lychee, (Litchi chinensis), also spelled litchi or lichi,
Let's start
Krish call pr baat kr ke piche turn hota or dekhta hai ki haseena aa rhi hai
Krish haste huye bolta hai- ye kya phna huaa hai tumhe
Haseena krish ki ko ghur kr dekhti hai, lekin wo abhi tk aapne aapko nhi dekha tha, pr jb usne krish ke baaton pr gour kiya, or khud ko dekhne lagi, haseena ne jb aapne kapdo pr gour kiya jo ulte the
Haseena khud se boli- dhatt gusse me kuch bhi ho jata hai, ab ye mera mazak udayenge
Haseena- kya mtlb kaise kapde phne hai, ye fasion hai or aapko kya pta ladkiyon ka fasion
Krish- really ye fasion hai
Is pr haseena ne haa me sir hila kr boli- aacha thik hai agar aapko pasand nhi hai to main change kr ke aati hu
Haseena ye bol kr closet room ke taraf bhag or krish haste huye bola-pagal
Thori der baad haseena change kr ke aa gye or krish ko dekh kr boli- hash liye aap
Krish aapni hasi control krte huye bola- main bhala tum or q hasunga, main to bs tumhari bewakufi dekh rha tha
Haseena gusse se boli- aacha ab main bewakoof hun
Krish- aaj kl bahut gussa krne lagi ho,.gussa km kro or niche ja kr phle dinner kr ke aawo
Haseena- aap nhi aa rhe
Krish- mujhe thora sa kaam hai
Haseena kuch nhi boli or chup chap niche dinner krne chali gye, wo sabhi ke saath living room me bethe huye the, haseena misha ke pass ja kr beth gye
Haseena ko dekh kr misha uske kaan me boli- di ko abhi litchi khani hai
Haseena- abhi is mousam me litchi kaha se aayegi
Misha- usi chinta me sb bethe huye hai, dadi or mom kuch or den rhe hai lekin kuch bhi nhi chahiye sirf litchi hi chahiye unhone ne pura shyapa kiya huaa hai
[ Meera abhi pregnant hai to unka hi mood swing ho rha hai]
Meera ko aaj litchi khane ka mn tha, lekin abhi October ka month tha, is leye kisi ko samjh me nhi aa rha tha ki kya kre, sabhi isi kosish me the ki kahi se litchi mil jaye, sabhi usse kuch or khane ke leye bol rhe the
