part 7 : savi ki liye ladka

581 31 12
                                    

Continue from the last part

Savi: apne ghar mein wapas aana mein kaise sharm ..... Yeh mere Papa ka bhi Ghar hai.... Hnn voh alag baat hai ki hum yahan  rehte nahin hai....

Aur Shayad aapki yaddasht kamjor hai toh main aapko yad dila do ki aapane mujhe nikaalne ke liye bas hath pakda tha aapane nikala nahin tha aur very important thing aap hoti Kaun hai  mujhe mere Ghar se nikalne wali....

Pakhi:  iss Ghar ki Bahu ....or tumhare papa ki wife....

Savi: Ooo.... Usse  samay Papa ne bilkul theek kaha tha.... aapko na doctor ke pass ja kar  checkup karva Lena chahie....
You needed....

Pakhi: tumhare itni himmat.... just get out of my house.... Iss ghar ka ek bhi patta agar hilta hai to sirf mere permission se

Savi : yeh aapka Ghar nahi hai...aunty.... Yah Mera Ghar hai... Aur apne he ghar mein aane ke liye mujhe kisi ki permission ki jarurat  nahin hai .....specially aapki permission ki toh bilkul bhi jarurat nahin hai..... Aur yeh Ghar aapka kaise hua...

Pakhi:  matlab...

Savi: matlab... Agar aap Samrat mama ke wife hone ke naate agar aap yahan rah rahe ho toh Samrat mama toh iss duniya mein nahin hai Aur na hi aapki saas iss duniya mein Aur vaise bhi yeh ghar toh aapki saas ka mayka hai toh aapka yeh Ghar kaise hua....

Pakhi: maine yahan...Virat ki biwi hone ke naate hun...

Savi: aacha.. per papa  toh yahan rehte he nhi ....aur papa ne toh aai ke sath shaadi karle hai ....ab toh dr Sai hai papa ki wife....toh aap yahan kya kar rahe hai .... Boliye....

Pakhi: tum na zyada assumptions mat nikal lo... samjhe....

Bhavani: chupppp...... Savi itne saal baad aaye hai....tum yeh sab baat kar rahe ho....

Pakhi: toh... mujhe  se yeh ladki kaise baat kar Rahi hai woh aapko nhi dekhta....

Sonali: bas... Patralekha please...koi tamasha mat karo...itne saal baad savi aaye hai....tumhe Agra baat nhi karne..toh humein toh karne do please.....savi chal...bada...

Savi: hnn....chaleye...

Pakhi left....

Scene shift

Sai open the door and someone standing....

Sai:  aree....viraj ...beta tum..yahan

Viraj:  good morning mam...

Sai: good morning.... itne subha subha...

Viraj: mam woh sir se case ke related  kaam tha... isliye... Aana pada....

Sai: matlab... Jab tak sir se kuchh Kam nahin hoga Tum tab tak Ghar aaoge nahin...

Viraj: nhi nhi .....mam aisi baat nahin hai

Sai:  aacha chalo andar aa jao main tumhare sir Ko bulati hun

Viraj come and sat on the sofa...

Sai: just wait...I  call him

Viraj: hmm

Sai went to the room and said ...

Sai: Virat .....viraj aaya hai ... Aapse kuchh case ke related kuchh baat karni hai usse...

Virat: hnn....aa raha hun...

Virat come and chit chat with viraj....and virat said

Virat: thik hai tum dekho...and then inform me....okk..

Viraj: yeah.... sure sir.. thik sir I think  should I leave....

Sai: aree...  aaye Ho tho  nashta karke chal Jana...

Viraj: nhi nhi mam ... its ok...per nashta karke aaya hun.

Sai: kaise ... Dr Isha toh Nagpur gayi Hui hai.... toh..... fir tumhen nashta banakar kis ne Diya...hnn bol..

Viraj: haa..umm

Virat: viraj kha kar chale jao warna tumhare mam nahi manegi...

Viraj: thik hai..

Sai: yeh huyi na baat...chalo aap dono....

Sai served breakfast...to both of them....and then  observe viraj very consistency... And this is noticed by Virat.... Then Viraj complete their breakfast.....

Viraj: thank you so much mam for this delicious breakfast....

Sai: my pleasure... Tumhe break fast pansand aaye....

Viraj: thik mam ...mein chalta hun.. mujhe na flight pakdana Hain...or time bhi hogaya hai....

Virat: Kahan Jaa rahe ho...

Viraj: abhi Inko kaise bataun mujhe savi ki debate dekhne Jana..hai .... usse ne  personally mujhe Bulaya hai ( in mind)

Viraj:  Woh aai ne Bulaya hai mujhe isiliye....sir...

Virat: matlab.... Tum bhi ja Rahe Ho Nagpur... Yeh tumhari mam bhi ja rahi hai Nagpur savi ka debate dekhne toh  tum ek kaam  karo na tum apni ko  mam company de do. .....

Viraj: thik hai sir....

Then viraj leave....

Sai: kya jarurat hai iski ....hnn

Virat: aree... Tum donon ek he jagah ja Rahe Ho toh kya dikkat hai... Aur agar Viraj tumhare sath rahega toh mujhe  tumhari safety ki  chinta nahin rahegi isliye...

Aur tum Viraj ko itne Dhyan se kyun dekh rahi thi maine tumhen notice kiya tha .....kya baat hai....

Sai: aree.. jis tarike se baat kar raha tha na... lag raha tha ki kafi zimmedaar person hai... Bilkul aapki tarah...toh mein  soch rahi thi ki agar Viraj hamari...

Virat: bas... Ho gaya ab aage kuchh mat bolna ok .... jao tumko Nagpur jana hai na viraj aata he hoga...tum jao aapna   preparation kar lo.... jao...

Sai: aree... Meri baat to sun lo

Virat: mujhe nhi suna...

Sai: nhi sunna padega aapko.. main kya soch rahi hun agar savi aur Viraj donon ki relationship ko hum friendship ki jagah koi Aur Naam de toh  kaisa rahega...

Virat: tumhe Aisa kyon laga ki savi ke liye Viraj he best hai kyun...

Sai: aree... Dekha nahin kis tarike se baat kar raha tha aisa lag raha tha na ki aapki Puri carbon copy hai aur savi bhi toh yahi chahti hai... Ki uska jo partner hai bilkul aapki tarah ho  Jaise main sochati thi ki mera partner bilkul meri aaba ki tarah ho... Jise mujhe aapke andar mere aaba najar aate Hain waise he mujhe Na Viraj ke andar na aap najar aate ho to savi ke liye Viraj kaisa rahega....

Virat: Sai... Savi abhi bacchi hai abhi tum uski shaadi ke bare mein soch rahi hun...

Sai: aree... Main Bas bol rahi hun ki savi ke liye Viraj kaisa rahega.... abhi mandap sajakar uski shaadi karvane ki baat nahin kar rahi hun main...

Virat: maine.... Aise kisi Ko bhi meri savi ke sath shaadi karne ki permission nahin Dene wala.... pehle  uski Puri jaanch padtaal hogi uske baad ......aur tumko uski family ke bare mein pata hai ki kon  kon  hai uski family mein... Jahan Tak mujhe pata hai uski family mein sirf dr Isha  hai aur koi nahin hai

Sai: hnn  toh  pata Laga lenge main Bas kah rahi hun ki kaisa rahega ...

Virat: abhi yeh sab mat socho jao apni preparation karo... Nagpur jana hai na voh Viraj aate hi hoga...jao

Then Virat leave....

Votes: 13

Comment: 10

Ghum Hai Kisi Ke Pyar Mein Where stories live. Discover now