Mila hi nahi 🍃

10 3 4
                                    

Maine Chaha Mujhe har savera , har saanjh , har Raina , Nayab miley ,
Mila ya nahi ?
Mila hi nahi ...

Maine Chaha ke  Mere nafs ko sukoon miley ,
Mila ya nahi ?
Mila hi nahi...

Maine Chaha mere har lehze ko lihaaz miley ,
Mila ya nahi ?
Mila hi nahi...

Maine Chaha ke mujhe har manzar Khawabeeda miley ,
Mila ya nahi ?
Mila hi nahi ...

Maine Chaha ki Kam hi sahi par iss jhuthi duniya se mujhe dost mukhtalif miley,
Mila ya nahi ?
Mila hi nahi...
(Jhooth kya bolun ab ek-aak mil Gaye Hain)

Mai Lafzon se bayan karne ki himmat paa lun , Maine Chaha mujhe khuda ki kuch aisi inaayat miley ,
Mila ya nahi ?
Mila hi nahi...

Maine Chaha ,ke mujhe iss bhed-bhaav Wale riwayat se aazadi miley,
Mila ya nahi ?
Mila hi nahi...


                ~ सिमरन अंकिता

Maine Chaha ki Meri Kavita aaplogo ko pasand aa jaye
Aayi ya nahi ?

Batana jarur :))
Already dukh itna hai ki motivation ki kami hai

लफ्ज़ दिल के / Lafz dil ke.... 🍁Where stories live. Discover now