8

755 15 8
                                    

Philomena Francis ne apne hath me pakde papers ko table prr rkhte hue...pure hall me dekhaa..paper shuroo hone me abhi 10 min baki the aur hall me abhi student kitabe notes aur notebook pkde tezi se pages palat rahe the aur un prr apni sakhti nazr daal rahe the....unko aisa dekh krr  unki pareshani ka ehsaas ho raha tha.... Philomena Francis ke liye ye bht manoos scene tha PHir unki nazre hall me bethe salaar prr jaa theri....25 students me vo se Wahid student tha Jo kii apni seat prr bina kisi fikr ke tang prr tang rkhe bade aaram se betha thaa..ek hath me scale pkde hue joote prr maarte hue vo bde hi be fikr ho krr idhr udhr dekh raha tha...ye scene bhi Naya nahi tha...apne 7 saal career me unhone ne papers ke daraan ko  aisi be fikri  aur laparvahi me hi payaa tha....

9 baj krr 2 min  par unhone ne salar kr pass guzarte huye use  MCQ (objective paper) thamaya thaa...30 min baad unhe vo paper sbhi students se Lena thaa...9 baj krr 10 min prr unhone salar ko apni chair se khda hote hue dekha....uske aise khde hote huye saare students use aise khda hote dekh...dekh rahe the......vo paper hath me liye Philomena Francis ke paas jaa Raha rha tha...lekin unke liye ye bhi Naya scene nahi tha...vo usse phle bhi yahi sb dekhti aayi hain...30 min me solve Kiya jaana vala paper vo  8 min me solve krke unke sar prr khda thaa..

Paper ko dubara dekh loo" unhone ye word usse nahi kaha kyunke unhe pta tha uska jawab kiya hoga" me dekh Chuka hun"isliye agr vo dubara usse paper dekhne ko bolti toh vo papers apne pass hi rkh krr aaram se Beth jata... kyunke usne Philomena Francis ke kbhi kehne prr kbhi paper check nahi Kiya thaa ... isliye usse kehna bekar tha....aur vo ye bhi manti thi ki usko dubara paper check krne ki zrrt nahi....uske paper me kisi ek bhi glti ko dhundna bht mushkil kaam tha..

Unhone ek halki muskurahat ke sath salar ke hath se paper le liyaa..

Philomena:- tum jaante ho salar meri zindagi ki sb se bdi tamnna kiya hai??(Paper prr nazr dalte huye kaha)ki tum 30 min ka paper 30 min ke baad submit karwate dekhun...

Wo ye sun krr muskuraya

Salar:- aap ki ye khawaish poori ho skti hai mam agr me  150  ki umr me paper krne bethun toh shyd 30 min ho...

Mam:-nahi mera khayal hai tum 150 ki umr me paper 10 min me kroge

Vo ye sun krr muskuraya aur mud gyaa

Philomena ne uske paper ko ult pult krr dekha uske....unki aisi Nazar ye btane ke liye kafi kii vo is paper me kitne number gawayga!!
"ZERO"

#At imama house

Salma ne apni beti ke hatho me lipte huye paper ko dekha

Salma:- ye kiya hai imama??tum toh market gyin thi na kuch kitabe Leni thi tumhe??

Imama:- han ammi mujhe kitabe hi Leni thii magar kisi ko gift krne ke liye..

Salma:-kisko gift Dena hai??

Imama:-wo Lahore me ek dost haii uski saalgirah hai..uske liye kharida hai correr krne bhijwa dungi...kyu ki abhi yaha rehna hai mujhe

Salma:-laao phir mujhe dedo packet me Waseem se keh krr bhijwa dungi..

Imama:- nahi ammi!! Me abhi nahi bhijwa ungi kyunki abhi uski salgirah ki date nahi aayi!!!

(Salma ko lga jesi ki vo ye baat sun krr heran ya ghabra gyi ho)

Salma:-ye koi ghabrana wali baat thi??

3 saal phle unhe imama ki wjhe se kafi preshnaiyo ka samna Krna pda tha..unhe aur aur unke shohar Hashim ko...wo tb apni beti ke baare me bht fikr mand the aur usse zyda haishm...lekin un 3 saalo me sb kuch thik ho gya thaa...vo dono ab iske liye puri trhe se mutmayin the...khass tor prr asjad se iski nisbat(engagement) krke..wo janti thi imama asjab ko pasand krti hai aur vo hi nahi asjab ko koi bhi psnd kr skta hai...vo bht accha ladka thaa...wo ye bhi janti hai vo asjad se nisbat hone prr kafi khush hui thi...isse phle asjad aur imama ke darmayan phle se hi Dosti thii...lekin unhe kbhi kbhi lgta tha vo waqt ke sath sath chup hoti jaa rahi haii..vo phle aisi nahi thii

To be continued.........

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 31 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

𝑷𝒆𝒆𝒓-𝒆-𝑲𝒂𝒎𝒊𝒍Where stories live. Discover now