Responsibilities

557 34 12
                                    

Udaipur /London

In night:
Abhi: (talking with moon) maine aaj bhi methidana khaya aaj bhi tumhe yaad kiya itni to izzajat hai na mujhe ki mai tumhe miss karu itna haq hai na mera vaise mai janta hun agar tum mujhe aise dekhti toh yehi kehti ki mai pagal hun jo chand se baatein kar raha hoon par tum janti ho pichle 5 saalon se iss chand ke sahare hi toh jee raha hun roj iss chand se baat karta hun aisa lagta hai mano tumse baat kar raha hun iss chand ke zariye tumhe roj apni yaadon main rakhta hun atleast iss se tumhare hone ka ehsas hota hai man leta hun tum jaha kahi bhi ho bas khush ho dard dukh takleef se bahot dur chalo goodnight kal subah late nahi hona mujhe love u akshu

Akshu comes into her room and saw abhir sleeping peacefully

Akshu: bahot thak gaya tha shayad isliye jaldi so gaya

She kissed his forehead and wish him good night

Akshu goes and open a window

Akshu: aaj abhir ne phir wahi sawal pucha ki uske pass sirf mai aur rishi kyu hai sabke pass toh mumma papa hote hai aur main humesha ki tarah chup thi kuch bol nahi payi bolne ke liye kuch tha bhi nahi waise thank you haa inn 6 salon main mera saath dene ke liye Mr. Chand pata hai jab rishi ne mujhse kaha tha tab ajeeb laga tha ki chand se kaise koi baat kar sakta hai par phir usne kaha Jin logo ko hum bahot miss kartey hai aur unse mil nahi pate unke liye chand unka zariya ban jata hai isse aap apni dil ki baat keh sakte hai vo na bol sakta hai na kisi ko bata sakta hai bas humari baat sun leta hai humari feelings samjhta hai pehele to maine uspe yakeen nahi kiya par jab khud iss chand se baatein karne lagi pata hi nahi chala kab chand mera dost ban gaya, kab mujhe isse baatein karke sukoon mehsus hone laga, iss chand main mai bhi shyad tumhe dhundhti hun naraj hun lekin yaad bhi aate ho tum bahot yaad aate ho (wipes her tears)

Rishi comes into akshu's room
Ri: ye kya champ itne jaldi so gaya
Akshu turns and see him
Ak: haa vo aaj thaka hua tha
Ri: aur tum uski neend ka phayda uthate huye apna kaam kar rahi thi
Ak: kya keh rahe ho kuch samaj nahi aa raha
Ri: acting mat karo ro rahi thi na chand se baatein kar ke
Ak: rishi tum jante ho
Ri: ha janta hun sweetheart par tumhe aise dekhke bahot takleef hoti hai
ak: accha aur khudki takleef ka kya
Ri: mujhe kaisi takleef bhai mai bilkul thik hun
Ak: ab tum mujhse jhooth bologe tum bhi toh chand se baat karke aaye ho na uski yaad main
Ri: ji nahi mai kisiko bhi yaad nahi kar raha tha jisse jana tha vo jaa chuka hai
Ak: rishi not again
Ri: toh tum bhi mat shuru ho jao ok goodnight bolne aaya tha tumhe aur champ ko so jao chup chap
Ak: Mr.oberoi aap sirf abhir ke dad hai mere nahi aisa dhamki mat do
Ri: dhamki nahi warning hai aur tumhara bhi toh kuch lagta hun, ab chalo so jao
Ak: ok jaa rahi hun par tum plz ek baar
Ri: goodnight darling sweet dreams (cupped her face)
Rishi left from there without listening anything
Ak: janti hun bahot yaad aa rahi hai tumhe lekin dikhaoge nahi aise muh phoola ke baithe ho bilkul baccho jaisa hum sab bhi toh bahot yaad kar rahe hai yaar tu kyu gayi mujhe yaha rishi aur abhir ke saath akela chodkar 2 bachhon ko sambhalne wali feeling aa rahi hai pata hai par rishi ka gussa bhi samaj sakti hun iss gusse ke peeche usne apni tadap chupa ke rakhi hai mai janti hun

In morning:
Akshu had same dream again and she woke up with a jerk, she saw abhir who is sleeping with cute smile , she hugs him lightly
Ak: abhir baby good morning chalo school jana hai na
Abh: 5 minutes mumma
Ak: ok mumma fresh hoke aati hai tab tak uth jana
Abh: hmm (abhir sleeps again)
Akshu comes after having bath and saw abhir wakes up
Ak: good morning my ladoo
Abh: good morning cutie (hugs her)
Ak: chalo chalte hai fresh hone
Abh: ok

Akshu and abhir get ready and come down for breakfast and joins biji for arti
Ak/abh: good morning biji
Biji: good morning baccho ye lo arti aur prasad
Ak: Abhir chal ashirwad le biji se
Abhir takes aashirwad from biji
Biji: mere iss chote balgopal ki sari manokamnaye puri ho
Akshu also bends to take blessings
Biji: humesha khush raho koi bhi dard ka saya tere aas pass na aaye (cups her face)
Ak: kyu aayega mere saath aap sab ho na especially aap meri cute si biji (held her hands)
Biji: meri bacchi (lightly patted her cheek)
Ak: accha abhir biji chalo jaldi se nashta banati hun aap log baith jao
Ri: koi jarrorat nahi hai nashta taiyar hai by one and only chef rishi
Abh: yaay wow handsome jaldi chalo bhuki lagi hai
Ri: as you say my champ, my pretty lady aap bhi aaiye dekhiye aapke pote ne aapke liye kya banaya hai and darling you also plz come
Everyone are eating and praises rishi
Abhir finishes quickly and left to get ready for school
Ak: rishi tumhe breakfast banane ki kya jarrorat thi mai bana leti na tumhe office bhi jana hota hai itni takleef kyu uthayi tum ne
Ri: aur tum tumhe bhi toh office jana hota hai mere saath tum bhi kitna kaam karti ho waha phir bhi subah ka breakfast, dopehar ka lunch uske baad abhir ko homework main help, raat ka dinner bhi kar leti ho kaise manage karti ho yaar thakti nahi tum
Ak: rishi mujhe aadat hai yaar
Ri: aur kyu hai tumhe ye aadat thoda aaram karne ki bhi aadat daal lo tum ghar ke kaam karne ke liye staffs rakhe hai humne
Ak: rishi saaf saaf bolo kya kehna chahte ho
Ri: mai ye kehna chahta hun ki tum apne aap ko thoda waqt do relax raho aram karo har waqt khud ko busy rakhna thakana thik nahi hai aur ye sab karne ki jarrorat bhi nahi hai Akshu yaar tum meri zimmedari ho main laya tha tumhe iss ghar main so meri responsibility banti hai ki tum thik ho ya nahi ye dekhne ki, hum Dost hai right ek dusre ke pakke wale Best Friends toh itna toh haq banta hai na mera ki main tumhare comfort ke baare main sochu aur akshu mai tumhe sirf apni zimmedari nahi manta ye baat tum aachi tarah se janti ho
Ak: mai janti hun rishi tumhe batane ki jarrorat nahi hai and I am sorry mai jyada work load nahi lungi pakka promise (held her ears cutely)
Ri: better aise kan pakad ke mat khadi ho jao tum janti ho tumhe aise dekh ke mera gussa chala jata hai
Ak: isiliye toh har baar aise hi sorry bolti hun (smirks)
Ri: akshu I am serious okay
Biji: bilkul thik kaha rishi ne
Ak: biji aap bhi
Biji: kya biji aap bhi , Akshu puttar tu oberoi parivar ki sirf jimmedari nahi OBEROI KHANDAN KI BETI HAI aur Abhir iss ghar ka pota tum dono ki khushi iss ghar main equally matter karti hai hum sab ek parivar hai samjhi humara haq banta hai tujhe datne ka , tujhe samjhane ka, tujhe pyar karne ka aur sabse jarrori tera khyal rakhne ka kitni baar tujhe kehti hun jyada kaam mat kiya kar office mai bhi toh kaam hota hai lekin iss budhi biji ki sunta kon hai aacha hua rishi ne hi tujhe dant lagayi
Ak: sorry biji aage se aisa nahi hoga aur aap budhi nahi hai aap toh iss ghar ki sabse cutest member ho (hugs her)
Biji: chal ab jyada Makkhan mat maar (hugs her back)
Ri: ispe toh mera bhi haq hai (he hugs them)
Abh: haww group huggy aur mere bina not fair (said with sad pout)
Ak/b/Ri: awww nautanki aaja
Abhir joins the group hug

Udaipur:
Everyone is in mandir room for arti
After arti is done shefali gives them arti and prasad
Par: bhagwan ji humare parivar ko aise hi khush rakhna
She: mere family par aapki kripa banaye rakhna
Ab: aapse kya mangu jab aapki aur khudki najaro main gir chuka hun bas sabka khyal rakhna
R/s: hume apne liye kuch nahi chahiye bas poppy/chuks ki zindagi unhe Lauta do unki zindagi unke life mai wapas aa jaye
Abhi adores his two cuties and wipes his tears
Ar: ruhi ye kya bol rahe ho aap
Ru: kya galat bola maine matashree
Shi: haa choti taiji kuch bhi toh galat nahi bola humne
She: are arohi tum kab aayi aao baitho hum sabke saath nashta karke hi jaana (tries to end the topic)
Ar: ruhi se milne aayi thi bhabhi socha hospital jane se pehele hi use pick karke wapas birla house chod aau par yaha aake lag raha hai yaha bhejna hi nahi chahiye tha
Pa: aisa kya galat kaha baccho ne arohi ki tum itni issue kar rahi ho
Ar: kya galat kaha matlab aap meri bacchi ko uske baare main bata rahe hai aur mai kuch bhi na bolu wah
Meanwhile manjiri comes
Ab: arohi STOP it bacchon ke samne shuru mat ho jao
Man: kyu Abhi tu bacchon ko uske baare main bata sakta hai aur hum rok bhi nahi sakte kya galat kaha arohi ne
(Abhi signals shefali and shefali takes kids with her)
Abhi tu bhul raha hai uss ladki ki wajah se teri aur arohi ki ye halat hai Abhi bhi waqt hai beta sambhal jaa man le meri baat arohi aur ruhi ki responsibility le arohi se s
Ab: maa plz himmat bhi mat karna aise kuch bolne ki aapko kitni baar samjhaya hai maine, Neil mera baccha tha toh uski wife arohi mere bacche ki biwi thi aur mere liye AROHI MERI CHOTI BEHEN HAI
(He come towards arohi asking her sit gives water to her)
Arohi tum acche se janti ho tum mano ya na mano humara rishta pehele jiju aur sali ka tha tum meri akshu ki behen ho toh uss naate tum meri bhi behen ho maine ussi waqt tumse kaha tha "sali aadhi gharwali" type ka main nahi hun mujhe sirf apni gharwali chahiye aur uske baad tumhari Neil se shadi huyi tum meri bhabhi ban gayi aur Neil mere chota baccha tha toh uski wife meri choti behen hi hogi na
Ar: par abhimanyu tum bhul rahe ho tumhari mujhse shadi hone wali thi
Ab: hone wali thi huyi nahi aur mai manta hun uss waqt maine tumhare saath galat kiya par main dubara ye galti nahi hone dunga
Aur vaise bhi tum janti ho na tum kaisi ho main acche se janta hun, kuch bhi bhula nahi hun main bas Neil ke Jane ke baad tum akeli pad gayi thi tumhare saath bhagwan ne galat kiya tha isliye tum se acche se baat karne ki koshish ki sab kuch bhul ke aur maa ke hisab se pure birla family ki tum bahot care karti ho so I assume ki tum sach main badal gayi ho so plz maa ke Baton ke baare main mat sochna koi jhoothi umeed mat Palna, tumhare aur ruhi ke future ke liye tumhe jo thik lage tum vo karna main bada bhai hone ke naate humesha tumhe support karunga

(Abhi puts his hand on her head)
Even mai tumse aaj bhi puchta hun tumhe dusri shadi karni hai toh batao kisiko pasand karti ho toh mujhse baat karo mai puri birla family se ladh ke tumhara ghar basaunga tumhare liye aur ruhi ke liye as a guardian main humesha hun par ye baat bhi janlo agar tum apni asli character main vapas aayi toh mujhe bhi apne purane short-tempered character main aana padega and I know tum handle nahi kar paogi soch lo mujhe zhelne ke liye akshu bhi nahi hai yaha
Ar: ok main samaj gayi par ruhi ko tum uske baare main nahi bata sakte
Ab: offcourse bata sakta hun usse apne poppy ki zindagi ke bare main Janna tha aur mai use jhooth nahi bolunga tum janti ho aur ye bacche aur mere bich ki baat hai koi kuch na kahe vahi behtar hoga sabke liye
(Ruhi and shivansh comes)
Man: ruhi beta tujhe nahi lagta tere poppy tere
Ru: plz dida no mere papa ki jagah main kisi ko nahi dungi poppy bhi nahi le sakte aur poppy mujhe as a poppy hi bahot pasand hai aap aur matashree ye topic baar baar kyu bolte ho poppy ki life main sirf unki zindagi aayegi
Man: vah Abhi bacche bhi usi ki tarafdari karne lage pata nahi aisa kya jadu chalaya usne tujhpe
Ab: bas maa ab ek or shabd nahi aur baccho ko maine nahi kaha unhone apni poppy ki zindagi ko jana aur khud hi use pasand karne lage vo hai hi aisi aapke so called Vachan mai main bandha hua hoon varna mujhe meri zindagi ko apni zindagi main laane se koi nahi rok sakta jante hai na aap meri zidd ya bhul gaye hai ek second nahi lagega mujhe yaad dilwane main

(Abhi left from there angrily)


This part is for readers to know relations between Abhi jharu and akshu rishi there is no cross couple at all



NAYA AASHIYANAWhere stories live. Discover now