1

3.9K 53 9
                                    

Meri zindgi ki sab badi khuwaish!!(vo isi soch me pad gyi) umm bht mushkil hai is swal ka jawab dena(aur be basi se  muskurai)

Jaweriya:- kyun mushkil hai?

Imama:- kyun ki meri bht si khuwaish hain..aur har khuwaish mere liye bht ehem hai..(usne sar jhtakte hue kaha)

Dono zameen ke sahare diwar se tek lgayen bethin thi..
(FSC class me aaj unka aathwa din tha  aur us wakt vo dono free period me auditorium me aake Beth gyin thi namkeen mungfali ke daano ko khate hue jaweriya ne usse pucha)

Jawriya :- tumhari zindagi ki sab se badi khuwaish kiya hai imama?

(Imama soch me pad gyi)

Imama:- phele tum btao tumhari zindagi ki sab se badi khuwaish kiya hai?

Jaweriya:- phele mene pucha na...toh phle mujhme jawab do!

Imama:- accha thik hai... mujhe abhi aur sochne do....ummm meri zindagi ki sab badi khuwaish (vo sch me pd gyi)

Imama:- ek khuwaish toh ye hai ki meri zindgi lambi ho

Jaweriya (haste hue):- kyun..

Imama:- bs 50-60  saal ki zindagi mujhe badi choti lagti hai..kam se kam insaan ko 100 saal ki zindagi toh milni chaiye na aur PHir me itna sb kuch Krna chahti hun aur agar jaldi mar jaungi toh meri zindagi ki saari khuwahishat adhuri reh jayngi( usne mung fali khate hue kaha)

Jaweriya:- accha aur....

Imama:- aur ye ki me sheher ki sab ki badi doctor banna chahti hun sab se acchi eye specialist me chahti hun jab Pakistan me eye surgery ki date likhi jaay toh Mera naam top list me ho..

Jaweriya:- accha agar tum doctor nahi ban payin toh..?kyuki ye sb kismat ki baat hai..

Imama:- aisa ho hi nahi sakta me itni mehnat kr rahi hun aur mere parents ke pass itna pesa hai agar me  kisi medical College me na Jaa saki toh vo mujhe kahin dusre mulk bhijwa denge..

Jaweriya:- phir bhi agar tum doctor na ban saki toh..??

Imama:- aisa nahi ho skta meri zindgi ki sb se badi khuwaish yahi hai aur me eye specialist banne ke liye sb kuch chord sakti hun...aur ye mera khuwab aur aur khuwab ko kaise chord diya jaa skta hai..?

Jaweriya:- zindgi me sb kuch na mumkin nahi hota ...kbhi bhi kuch bhi ho skta hai...socho agar tum doctor nahi ban paayin toh?? Kaise react krogi?

(Imama soch me pad gyi)

Imama:- phele toh me roungi.....bht zyda....kayi din.... phir mar jaungi...

Jaweriya ( haste huye):- isse phele toh tum khe Rahi thi ki tumhe lambi zindagi chaiye ...aur ab keh Rahi ho ki mar jaogi...

Imama:- hn mere saare plan hi medical College ke hi hai agr ye hi chiz nikal gyi toh zindigi me kiya baki reh jayga?

Jaweriya:- accha mtlb tumhari ek badi khuwaish dusri khuwahish ko khtm kr degi..

Imama:- yahi smjh lo..

Jaweriya:- mtlb tumahari badi khuwaish lambi zindagi nahi bal ki doctor Banna hai..

Imama:- han tum keh sakti ho

Jaweriya (exited hoke):- accha toh agr tum doctor nahi ban paayi... toh kaise marogi suicide krogi ya phir tabayi maut (natural death)

Imama(la parwahi se kaha):-tabyi mout hi marungi khud Khushi toh kr nahi skti..

Jaweriya:- agr tumhe tabayi mout nahi aayi mtlb agr tumhe mout hi na aayi aur doctor bhi na bni toh lambi zindagi guzarogi?

Imama:- nahi mujhe pata hai agr me doctor nahi ban paayi toh me jaldi mat jaungi... mujhe itna dukh hoga ke me Zinda hi nahi reh paungi...

Jaweriya (mazak udate hue):- tum itni khud mizaj ho mene ye socha hi nahi tha ki tumhe bhi dukh hoga aur ro ro krr hi mar jaogi...aur vo bhi doctor na ban skti...like funny...

Imama (topic badalte hue):- tum meri baat chordo aur apni btao... tumahari khuwahish kiya hai??

Jaweriya:- nahi rhene do..

Imama:- kyun..btao mene bhi btayi na

Jaweriya:- nahi tum bura Maan jaogi..

Imama:- mujhe bura kyun lgega?

Jaweriya (law voice me):- nahi tum bura Maan jaogi...

Imama:- aisa kiya hai jo me bura maan jaungi.... tumhari ye khuwahish toh nahi ki me doctor na banu.

(Jaweriya zor se hasi)

Jaweriya:- Nahi... zindgi ek doctor ban jaane se kahi zyga ehmiyat ki hamil hoti hai...(usne uljhe huye andaz me kaha)

Imama:- me wada karti hun me naraz nahi houngi (usne jaweriya ki taraf haath bdhate hue kaha.)

Jaweriya:- wada krne ke Bawajud tum meri baat prr buri trhe naraz ho jaygi...toh behtar yahi hai ki ham baat hi na kren...

Imama:- accha me andaza lgati hun...umm.. tumhari khuwahish ka taluk mere liye kisi bht ehem chiz se hai ryt?

(Jaweriya ne sar hilaya)

Imama:- umm ab sochna ye hai ki mere liye konsi chiz sb se ehem hai( vo baat krte krte ruk gyi)

Imama:- prr jab tk mujhe tumhari khuwahish ki niyat (hint) nahi jaan leti mujhe andaza nahi hoga... please jaweriya bata do please...

(Vo kuch der tk sochti rahi...imama bhi use dekh Rahi thi...kuch der ki khamoshi ke baad usne uthaya aur imama ko dekha)

Imama:-mere profesion ke alawa jin chizo ki mere liye ehmiyat hai vo sirf ek hi hai..agr tum uske hawale se kuch kehna chahati ho toh btao me bura nahi manungi

(Jaweriya ne apne haath me phni ring ko dekha)

Imama:- btao jaweriya...

Jaweriya:- meri zindgi ki sb se bdi khuwahish hai ki...............,...............

(Jaweriya ne use apne khuwahish btayi... jaweriya ki khuwaish sunne ke baad imama ka chehra safed pad gya)

Jaweriya:- dekha mene Kahan tha na tum bura manogi..

(Jaweriya ne apni baat explain krne ki koshish ki magar imama use bina kuch kahe dekhti rahi)

                  
♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎♡︎



Mayiz dard me pagal ho gya uske dono haath uske pet prr the...uske samne khade 12 saal ke ladke ne apni fati hui shirt se apni naak ka behta hua khoon saaf kra...aur apne haath me pkde hue racket se mayiz ki tango prr de mara....vo zor se cheekh krr khda ho gya....2 saal chote bhai ko usne dekha jo use bina kisi murawat ke peet Raha tha jab ki mayiz use pitne ke liye bahar lekr aaya tha....

Hafte me in dono ka 3 jhagda tha.....tino baat jhagda shuro krne vala iska chota bhai tha...ina jhagda bachapan se lekr ab tk sirf baato ka tha lekin kuch time se ye dono hatha paayi prr utr aaye the....

Aur aaj bhi dono school bde ikahtte ghr aa reh hai....dono car ki diggi me se apna beg nikal reh the jisse uske chote bhai ne tezi beg nikala aur mayiz ke haatho prr ragad lag gyi aur vo buri trhe tilmilaya...aur cheekha

Mayiz:- tum andhe ho kiya...





             ♡︎to be continued ♡︎







𝑷𝒆𝒆𝒓-𝒆-𝑲𝒂𝒎𝒊𝒍Where stories live. Discover now