Possessive Embrace 2

593 80 80
                                    

.
.
.
.
.
.
.
The next day in the afternoon, Payal came to the station and saw Karishma drinking tea and discussing with Cheeta about a case. She went to Karishma,"Karishmaji, kaise hai aap?"
Karishma, "Haan theek hai hum. Tum batao kaise aana hua?"
Payal, "Woh meri na padhai mein kuch problem hai. Kuch topics hai jisme se main kuch cheezein samajh nahi parahi. Aap free hai to thodi madat kardenge meri, please?"
Karishma looked at Cheetah, "Cheete, hum Payal se baat karte hai, tab tak tum nashta kar aao fir hume patrolling pe bhi jaana hai. Aur suno, aate waqt Maddam sir ke liye unki favorite barfi aur ice cream le aana, yeh lo paise."
Cheeta, "Theek hai madam. Bas 10 minute mein aaya."
Karishma nodded her head and then turned to Payal, "Dekho Payal, abhi kuch din hum thode busy rahenege. Toh hum padhai ya fir college ki projects mein tumhari madaat nahi kar payenge. Tum baaki ka padhai apne teacher se samajh lena. Agar phir bhi dikkat huyi to Maddam sir ke paas chale aana. Woh tumhari madaat kardengi. Balki Maddam sir to humse bhi zyada acche se samjhayenge. Tum samajh rahi ho humari baat ko?"
Payal's face fell, "Main samajh gaayi. Main manage karlungi. Maddam sir ke paas nahi aana padega shaayad."
Karishma, "Theek hai. Jaisa tum theek samjho."
Payal, "Waise aapko jab bhi waqt mile kya hum mil sakte hai aapse?"
Karishma, "Nahi, kiuki humari naukhri aisi hai ke time nikalna mushkil hai. Aur humari fursat kisi aur ke naam hai jiska hum dil nahi dukha sakte. Balki fursat nahi humne humari puri ki puri zindagi ka haqdaar banaya hai unhe. To hume jab bhi waqt mile hum unhike saath rehna pasand kartehe."
Payal couldn't form any word as she understood that Karishma have already someone in her life.
Karishma continued after a short pause, "Abhi tumhe jo bhi samajhna hai Maddam sir ke paas jao. Woh tumhe samjha denge."
Payal stood up from the chair and said, "Koi baat nahi. Main kal teacher se poonch lungi. To main chalti hoon. Aap bhi to bahaar jaayenge? Chaliye saath chalte hai."
Karishma, "Nahi, abhi hume Maddam sir se thoda kaam hai. To tum jao."
Payal, "Karishmaji?"
Karishma, "Hmm."
Payal, "Shayad ab se humari pehle ki tarah mulaqaat nahi hogi. Kya hum dost reh sakte hai? Kya main aapko ekbaar hug karsakti hoo?"
Karishma, "Nahi. Hum comfortable nahi hain. Asha karte hai tum humari swabhav samjhogi."
Payal nodded her head and left the station.
Few minutes later Cheetah came back with a packet of snacks and handed it to Karishma.
Karishma went towards Haseena's cabin and found Haseena engrossed in a file. She kept watching her for a while. The way Haseena's expression was changing every now and then and the way she was chewing her pen cap, Karishma was enjoying the view. Coming back from her lalaland, she knocked on the door to gain Haseena's attention.
Haseena looked up from the file and found Karishma standing there. Karishma walked in and sat on the sofa. Haseena closed the file and came to sit beside Karishma.
Karishma opened the packet and forwarded the snacks to Haseena, "Lijiye, lunch kiye huye bohot der hogayi hai. Ye kha lijiye, phir kaam kariye."
Haseena smiled seeing the caring side of her bhowkali baby. She started eating and also fed Karishma in between. Both had their sweet moments and laughter while eating.
Two hours later,
It was nearly end of duty hours and Haseena was finishing her work so she could go home with Karishma. But the workload was too much and she might need another hour to finish them.
She sighed, "Ya Allah, itna sara kyu hai file! Woh bhi aaj hi inhe khatam karna hai. Udhar Karishma field duty se bas wapas aahi rahe honge."
She then realized that it was not the workload that irked her, she just wanted to go home with Karishma as early as possible. She said to herself, "Ye Karishma na hume din ba din pagal bana rahe hai. Hume, Haseena Mallik ko aaj kaam pasand nahi aaraha. Dekho to zara, unke saath waqt bitane ki itni jaldi hai ki duty bhi ab boring lagne lagi hai. Aur ek ye hai ki inhe koi farq hi nahi padta. Ye humse mohabbat karte bhi ya nahi. Ya Khuda, humari thodi si madat karde please, iss buddhu se aas lagaye baithe hai, na jaane humara sapna pura hoga bhi ya nahi."

Otherside, Karishma and Cheeta were sitting in a tea stall after finishing their duty. They were sipping tea while Cheeta suddenly started speaking, "Ab to duty khatam hai na ajke liye?"
Karishma, "Ha, aaj ke liye to khatam hai."
Cheeta, "Mujhe kuch batana hai aapko, bolu? Matlab ek bhai ke hesiyat se."
Karishma frowned, "Tum kabse mere saamne itni hichkichane laage! Bako kiya kehna hai."
That time from nowhere Billu appeared startling Cheeta. Cheeta gasped at his sudden appearance, "Ae narbhakshi, aadimanab, kitni bar, kitni bar tumhe kaahe hai aisi bhayankar shakal liye humare saamne achanak se aaya mat karo. Kisi din dil ke doure se mar jaayenge to humari Santuji shaadi se pehle hi vidhva hojayengi."
Billu, "Aree nithalle, tu itni asaani se nahi marega. Teri to main encounter karunga."
Karishma, "Ae bhak, kya bakeiti laga rakkhe ho dono milke. Aur Bille tu yaha kaha se aaya?"
Billu, "Madam mujhe nahi pata. Iss nithalle na mujhe call karke kaha ki urgent baat karni hai."
Karishma looked at Cheeta, "Abee urgent kiya baat hai jo thaane mein na kehkar yaaha kehna padega! Abhi hum dono thaane jaarahe the na?"
Cheeta, "Madam, thaane mein nahi kar sakte isiliye to yaha bulaaya."
Karishma, "Haan samajh gaye jaldi bolo. Hume thaana jaldi lautna hai, Maddam sir humari intezaar kar rahi hongi."
Cheeta, "Maddam sir ke baare main hi baat karni hai."
Karishma now became serious, "Maddam sir ke baare mein kya baat hai?"
Cheeta, "Maddam sir ke baare mein aapka kya khaayal hai? Nahi matlab acche hai bohot ye to hum saab jante hai, par aapko nahi lagta ki unke liye aapke feelings dosti se thoda bohot zyada hai?"
Billu added, "Mujhe lagta hai thoda nahi bohot hi zyaada hai, hai na Karishma madam?"
Karishma, "Hmm, hum samajh rahe hai ki tum kehna kya chahte ho. Aur suno hume na humare feelings ke baare mein acche se pata hai. Sikhao mat hume tum dono. Bada loveguru banne aaye."
Cheeta gave a surprised look, "Haa! Aapko pata hai ka kya matlab hua? Kya aap Maddam sir se pyaar nahi karte?"
Karishma, "Haa karte hai. To?"
Billu, "To!! To madam aap unse kehte kyu nahi!!"
Karishma, "Kya kahe?"
Cheeta, "Kya kahe ka kya matlab? Aap unse pyaar karte hai iye baat aap unse kehta kyu nahi?!"
Karishma, "Hum unse pyaar karte hai par woh humse nahi karti nah. Woh shayad abhi bhi Anu bhaia se pyaar karte hai. Aur Anu bhaia ko humne apni inhi haato se goli mara tha."
Cheeta, "Madam, ye aapki galat fehmi hai. Na matlab agar Maddam sir ko Anubhav sir se pyaar hota to kya wo kya aapko kabhi maaf karti?"
Billu, "Haan, aur Sir ne Maddam sir ko dhoka diya hai, wo bhi ek nahi teen teen bar. Maddam sir kaha Anubhav sir se pyaar karte rahengi?"
Karishma, "Hume nahi pataa, par Anu bhaia jab sagai chodke chale gaaye the tab Maddam sir bohot royi thi. Aur unhone aapne mission ke baare main bhi Anu bhaia se hi sabse pehle baat ki thi. Idhar hum tadapte rahe unke baare mein sochkar aur unhone Anu bhaia ko sab saach batayi thi ki wohi Haseena Mallik hai Urmila ke naqaab mein, jab ki Anu bhaia hi asli gaddar the. Aur itne saalo mein bhi hum aaj tak unka bharosa nahi jeet paye, tabhi to unhone hum sabpe shakh kiya, Urmila bankar yaha rahi humpe investigation karne ke liye aur Anu bhaia ko saare saach bata diye."
Cheeta, "Par madam aisa bhi to hosakta hai na ke Maddam sir Anubhav sir se saach nahi kahi thi, balki Anubhav sir ne Maddam sir ko majboor kiya ho?"
Billu, "Haan, aur ye investigation bhi to Maddam sir ne Bakshi sir ke kehne par kiya tha na? Unhone kabhi humpar shakh nahi ki thi."
Karishma, "Haan, jaante hai. Phir bhi hume nahi lagta ki Maddam sir humare liye woh feel karti hai jo hum unke liye karte hai."
Cheeta, "Aap ekbar kehkar to dekhiye, mujhe pakka yakeen hai ke Maddam sir bhi aapse pyaar karti hai."
Billu, "Haan, main bhi sure hoon."
Karishma, "Ama tum dono churan ke liye na hum aapni dosti nahi gawana chahte. Samjhe? Ab kato dono ke dono yaha se. Dimaag ka churan bana rahe dono humara."
Cheeta, "Par madam jo bhi kariyega na soch samajhkar kariye. Humne aaj hi Pushpaji ko Ammi se baat karte huye suna hai ki Ammi kal wapas arahe hai aur unhone Maddam sir ke liye koi ladka dhoondliye hai. Keh rahi thi ki ladka NRI hai, khaandan accha hai aur ladka ek lauta beta hai ma baap ka. Ammi ko ladka bohot zyaada pasand aaya hai aur woh Maddam sir ko ladke se milwane waali hai parsu."
Karishma frowned hearing the new information and was at a loss of what to do.
Karishma, "Ismein naya kiya hai? Maddam sir us namune se milegi aur reject kardengi. Ismein pareshaan hone waali koi baat nahi hai."
Cheeta, "Par madam kabtak? Shayad ye ladka ya phir koi aur ladka Maddam sir ko pasand aajaye?"
Karishma, "To phir unke khushi mein hi humari khushi hai. Woh khush rahe to hume bhi chayn milegi."
Cheeta and Billu left the place while Karishma started her bike and went towards the station to pick Haseena and go to their house as Ammi will be returning tomorrow.
Arriving the station, she went to Haseena's cabin and found her working. She knocked on the door to gain Haseena's attention. Haseena looked up from the file and saw Karishma standing on her cabin's doorstep.
Haseena, "Aagaye aap, thoda intezaar kariye. Hum bas ye jo files bachi hai inhe khatam karke aate hai."
Karishma walked in, "Laaiye hum madaat kar dete hai."
Haseena forwarded her a file and both continued to work. 30 minutes later, the files were finished and both went to home.

KarEena One ShotsWhere stories live. Discover now