstairs
Where one boy is sitting on chair while reading news paper Abhir run towards him
Ab: good morning handsome dad
B: hey good morning my champ (kissed his forehead)
Ak: rishi nashta khatam kar lena warna tumhari khair nahi
R: ok darling daato toh mat yaar , champ aa ja tujhe Bitha deta hu
Ab: mumma breakfast jaldi blh
Ak: haa pata hai kitni bhuki lagi hai ye le

Ab: eww cornflackes mumma mujhe chocos chahiye

Ak: bilkul nahi milenge har waqt bas chocos khata rehta hai cornflackes bhi khane chahiye healthy hota hai

R: ab pata chala mujhe daant kyu padi

Ab: hmm kuch kar nahi sakte kya handsome

R: sorry baby ye buttering aaj kaam nahi aayegi teri mumma mujhe nahi chodegi

Ab: offo ab toh khana hi padega

Ak: kya khusur phushur chal rahi hai dono ki aau kya main udhar

Ab: nahi mai kha raha hun

R: aur main chala office bye akshu bye champ

Ab/Ak: bye dad/rishi

AK: abhir good boy banke jaldi se finish karo tab tak mai tumhara tiffin ready karti hun

Ab: ok mumma mai khane ke baad khud ready ho jaunga aap tension mat lo

Ak: ok baby (cupped his face)

After dropping Abhir to his school akshu goes to krishna temple

Ak: (while praying) krishna ji, aap toh sab jaante hai abhir ab bada hone laga hai aur ab uske sawal bhi badhte jaayenge samaj nahi aa raha mai kya kahungi usse kitne waqt tak ye sach chupaungi,aaj tak maine aur rishi ne sab kuch sambhaliya kya aage bhi sambhal payenge, mai kya kahungi use apne sapne ke baare main, ki kyon aata hai mujhe vo sapna har din, kya matlab hai uska aur uss sapne se abhir ka kya rishta hai aaj tak aap hi hume raasta dikhate aaye hai aage bhi dikhaye plz krishna ji

Akshu reach home

old lady: aa gayi meri puttar isse pehle tu kahe biji mai late ho gayi hun office jana hai mai tujhe bata du naashta kiye bagair mai tujhe nahi chodungi mai jaanti hun tune subah se kuch nahi khya hoga jaldbazi main

akshu: aap ko kaise pata chala biji ?

biji: mai kya tujhe aaj janti hun aache se pata hai mujhe, uss khote de puttar rishi ke office jane ki jaldi aur abhir ki school jane ki jaldi main tune kuch nahi khaya hoga chal chup chap kha le ab mere samne koi natak nahi chalega

akshu: ok meri pyari pyari biji

biji: bass bass ye buttering aaj nahi chalegi tere bete ki tere samne nahi chalti aur teri mere samne chup chap baith waha mai staff ko bol deti hun serve karne ke liye

akshu: ok biji

she finishes her breakfast fastly

biji: are akshu beta aaram se kha

akshu: nahi biji late ho jaayega mai ab chalti hun , ek second biji aapne dawai li oh god mai kaise bhul gayi aapko yaad dilana rukiye mai abhi lati hun

biji: puttar ji maine le li phikar na kar aur kya kaha tune tu bhul gayi yehi to baat hai ki tu kuch bhulti nahi sivay khud ka khayal rakhna mere phone pe alarm laga ke rakha tha tune staff se bolke rakh diya tha aur uske baad laptop pe alag alarm set kiya tha kuch nahi bhuli tum na khud bhulti ho na mujhe bhulne deti ho

akshu: ok bjiji mai chalti hun apna khyal rakhna (hugs her lightly)

biji: tu bhi apna khyal rakh baccha (hugs her back)

akshu remembers abhi and her phone call during darga she nervously leave for office (roohdariyan plays in bg)

akshu: kyu har waqt mujhe tumhari yaad aati hai aisa ek din nahi jata ki mujhe tumhari yaad nahi aati kyu abhi kyu (she wipes her tears and calm herself)

NAYA AASHIYANAWhere stories live. Discover now