chapter 6.

1 1 0
                                    

Rohan:- it's ok bro, tu itna bore kyun ho raha hai haan.....

Varun:- kuchh nahi.... Bas aise hi....

Sanjana:- kaise ho tum dono....

Rohan:- hi kaisi ho tum, itne saalon baad....

Sanjana:- mai theek hun, tum apna batao.... Tum kaise ho.....

Rohan:- all are good....

Sanjana:- actually mujhe baat karni thi....

Rohan:- mai ja raha hun, kyunki mujhe kabab mein haddi nahi banna bye....

Sanjana:- kaise ho tum...

Varun:- mujhe tumse kuchh baat nahi karni....

Sanjana:- lekin kyun.... Pichle 4 saal se mai tumhara intezar kar rahi hun ki tum kab haan kahoge,, infact engagement ke baad tumne shaadi ke liye 2 saal time maanga, maine Diya na aur ab toh 4 saal ho chuke hain aakhir kya wajah hai....

Varun:- please mujhe kuchh der ke liye akela chodh do.... Jao yahan se please...

Sanjana:- mai jawab jaane bagair yahan se nahi jaane wali....

Varun:- ohh god, ye toh mera dimagh kharab kar rahi hai, kuchh na kuch keh kar isko yahan se bhagana hoga....

Sanjana:- bolo na kuchh.....

Varun:- tum sunna chahti ho na toh suno, mai kisi aur se pyar karta hun, aur mujhe tum mein koi intrest nahi hai, infact tum mere type ki nahi ho.....

Sanjana:- tum jhuth bol rahe ho na kyunki tum bhi mujhse pyar karte ho ye mai acchi tarah se jaanti hun, sachh kya hai bolo na please.....

Varun:- mai Maya se pyar karta hun.....

Sanjana:- ab ye Maya kaun hai....

Varun:- hai koi, jis se milkar mai apne aap ko pura mehsus karta hun, wo ladki mere dil ka sukoon hai, wo ladki meri jaan hai..... Ms Maya Arora.....

Sanjana:- wahi jo bahut bade businessman ki beti hai....

Varun:- haan, mai ussi ki baat kar raha hun.... So just leave.....

Sanjana:- tumne mujhe itna bada dhoka Diya... I just hate you.....

Varun:- I hate you too.... Huh, peecha Chuta, tum kab aayi....

Maya:- pichle 10 minutes se mai yahin hun.....

Varun:- kya, ohh no, kahin isne meri aur sanjana ki baatein toh nahi sunn li.....

Maya:- you're right, tumne mujhse itni badi baat chupayi aur ye sab kab hua haan tum mujhse pyar karte ho.....

Varun:- dekho relax, meri baat suno....

Maya:- kya sunu mai tumhari baat aur kyun sunu.... Haan batao mujhe bolo na kuchh.....

Varun:- wo sab maine jhuth kaha tha taaki sanjana yahan se chali jaaye pichle 2 saal se woh Mera intezar kar rahi hai, ki kab mai uss se shaadi karunga hamari engagement ho chuki hai lekin shaadi ke liye time maine liya tha....

Maya:- matlab ki tum dono engaged ho, aur tum uss se pyar karte ho....

Varun:- mai nahi sirf wo mujhse pyaar karti hai mere dil mein toh koi aur hai..... Jis se mai apni jaan se bhi zyada chahta hun.....

Maya:- kaun hai wo....

Varun:- tum, I'm sorry maine tumse bhi jhuth kaha ki mai tumse pyar nahi karta balki tum mere dil mein meri dhadkan banke dhadakti ho, pichle 2 raat se mujhe har pal, har lamha sirf tumhari yaad aati hai....

BEPANAH (season 2).Where stories live. Discover now