shikwa

51 7 13
                                    

ye wo waqt tha jb hm dono ne delhi ki ghariyo ko chor kr gaoo ki trf rukh kiya. Ye gaoo jha pahla barf bari tha or hwa m khija ki hasi mahsoos ho rhi thi, wha kaifiyat ka lutf utha rhe the,
lekin jaise hi mere kadmo ne gaoo ki mitti ko chuma aisa mahsoos hua ke kuch badl sa gya ho, khas kr wo jis k bare m ye dastaa h, us k honto pr muskan jo pahle har lamhe meri zindgi m chamkti thi ek lahze m ghata,
har baar jb m us k ghar aata, sath har baat chit hoti jaisa k ham nashii purane yaar ho, lekin gair matuqaa متوقع tor pr,

kuch hi din guzre the k uski muskurahat mein kuch kadva pan aagaya tha. Usne apne chehre ke izhar mein badlav dikhaya, jaise koi gehra soch raha ho, Uski batein, jo pehle mere dil ko choo jati thi, ab kuch ajeeb si lagne lagi.
Uski mulaqaten pehle ki tarah nahi rahi, uske labo ki hansi mei pehle ki tarah woh baat nahi thi. Uske hawaon mein kuch ajeeb si thandak thi, jaise kuch chhupa hua ho jo ab saamne aane laga ho. maine kai baar us se puchne ki koshish ki k kuch hua h kya, mujhse koi taqlif hui h, or wo muskurahat k sath ek jawab deti "nhiii tooo, sb theek hai"

Uski muskurahat ke peeche chhupi hui kahani meri samajh se bahar thi. Main chahta tha ke woh apni takleef mujhse kahe, lekin shayad woh apne andar chhupaye hue raaz ko saamne nahi lana chahti thi.
Uski tasveer badal chuki thi, aur uske andar ek naya jazbaat ka silsila shuru ho gaya tha. Main samajh nahi pa raha tha ki kyun uske chehre ki roshni mein ek naya safaar shuru ho gya hai.
Lag raha tha ki hamare beech ek anjaan si duri ban gayi hai, jise main samajh nahi pa raha tha. Uske saath hone ke bawajood, kuch gehrayiyan adhoori si mehsoos ho rahi thi. Aur phir, shayad maine soch liya tha ke ab waqt aa gaya hai ke usse uske dil ki baat kehne ka mauka de doon.

Jab use kehne ka mauka diya gaya, to uska lehza bara hi talkh tha. Usne kaha, "Main tumse shaadi nahi kar sakti, Pehle tumse kehti thi ke main tumse shaadi karungi taki tum kamyaab ho jaao, lekin ab mujhse yeh drama nahi hota."
Us waqt mano mere pairo tale zameen khisk gayi ho, uski baatoon ne mere kaleje ko chir kr rakh diya tha, Main andar se poori tarah tut chuka tha. mujhe is baat ka gila nhi h ke us ne mujhe inqaar kiya or ye pahli baar nhi tha, us k kai baar mna krne pr bhi mujhe ek ummid lgi rhti thi k wo kabhi na kabhi to maan jayegi or aisa hua bhi, par is baar uska andaaz bahut mukhtalif tha,
usne bhi kabhi apne mustaqbil ka haseen safar mere sath guzarne ka ek khaab dekha tha, lekin ab wo khaab sirf ek khwaab ban kar hi reh gya hai. Us waqt, har pal ek umang se bhara tha, lekin ab wo umang sirf yaadon mein dabi hai,

khair,,,,,,,,,
Is takraar ne hamare darmiyan ek nayi deewar khadi kar di thi, jo shayad hum dono ke darmiyan ek anjaan si duri bana rahi thi. Usne apni manzilein badal li thin, aur mujhe laga ke main uske liye ab kisi aur ka hissa nahi hoon.
halake m delhi kuch dino m hi lot chuka tha pr us k bina, pura din akela hi guzarta, haan bache aate padhne jis se thora apna waqt acha guzr jata
warna baki time apne billiyon k sath guzarta, taqriban ek mahine k baad wo apni family k sath delhi loti h, khana pina,rahan sahan sath hi hota par jaisa k ab ye wo nhi thi isliye aaj bhi ye dooriyaan hamare darmiyan barqarar thi or uska mujhe nazar andaaz karna mere liye kisi aziyat se km nhi thi

       maine parkha nhi kabhi tujh ko,
       magr samjha har lihaaz se,phle      mohabbat m mubtala kr diyo mujko,
fir nazar andaaz kiya har ek andaaz se,

maine kai baar koshish ki k hamre bich jo anjaan fasila h use khatm kr ek nyii shuraat karte hai, mu'amla kuch sudhar pata us se phle koi na koi ahmaqana taqrar hamare bich ho jati or ye har roz ka jasie ma'mool ban gya tha in sab k bawazood m hi us se mafi mangta or manane ki koshish krta pr ab is ka koi faida nhi tha.
mujhe is baat ki bhi bari afsos hoti h k jitna gaoo m gunahoo se khud hi hifazat kiya krta tha pr yha nhi kr pata, nazroo ki hifazat nhi kr pata,
Qur'aan shraif m Allah SWT irshad farmate k " mo'mino se keh dijye k wo apni nazre nichi rakhe " or aaj hme dekho is se barhkr afsoos kiya hi ho sakta hai,

na jane Q, ab raat ko sone waqt jb khamoshi charo taraf cha jati hai, raat ki andhere m jb chandni roshan hoti hai us waqt ki thandi hawa mano purani yadoo ko taza kr kisi or rukh beh jati hai.
Raat ko sone waqt, uska khyal mere dil ko sukoon deta hai. Uske saath guzre palon ki tasveere mano jaise k ek film ka ek khoobsurat scene ho jp mere dil ke andar chhupi hai. Aur phir, jaise ek lullaby ki tarah, uski yaadon mein kho jaata hoon uske chehre ka tasavvur jaise ek payara sa khab ho jo mere saamne ghoomne lagta hai Uski muskurahat, jise dekh kar mera dil hamesha khil uthta tha hai, shayad uski yaadon ka bojh mere dil pr hai jo har pal sath chalta hai

[CHAND OR TAARO K DARMIYANI GUFTAGU]
taro bhari asmaan m mano jaise tare apas m bate krte ho k akhir kya h us m jo ye sara waqt us k yadoon m mubtala rahta h or chand us ka jawab deta jise taare bari khamoshi or hairati k saath sunta h wo kehta ha k "Aakhir ho bhi Q na, baat to yeh h k us k husn ki misaal di jaa sakti hai, Uski hansi mein chhupi khushboon se hi uska dil bhar aata tha. Uski ankhon mein jo chamak thi wo kisi taare se kam nahi thi, Uske har muskurahat mein chhupi ek khaad baat thi, jise bayan karna muskil hai, Wo ek adhoori kitaab ka ek khubsuat safa tha jiska har lafz uske dil ko choo jata tha. Uski baatein, jin me chhupi hui hikayat, uske zindgi ko roshan kar deti thi,

Magar ab, uski tarifein bhi kyun na kahu, lagta hai jaise wo misal bhi adhoori reh gayi ho, Shayad ab, uski kitaab mein uski kuch khaas jagah khali reh gayi hai, jise wo pura nhi kar sakta hai. us se dur hone k baad lagta hai jaise k wo kisi khubsurat duniya ka rasta din ba din bhatakta ja rha hai, us nadan ladki ko iska tahme rakhna chahiye tha jis ne apna sara kuch uske khatir chor diya or mustaqbil m bhi is ka irada rakhta hai, khair aaghe dekhte hai uski zindgi m kya mor aata hai" 

ENDING,,,,,
"Is safar mein, jahan hum dono ne ek doosre ko samjha, hasaaye, aur rulaye, ab ek naya mod aaya hai. Mere dil mein jo khumaar tha, wo ab ek ajeeb sa sukoon ban gaya hai. Meri diary k har panno m uski yaden zinda hai,
Shayad humare beech kuch ajeeb si duriyan aa gayi hain, Meri diary ka yeh akhri panne, jise likhte waqt har pal yaadgar tha, ab humare dil ki kahani ka aik hissa ban chuka hai. na jane mujhe aaj bhi wo ummid us se lagi rahti hai k wo mere paas dubara lotegi. kuch dino k baad mai dubara gaoo lotunga jha se in sb ki shuru aat hui hai.
khair,,,,,,,
jaise har safar ka ek anjaam hota hai, waise hi ye safar bhi apne anjaam ki taraf badh raha hai.
Shukriya, is khoobsurat safar ka, jise humne ek doosre ke saath tay kiya.
          
  "Khuda hafiz."

Kamu telah mencapai bab terakhir yang dipublikasikan.

⏰ Terakhir diperbarui: Jan 31 ⏰

Tambahkan cerita ini ke Perpustakaan untuk mendapatkan notifikasi saat ada bab baru!

Dastane Zindagi  (Diary)Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang