05.

31 3 0
                                    

Sooraj dhalne ke kareeb tha

Rất tiếc! Hình ảnh này không tuân theo hướng dẫn nội dung. Để tiếp tục đăng tải, vui lòng xóa hoặc tải lên một hình ảnh khác.

Sooraj dhalne ke kareeb tha. Aasmaan ko uski kirnoun ne sunehri aur narangi rangoun se bharr rakha tha. Din bhar ke thakkay log aur parinday apnay apnay ghar ki taraf barh rahay thay.

Unn mein se eik woh bhi tha. Din bhar office ke kaamoun mein lipta thakka haara woh ghar aaya tha. Chehray par halki si muskurahat thi, aur uska daayan haath uski pant ki jaeb mein maujood eik chotay dabbay ke saath khelraha tha.

Dabbay paoun ke saath woh apnay bedroom ki taraf barha jahan amooman uski begum iss waqt hoa karti thein. Ussne darwaza ahista se khola aur apni biwi ko unko kamray mein maujood floor to ceiling window ke paas kharra paya. Uskay chehray par maujood muskurahat gehri hui. Unn hee dabbay paoun ke saath woh uskay paas aaya, eik dam uskay peechay aa kharra hua. Uski begum najaanay kin khayaloun mein ghum thein ke ussay abhi tak uski maujoodgi ka andaza hee nahi hua tha.

"Assalam Alaikum." Usne madham awaaz mein kaha tha, aur sarr uskay kandhay pe rakhla. Uski biwi chaunki thi, aur phir halka sa hassi thi.

"Darra hee diya."

"Ab itna bhi khaufnaak nahi dikhta mein!"

"Yeh toh nahi kaha mene. Shayad aesa aap sochtay hain apnay baaray mein tabhi phat se bol parray." Uski begum hassi thi.

"Aese beizzati karogi toh mein wapis chala jaounga." Usne moun phulaya.

"Kahan?"

"Office! Aur kahan?"

"As long as koi doosri aurat nahi hai, mujhay koi aiteraaz nahi."

"Doosri? Yahan eik nahi sambhal rahi!" Iss baar hassne ki baari uski thi.

Ussi mein uski nazarein saamne manzar par parri thein. Galli ke tamaam bachay ikhta hokar cricket khelrahay thay. Uski nazarein wahan se hattkar apni begum ke chehray par parrein toh uski namm aankhein aur gaaloun par nammi dekh kar uski khudki muskurahat pheeki parrgayi.

"Yaar—," Woh bolne hee laga tha ke uski begum ne ussay khamosh kardiya. Eik hassrat si unn dono ke diloun mein hee rehgayi.

"Agar aj Ahmer bhai aur Ambreen bhabhi ki beti hamaray paas hoti toh hamari zindagi kitni haseen aur khushioun bharri hoti, nahi? Youn akelapan toh nahi hota kam se kam."

"Begum," Usne madham awaaz mein tanbeeh kartay kaha tha. Usne eik gehri saans beikhtiyaar chorri. "Woh jahan hai, apnoun ke saath hai."

Woh chand lamhay khamoshi se hee saamne wala manzar dekhti rahi. Ankhoun mein udaasi si thi. Jab dil ka dard haawi hota mehsoos hua, woh foran seeshay se murr gayi, aur uski surkh hoti aankhein apnay shohar ki pareshaan aankhoun se taqrayein. "I'm sorry. Mujhay tumhein acha nahi lagta ke mein youn ghum mein bethoun lekin kiya karoun. Hamari zindagi kesi hosakti thi ka khayal mujhay chorrta hee nahi."

HasratNơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ