04.

58 4 0
                                    

Taqreeban daerh (1

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Taqreeban daerh (1.5) hafta shaadi ki halki phulki tayarioun mein aur Zaviyaar Inara ke beech nok jhok mein guzarr chuka tha.

Inn peechlay das dinoun mein kuch khaas nahi badla tha. Shaadi ki tayariyaan ussi pace par chalrahi thein. Har din tayarioun ki list mein kisi na kisi cheez ka izafa hoye jaaraha tha aur saath saath Shanzay ki fikr mein bhi.

Pichli das raatoun se bilanagah Ahad, Zaviyaar aur Inara khamoshi se beth kar Shanzay ki rant sunntay thay, jiska mauzu har raat mukhtalif hoya karta tha. Kabhi darzi ke karnamay, kabhi event planner ke chaunchlay aur ya toh kabhi Wahaj, Shanzay ke honay walay shohar, ki taraf se aye hoye koi messages.

Aakhir mein sawaal wohi aata. 'Kiya mein Shaadi karne mein jaldi karrahi houn?'

Ahad usse samjhata ke iss ghar mein uska waqt poora hogaya tha, aur ab usse yahan se nikalna hee tha. Shanzay uski daleeloun ko nazar andaaz karti thi, kioun ke yeh wazeh tha ke Ahad ki nazarein aur niyat, dono hee, usskay kamray par tikkein thein.

Inara usse dheemay andaaz mein samjhaati thi. Usse iss baat par qail karti thi ke mustaqbil mein woh apnay shohar ke saath iss waqt ka soch kar hassegi. Aur yeh ke shaadi se pehlay dulhanein amooman stress mein aajati hain, aakhir yeh din unki zindagi ka sab se ahem hota hai. Halankay Inara ka koi khaas experience tha nahi, lekin Shanzay ki anxiety uski baatein sunn kar kam honay lagtein.

Aakhir mein woh Zaviyaar ki taraf murrti. Zaviyaar ki taraf se uski unn maamloun par khamoshi hee kaafi thi. Yeh wahan maujood harr fard jaanta tha.

Jab Shanzay baat samjh jaati, toh sab apnay kamray ke liye rawanay hojatay. Ahad Shanzay sonay ke liye aur Zaviyaar Inara apni raat terrace par beth ke guzaarne ke liye.

Itne dinoun mein dono ko yeh andaza hogaya tha ke agar unn dono ke andaaz mein kuch mushtarkah tha, toh woh raat ke andheray ke liye muhabbat thi. Dono uss mein sukoon dhoondte. Inara apnay khayaloun se, aur Zaviyaar apnay khuaaboun se.

Inara ko hairat hui thi ke yeh unkay liye naya mamool kab bann gaya tha. Roz raat ko, andheri raat ke neechay madham si roshan terrace par beth kar baatein karna Inara ke itinerary mein nahi tha lekin woh shikayat nahi karrahi thi. Kioun ke yeh roz ke pandra se bees minute ki baatoun ne uska dil halka kiya tha. Uskay dil se akelapan kuch arsay ke liye nikaal diya tha.

Shayad Zaviyaar ka maqsad hee yeh tha. Kiounke, jis raat woh nahi aati thi toh woh ussay khud lekar aata tha. Woh kabhi ussay nahi mehsoos honay deta tha ke yeh uskay liye karraha hai, kioun ke dilli dil mein woh khudgarz hoa wa tha. Woh iss lamhay ka subha se betaabi se intezaar karta tha.

Jab alag honay ka waqt aata toh Zaviyaar eik hee sawaal poocha. 'Ab kesa mehsoos karrahi?'

Jiska jawab Inara hamesha muskurakar deti thi. 'Behtar, thanks to you'

Halankay dono eik dosre ke saath ab kaafi waqt guzaarne lagaye thay aur dono ke beech mein dosti ka ahsaas barh raha tha, dono ke eik dosre ke liye andaaz nahi badalay thay. Woh abhi bhi uskay liye Princess thi, aur woh Devil.

HasratWhere stories live. Discover now