Part- 10

423 75 120
                                    

Continued...

"Sara dimaag ka system hila rakha hai in dono police waliyon ne...!" Sarkar said before sipping his tea, to Vishwas.

"Ab kya kiya dono ne aur tum bachane ke baad hamare paas kyu nhi aaye?" Vishwas asked.

"Pata nhi kaise udhar pahuch gye hum, ek toh aise hi sar dard se atom bomb hua pada hai aur woh dono hume Anubhav Anubhav ka ratt laga kar bulaye ja rahi hai..!" Sarkar said, irritated.

"Waise hua kya tha tumhare kidnap hone ke baad?" Vishwas asked.

"Pata nhi mujhe bas itna yaad hai udhar us Anubhav ke Ghar se nikla mein tab kisi ne pichhe se kuch chubhaya aur uske baad jab hosh aaya toh us Mahila Police Thane ke bahar tha..!" He replied.

"Aur kuch yaad nhi hai?" Vishwas asked.

"Nhi..waise Vishwas sahab ek baat hume clear clear bataiye yeh  Anubhav ke saath hua kya tha aur woh is Haseena se kaise juda?" Sarkar asked.

"Umm..Anubhav ko desk duty chahiye thi isliye usne ek application di aur use Lucknow ke DSP ka padd Mila phir usi dauran uske dusre din hi shayad use ek mission Mila jisme doubt Haseena ke muh bole Chacha ji par tha, Anubhav ne pehle Haseena ko Jana ki woh bikne walo mein se hai ya nhi phir Honey trap kiya aur dono ke rishte ke bare mein pure shahar mein baat fail gyi..par ek din Haseena ko sab pata chal gya toh Anubhav ne use sab bata kar unhe on board mission par le liya... mission pura hua aur Haseena ke chacha ki ki jagah unki second wife culprit nikali...sab sahi tha phir saath kaam karte karte Anubhav ko Haseena se pyaar ho gya, manana ruthna sab chala aur baat sagai tak pahuch gyi, Anubhav sagai par nhi pahucha aur phir sab khatm, aisa laga par ek din Anubhav ka phone aaya, Haseena ke paas ek hard disk tha uske liye...phir ek Robot Meera ke jariye kisi ne Haseena par hamla kiya aur phir mission Behrupiya shuru hua uske baad Jo court mein suna woh..!" Vishwas explained the entire case in one go, wearing a soft smile.

"Ohh... par ek sawal hai..." Sarkar interrupted, glancing at Vishwas. "Anubhav ko Haseena aur Karishma ne mara, toh body gayab kaise huyi Anubhav ki? I mean, woh toh saaf saaf mana kar rahi hai?"

"Is sawal ka jawab toh wahi de sakta hai jisne gayab kiya ho, aur jald hi hamare haath lagega!" Vishwas replied, anger burning in his otherwise calm eyes.

"Matlab, woh dono ne gayab nahi kiya?" Sarkar probed further.

"Nahi, woh kar hi nahi sakti thi, kyunki dono ek andar itni nafrat bhari thi ki woh Anubhav ki body chhuna toh door ek baar bhi Karishma ne palat ke nahi dekha ki woh Zinda hai ya murda...!" Vishwas explained with a touch of sarcasm, his smile turning sardonic.

"Aapko lagta hai Anubhav Zinda ho sakta hai?" Sarkar inquired, curious.

"Bilkul lagta hai.." Vishwas replied, looking directly at Sarkar. "Woh Zinda bhi ho sakta hai aur hamare aas paas bhi...!" He added, a smirk playing on his lips. Sarkar smirked back, nodding in understanding.

"Toh phir aage kya karna hai, Vishwas sahab?" Sarkar asked, smiling.

"Karna kya hai, Khiladi ke usi ke khel mein fasana hai aur Mohre ko Bajir banana hai...!" Vishwas concluded with a dangerous smirk, and they both sipped the last sip of their tea.

Mahila Police Thana

"Kya report negative hai?" Haseena asked in surprise as Karishma informed her about her and Anubhav's DNA test.

"Haan madam, ab toh aap maan gayi ki woh Dhruv Sarkar, Anubhav Singh nahi hai...!" Karishma said tauntingly. Haseena hummed before ending the call.

"Agar woh Anubhav nhi hai, toh phir usne hamare bulane par hume 'Priye' kyu kaha? Woh toh sirf Anubhav kehte the...!" She questioned herself, her mind wandering back into the past.

Mohra Where stories live. Discover now