Kabhi Toh Milo Kisi Mod Par...

21 2 18
                                    

Kabhi toh milo kisi mod par..
K tumhe bohot kuch batana hai..
Kabhi toh takaro kisi raah par..
K tumhe apna haal-e-dil sunana hai..
Do pal k kiye hi sahi, kabhi toh theher jaaye karo..
Aankhon mai dekh humari, thoda toh muskaya karo..
Ek kadam toh badhao tum,
Mai saath nibhane ko taiyaar hun..
Bin kuch puche, tumhara haath thame, tum sang yeh jindagi bitane taiyaar hun..

Lo ruk gaya tumhare liye iss mod par..
Ab tum bolo mai sunne ko taiyaar hun..
Ab jab takaryi hai rahein..
Toh apna haal-e-dil sunane bhi taiyaar hun..
Do pal kya, mai toh jindagi bhar theher jau.
Teri aankhon mai base samandar mai, Haste haste doob jaun..
Jo saath tera mile toh jindagi nikal dun tere intezaar mai..
Par ghayal hon jau teri ek muskaan pe..

Bas bhi kijiye janaab, ab woh kahiye jo hum sun na chahte hai..
Dil pe rakh k haath apne, ab bata bhi dijiye k kya bolne chahte hai..

Haaye!! Mohatarama yun na keher dhaiye..
Sun na toh hum bhi kuch chahte hai toh pehle bataiye..

Ab itna bhi na sataiye.. Kya aapko humse ishq hai, yeh bataiye...

Ishq ka pata nahi, par aap humare dil mai basti hai..
Don ho chahe raat bas aap hi k khyaalon mai kat te hai..
Jo ek din tum se na milun, bechain aa ghumta hun..
Milun kaise tumse bas uske hi bahane dhundhta hun..
Aur jab woh pal aata hai..
Ek jhatke mai hi samay chala jaata hai..
Ishq ka pata nahi, bas iss jindagi mai saath tumhara chahiye hai..
Bolo saath nibhaogi??
Mere sang humari dastan-e-ishq banaogi??

Haaye janab aapne toh dil hi chura liya humara..
Baat agar saath nibhane ki ho,
Humari dastan-e-ishq banane ki ho, toh mai taiyaar hun..
Iss jindagi mai har kadam tumhare sang chalne taiyaar hun..

....................................................

Hehe.. Meko pata nahi kya hi likha hai.. Bas aise hi likh dala toh plss judge na karna as mai koi professional shayar yaa poet nahi hun.. Like ek love confession likhne ka try kiya hai do person k bich ka..

Yours lovely,
Tansyy

Bonding Over The BookWhere stories live. Discover now