SHO Karishma Singh

318 26 7
                                    

Jankipuram Police Thana
Karishma enters the thana with full swag rotating the bike keys. She sees that all her team members are busy doing talking to each other. She clears her throat to grab their attention. Everyone looks at her. Seeing the 3 stars on her uniform and her name badge they realise that she is their senior and the new SHO. All of them immediately wear their caps.

Karishma: Jai Hind hum hai Inspector Karishma Singh iss thane ki nayi SHO aur aap sabki senior.

Team: Jai Hind maddam.

Karishma: Ab kripya karke aap sab apna parichay dijiye.

Rajvir: Sub Inspector Rajvir Tomar reporting maddam.

Suresh: Head constable Suresh Mishra reporting maddam.

Shalini: Constable Shalini Pandey reporting maddam.

Aditya: Constable Aditya Sharma reporting maddam.

Karishma: Aap sabse milke humko bohot accha laga. Ab chaliye sab kaam pe lagiye.

Everyone: Ji maddam.

Everyone except goes and starts doing their work except Rajvir as he is standing there lost in Karishma. Karishma sees him standing still over there and gets confused.

Karishma: Tomar ji.

She gets no reply as bechara Rajvir toh iske khyaalon mein khoya hai, dil mein pyaar ki ghanti joh baj rahi thi.

Karishma(loudly): Rajvir Tomar.

This brings him out of his trance.

Rajvir: Ji maddam.

Karishma: Hum kabse aapko bula rahe te lekin aap pata nahi nahi kaha kho gaye te. Chodiye yeh sab aap jaake apna kaam kijiye.

Rajvir: Sorry maddam hum abhi jaate hai.

Rajvir goes to his desk and starts working. Karishma goes to her cabin and sees her chair. She gets emotional seeing it.

Karishma: Yeh SHO ki kursi yeh ab humari hai, humko toh abhi bhi vishwas nahi horaha ki hum SHO ban gaye hai. Humara swapna aakhir mein sakhaar ho hi gaya.

Karishma goes and sits on her chair feeling proud of herself. She then starts doing her work. Soon it's lunch break.

Karishma: Chalo ab lunch time hogaya, apna tiffin khaate hain bohot bhook lagi hai humko. Hum ek kaam karte hai bahar sabke saath hi lunch karenge. Saath mein agar sab lunch karenge toh thoda gulna milna bhi ho jayega.

Karishma goes out with her tiffin and sits with her team on the table. They are surprised by this.

Rajvir: Arey maddam aap yaha?

Karishma: Ha hum aap sabke saath lunch karne aaye hai.

Mishra: Aap sachmein humare saath lunch karegi?

Karishma: Ha kahe, kono dikkat?

Shalini: Nahi maddam aisi koi baat nahi hum toh bas chauk gaye te. Aap humari senior hai iss thane ki SHO aur aap humare saath lunch karegi isliye.

Aditya: Humare picchle thane mein joh SHO thi na woh bilkul opposite thi. Jab unka pehla din tha humare thane mein tab humne unka humare saath lunch karne keliye kaha tha lekin uss baat pe maddam gussa hogayi. Unhone kaha ki woh aude mein badi hai, hum jaise chote logon ke saath bethna ya lunch karna unhe shobha nahi deta.

Karishma: Arey aisa kuch nahi hota, hum nahi maante inn sab mein. Aapki purani SHO ahankari thi isliye aise bakwas ki usne. Humara manna hai ki sab ek samaan hai. Hum thane walon ko na ek parivaar ki tarah rehna chahiye.

Rajvir: Aap na bohot acchi hai maddam.

Karishma: Ab chaliye khana shuru karte hai.

All of them open their tiffins.

Karishma: Waise hum sabko ek dusre ke baaremein janna chahiye accha hoga na. Toh aap sab bataye ki aap log kaha se hai parivaar mein kon kon hai. Mishra ji aapse shuruwat karte hai.

Mishra: Maddam hum Dharampur se hai, humare parivaar mein sirf humari patni aur bacche hai. Humara beta engineer hai aur bitiya gaav ke paathshala mein teacher hai.

Rajvir: Maddam hum Bareilly se hai, humare parivaar mein humare amma bauji, bade bhaiya bhabhi aur humari choti behen hai. Bauji ek kisaan hai, bhaiya darji hai, maa aur bhabhi masalon ka chota sa vyapar karte hai ghar mein aur humari behen school mein hai ab dasvi kaksha mein. Humari behen na bohot badi sarkari avsar banna hai.

Karishma: Tomar ji humko purn vishwas hai aapki behen bohot badi avsar banegi. Woh aap sabka naam roshan karegi. Apni behen ko humari shubhkamnaye dena.

Rajvir: Dhanyawad maddam.

Shalini: Maddam hum Meerut se hai. Humare parivaar mein na bas humare amma bauji aur bhaiya. Amma aur bauji dono sarkari school ke retired teachers hai aur bhaiya bank mein manager ka kaam karte hai.

Aditya: Maddam hum Allahabad se hai. Humare parivaar mein toh bas hum aur humari didi hai. Amma bauji toh bachpan mein hi guzar gaye uske baad didi ne hi humko sambhala. Din raat mehnat ki taaki hum padhai kar sake. Humari didi na doctor hai.

Karishma: Hum Kanpur se hai johki humara maika hai. Aur sasural Ghaziabad mein hai. Humare maike mein humare bhaiya bhabhi aur ek bhanja hai. Aur sasural mein patidev, sasu maiya aur sasurji hai. Humare maa baba do saal pehle ek accident mein guzar gaye.

Shalini: Aap sachmein shaadi shuda hai maddam?

Karishma: Ha.

Mishra: Aapko dekhe lagta hi nahi ki aap shaadi shuda hai.

Aditya: Waise aapki shaadi ko kitne saal hogaye maddam?

Karishma: Humare vivaah ko toh paanch varsh hogaye.

Rajvir is heartbroken hearing that Karishma is married but then he composes himself.

Like this the day passes by.

Singh Niwas
Karishma returns home at 10 tired. Amarbhav are already back home.

Amar: Karu yeh lo pani.

Karishma: Dhanyawad patidev. Aaj na hum bohot thakk gaye hai.

Anubhav: Chanda tum jaake fresh hojao hum khana lagate hai.

Karishma: Ji bhaiya.

Karishma freshens up and comes down to have dinner.

Anubhav: Chanda aaj tumhara pehla din kaisa tha?

Karishma: Bohot accha tha bhaiya, sab acche se hogaya.

Amar: Aur thane wale woh kaise hai?

Karishma: Puri team na bohot acche hai, woh sab bohot friendly aur corporative hai. Unke saath kaam karna humhe accha laga.

Chapter completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.

Amrishma Where stories live. Discover now