01.

68 4 24
                                    

Gaari ke accelerator par woh zorr se paer dabaye hoye tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Gaari ke accelerator par woh zorr se paer dabaye hoye tha. Ungliyaan steering wheel parr itni zorr se lipti thein ke uski unglioun ke jorr eik dam sufaid horahay thay. Aankhein road par jammi thein. Khaali andheri aur sunsaan sarak par gaari ki awaaz ka goonjna eik alag hee ahsaas dilaraha tha.

Relief.
Thrill.
Euphoria.
Uskay andar maujood itne dinoun se jamah hui frustration barhti speed ke saath kam horahi thi.

"Bhai, kam karlo speed. Tumharay peechay koi nahi hai, yeh race tum 140 par bhi reh kar jeet saktay ho." Barabar wali seat par betha uska dost, seat belt lagaye bhi seat se chipka, door handle ko kas ke pakra hoa bola.

"Itna dartay ho toh aatay kioun ho?" Usne shararat bharri muskurahat k saath poocha. "Intezaar kiya karo finish line par sab ki tarah."

"Tujhay marrne se rokne ke liye. Koi bharosa jo nahi hai tumhara."

"Fikr nahi karo, hum jaisoun ko mout asaani se nahi aati."

Usske dost ne aagaye koi jawab nahi diya. Gaari ussi raftaar par chalti rahi.

Thori hee daer mein sannatay mein police siren ki awaaz goonjne lagi aur rearview mirror se laal aur neeli light ka siren jalta nazar aanay laga.

"God, my dad is going to kill me today." Uska dost aankhein band karke barbaraya.

Woh apnay dost ki taraf mutawajjah hoa. "You trust me?"

"Yeh kesa sawaal hai?"

"Mujh par bharosa hai?" Usne har lafz par zorr daaltay poocha.

"Hai, tabhi yahan apni jaan ki baazi lagaraha houn."

"Toh bas baith kar dua karo." Woh wapis sarak ki taraf mutawajjah hoa aur usne clutch ko dabatay gear badalla.

"Kis cheez ki?" Uskay dost ne dua ke liye haath uthaatay poocha.

"Humari jeet ki."

"Ya Allah humein race jeetadein." Aur zinda ghar pohancha dein. Iski kasam, ayinda kabhi nahi aounga iske saath. "Ameen."

Usne gaari eik galli mein morrne ke liye clutch dabakar gear kam kiya aur steering achanak se poora ghumaya. Gaari namm sarak par phisalti foran galli mein murri. Usne steering wheel dobara poori tarah ghoomaya aur gaari ko doosri, phir teesri galli mein morra. Aese hee gaari phisalti najaanay kitne galliyoun se barhti aur nikalti jaarahi thi. Iss ilaqay ka naksha ussay ab tak ratt chuka tha. Usne gaari ab main road ki taraf morri. "Aarahi hai police?"

HasratWhere stories live. Discover now