Tooti ummeeden!

8 0 0
                                    

Rishta pakka kar diya gaya.....
Haya bohot khush thi, aane vali zindagi ko leker uske khwab sach hone jaa rhe the.
Lekin sath hi kuch sawal bhi the....

"Zain ne mujhe kyu pasand kiya hoga"

"Voh khush nahi lag rhe the"

Or aise kai andeshe uske zehen me the...

Nikah ki tarikh fix ho chuki thi ,3 mahino baad January ki 17 tarikh....

"Haya.....ye Zain to bada accha dikhta hai"

Haya apni nani ke vaha aai hui thi or vaha uske sabhi cousins Zain ki photo dekhkar hairan the....unki baate sunkar Haya ko khushi bhi hui or bura bhi laga ki ye log use kamtar samjh rhe hai.. lekin vo khush thi.....jo bhi ho Zain ne use pasand kar liya hai, Mrs Bilkis ne use yahi bataya tha...or vo ab tak Zain ke sath kai khwab saja chuki thi.....
 

" Phir us shakhs se ummeed e wafa....
Ae dil tujhe izzat raas nahi"

___________________

Aakhirkaar nikah ka din aa hi gya....
Haya Dulhan ke libas me saji thi....uske papa Mr Ahmad use nam aankho se dekh rhe the...

"Mera baccha kab bada ho gya pata hi nahi chal...or aaj chala bhi jayga"
Mr ahmad ne uske mathe ko chuma or apne aansoo chupane ke liye ek taraf muh fer liya
Haya bhi ro rahi thi....
Pata hota hai ki ek din jaana hai magar phir bhi ye takleef ek dam nai hoti hai....or behad takleefdeh hoti hai....

Haya wald Tahir Ahmad, kya aapko Zain Ahmad wald Sikandar Ahmad se haqq e mahar 40000 rs par nikah qubool hai

......qq..qubool hai.......!!!
Qubool hai
Qubool hai....

Haya ne tez dhadkno ke sath aankhe band krke jawab dehi diya.....uska halak sukh raha tha....or becheni ka ye alam tha ki aas paas ki awazen aana band ho chuki thi.....

Parde ke peeche se Zain ki Awaz aai...

....qubool hai
Qubool hai
Qubool hai....

Or nikah ho gaya.....
__________________________
Bidai ke baad Zain aur Haya ek Car me sath the...Haya apne ghar or maa baap ke chhoot jaane par behad udas thi...dono ke beech khamoshi chhai hui thi....car ka radio chal rha tha, Haya ne use band krne ke liye hath aage badhaya...ain usi waqt Zain ne bhi hath aage badhaya....dono ke hath ek pal ke liye takraye or dono hichkichakar alag ho gye ....window se bahar dekhne lage....

"Allah , pehli baar kisi ladke ka hath takraya hai....kitna ajeeb ahsas hai" Haya sharm ke maare laal hui jaa rhi thi...."

Poore raste dono me koi baat nahi hui....
_________________&
Haya bistar par lehnga phailaye dono hath pairo par rakhkar bethi hui thi....

Zain kamre me dakhil hua..... Bina kuch kahe bathroom ki taraf badh gaya.....

Jab bathroom se bahar aaya tab bhi usne ek nazar Haya par nahi daali....

Kuch der sochne ke baad vo bed ke pass khada ho gya....or agle pal usne jo kaha usne Haya ko shock kar diya....

" Mujhse koi ummed mat rakhna....me ye nahi karna chahta tha.....tumhari saas ke kehne par mene ye shadi ki hai....tum yaha jaise rehna chaho reh skti ho.... tumhe koi nahi rokega....bas mujhse door rehna
Mere kaamo ke beech aane ki koshish mat krna"

Haya kuch samjh nahi paai "huh" bas itna hi keh saki....Zain apni baat kehkar ja chuka tha.....
Vo vaise hi sakit vaha baithi rahi....use kuch tutne ki aawaz aayi.....shayd ummiden thi....ya dil..💔

Haya ne khud ko smbhalne ki koshish ki....or wuzu krke namaz ke liye khadi ho gai...
Aaj to farishto ne bhi uski aah sun li hogi.....

"Allah ta'la ye khwab hai na....ye jo kuch kehkar gaye ye khwab tha....na....vo hichkiyo ke sath roti jaati or apne rab se kehti jaati....Allah...mere Allah....meri saari ummide ...kahtm ho gai....kya hua mujhe kuch smjh nahi aa rha"....uska dil bahar aa rha tha "
Kya meri koi ahmiyat nahi....Zain ne ek baar bhi nahi socha meri zindagi se khelne se pehle....
.
.
.
.vo roti rahi phir khud ko himmat dete huye boli...." Nahi haya ....tum is tarah toot nahi skati ...tum haar nahi maan sakta.... tumhe himmat rakhni hogi.....smbhalo khud ko.....

Apne ansoo poche or apne suitcase se kapde nikale....naha kar aai or fajr adaa ki....phir quran padha or pakka irada kiya..."Me sabr karungi......haar nahi manugi, me pata lakarr rahungi....ki akhir kya vajah hai jo aapne mujhse shadi ki....
------++++++

Kuch din guzar chuke the....Haya apne mayke se wapas aa chuki thi....is dauran Zain ne usse baat ki na uski tarf dekha.....Haya ne apni takleef kisi par zahir nahi hone di.....lekin aaj do hafte guzar jaane ke baad usne himmat karke..... Mrs Bilkis se baat krne ki than li....

Vo Mrs Bilkis ke kamre me gai....

"Ammi...kya me andar aa skti hu"

"Haan aa jao beti'

Haya kamre me aai or bed ki sirhane bethi Mrs Bilkis ki pass aa aker baith gai....

"Ammi mujhe aapse kuch baat karni hai...."

Haan bolo Haya....

Ammi..... Aapne Zain ki shadi mujhse kyu karwai?

Haya ne aankho me aankhe daalkar kaha

Mrs Bilkis uske sawla ko smajh na saki....

"Kya matlb?"

"Ammi.....unhone mujhse kaha hai ki me unse koi ummid na rakhu....vo mujhse shadi nahi krna chahte the....sirf aapke kehne pr unhone shadi ki hai...."
Ye kehte huye Haya ki aankhe bhar aai or aawaz bharra gai.....

Usne aisa kaha tumse.....?

"Mujhe pata ki vo ziddi hai magar vo tumse bhi aise kahega mujhe ummid na thi....."

Mr Bilkis ne Haya ke sir par hath phaira aur kaha ....

"Tumse kya chhupau beti.....
Zain mujhse nafrat karta hai"

"Magar kyu"?

Kyukiiiii vo mujhe Apne baap ki qatil samjhta hai.....

جستجو justajoo Where stories live. Discover now