Mohabbat bhi aaj bas ek dikhawe ki dostiyaan hogyi

58 2 0
                                    

Mohabbat bhi aaj bas ek dikhawe ki dostiyaan hogyi
Hum-nasheen ki badalti aada kitno ki fida-e-aada hogyi
Badalte dil mein zarra-e-aks ke mafiq mohabbat jo baaki thi
Aaj woh bhi mohabbat ki tilawat jaane kyun munafiq hogyi

Badalte Jaa rahe hai bahar-e-tabassum kisi ke mehfil mein
Be-rang-e-zindagi ki saazaein unke liye rahat-o-maafi hogyi
Nahi chahta hu ke abh yeh galtiyaan sudhaaru mein meri
Kisi ki mast-e-nazar mujhpe sharab farz hone ki wajah hogyi

Gulaabon ka kitaabon se bahar aane ka Man nahi karta
Unhone guroob-e-zindagi ke kisse padh liye hai
Tum ba-roz zaroor aaye ho tabdeelein karne yaha
Laa-ilaaj  hai meri soch, umr-e-intezaar mein qaid hogyi

Farak nahi padta mere daman mein kitni badnaseebi hai
Aaj use tanha dekh saari khushnaseebi rukhsat hogyi
Jo tu kabhi kehta tha na mayusi tere zindagi ka hissa nahi hai
Aaj dekhle tere daman se saari gair-mayusi rukhkast hogyi

Ink & Ishq ( english - urdu poetry ) Where stories live. Discover now