Amar is sitting in his room staring at Karishma's photo.
Amar: I miss you Karu, bohot yaad aati hai tumhari. Pata nahi tum kaisi ho, I just hope ki tum khush ho. Pata nahi hum kabhi tumse mil payenge ya nahi par hum humesha tumse hi pyaar karte rahenge. Uss Amar Vidrohi ke dil mein sirf ek hi ladki thi hai aur humesha rahegi, woh ladki tum ho Karishma Singh. I love you Karu.
Someone keeps a hand on his shoulder, he turns and sees Anubhav.
Amar: Anubhav tum yaha?
Anubhav: Kashi ki yaad aarahi hai?
Amar: Uski yaad kab nahi aati humko? Hum kabhi usse yaad karna nahi chod sakte. Tum bhi miss karte ho na usse. Karu humara pyaar hai aur tumhari toh laadli behen hai.
Anubhav: Satya kaha tumne bohot miss karte hai hum apni Kashi ko. 12 saal hogaye humne usse dekha nahi na uski koi khabar hai. Ab toh humari laadli badi hogayi hogi par swabhav uska bilkul bachpan ke jaise hoga. Shaanti ki murat, chanchal pari jiske chehre pe humesha smile rehti hai. Jisko yeh gussa maarpeet yeh sab pasand nahi. Humari chanchal pari ki chanchalta ko bohot miss karte hai hum.
A scene flashes in Anubhav's mind remembering his sister.
Anubhav was walking in the hall when suddenly he slips on the pebbles thrown by someone on the floor and falls down hard.
Anubhav: Oucch.
Karishma starts laughing.
Karishma: Yayyyyy Yayyyyy Anu bhaiya gir gaye yayyyyy. Hahaha Anu bhaiya aap aise gire hue kitne acche lag rahe hai. Hahahaha. ( Claps her hands in happiness.)
Scene 2
Karishma: Anu bhaiya aap humare saath humesha rahiyega, please humko kabhi chodke mat jaana.
Anubhav: Ha Kashi hum humesha tumhare saath hi rahenge.
MPT
Karishma is sitting in her cabin doing her work. Haseena enters the cabin.Haseena: Jai Hind maddam sir.
Karishma: Jai Hind Haseena Malik. Aap kab aayi rounds se?
Haseena: Hum bas abhi aaye hai maddam sir. Yeh kuch files pe aapke sign chahiye.
Karishma: Ji aap e files joh hai na yahi rakh dijiye, hum baadmein sign kardenge. Ab aap jasakti hai.
Haseena: Ji.
Haseena leaves from the cabin. Karishma resumes her work. Suddenly Krish who was sleeping in the cot there starts crying after waking up. Karishma immediately goes and picks him up.
Karishma: Ka hua Krish kahe rorahe ho? Sab kuch toh theek hi hai, diaper bhi saaf hai phir kahe roraha hai yeh? Iske toh khaane ka samay bhi nahi hua. Krish beta shaant hoja, maa ke acche bacche ho na tum. Krish stops crying so she puts hum back in the cot, the moment she keeps him back he starts crying again.
Karishma: Accha toh Krishu ko apni maa ke paas hi rehna hai samajh gaye.
She picks him up again and he keeps quiet. She sits on her chair with Krish on her lap and continues doing her work. After sometime her official phone rings and she sees it's her senior calling.
Karishma: DSP sir ka call.(Picks it up) Jai Hind sir.
DSP: Jai Hind Karishma Singh. Humne yeh puchne keliye phone kiya ki woh Gauri Shankar wala case file aur orphanage ka case file ab tak humare paas kyun nahi pahunchi? Woh dono taiyaar toh hai na?
Karishma: Ji sir Gaurishankar wale case ki detailed report taiyaar hai aur anathalay wale case file bhi. Hum abhi mukhyalay aarahe hai sir files leke.
DSP: Theek hai Jai Hind.
Karishma: Jai Hind.
Karishma puts Krish back to sleep in the cot and goes to the hall.
Karishma: Suniye sab hum mukhyalay jarahe hai kahe ki DSP sir ne tatkaal mein bulaya hai humko. Toh aap sab Krish ko sambhal lena. Jai Hind.
Team: Jai Hind maddam sir.
Karishma leaves for the headquarters and is back in an hour.
Team: Jai Hind maddam sir.
Karishma: Jai Hind. Santu??
Santu: No updates maddamsir, koi naya case nahi aaya.
Karishma: Theek hai. Humhe aap sabko ek mahatvapurn suchna deni hai. Humare joh DSP sir hai na woh apne janamsthal pe transfer lerahe hai humesha keliye. Toh unki jagah yaha ek naye DSP aayenge ek hafte baad. Ek aur baat, aajse theek ek hafte baad ek naya SHO aayenge iss thane mein. Humare saath woh bhi thane ke SHO honge. Sirf DSP sir hi nahi sheher ke naye commissioner bhi aarahe hai transfer hokar.
Haseena: Maddam sir unn teen officers ka naam kya hai?
Karishma: Uska ghyaan toh humko bhi nahi hai, jitna pata hai humne bataya sabko. Hum apne cabin mein hai.
All of them get back to work.
Pushpa Niwas
Everyone are sitting in the hall having their evening tea with snacks.Haseena: Bua bhaiya bhabhi humhe aap teeno ko kuch batana hai.
Nikhil: Bolo choti kya baat hai?
Haseena: Woh..woh..hum.. humara ek boyfriend hai jisse hum bohot pyaar karte hai.
Nikhil: KYAAAAAA?
Haseena: Bhaiya please gussa mat hoye, woh ladka bohot accha hai aur humse bohot mohobbat karta hai.
Pushpa: Nikhil tum shaant hojao. Aur Haseena tum kisise pyaar karti ho yeh toh bohot acchi baat hai.
Karishma: Waise Haseena kabse tum dono relationship mein ho? Kaise jaante ho usse.
Haseena: Hum dono 6 mahino se relationship mein hai. Ek saal pehle jab hum mission keliye Gorakhpur gaye te ussi mission mein woh humare partner te. Ek mahine tak mission keliye hum saath rahe aur dosti bohot acchi hogayi phir pyaar.
Nikhil: Mission mein partner tha matlab? Woh bhi police officer hai?
Haseena: Ha bhaiya woh bhi police officer hai aur humari tarah bohot bada deshbhakt. Ghaziabad ka DSP hai aur department ke sabse best officers mein se ek.
Nikhil: Impressive. Jaise tum batarahi ho lagta hai ki woh bohot accha ladka hai. Aur humko pata hai ki tum apne liye ekdam sahi ladka hi chunogi.
Karishma: Waise Haseena naam ka hai humare hone wale jijaji ka? Tumne uske baaremein itna sab bataya lekin naam nahi.
Haseena: Oh sorry bhul gayi bhabhi. Unka naam Anubhav Singh hai.
Hearing this Karishma starts coughing badly. Haseena rubs her back gently and she stops coughing. Haseena gives her water and she drinks it.
Haseena: Aap theek hai na bhabhi?
Karishma: Ji. In mind: Haseena ke boyfriend ka naam Anubhav Singh matlab humare Anu bhaiya hai. Nahi Karishma woh koi dusra Anubhav Singh bhi toh hosakta hai, sansaar mein kitne purush hai jinka naam Anubhav Singh hota hai.
Pushpa ji: Toh Haseena kab milwaogi tum hum sabko hone wale daamad ji se.
Haseena: Bohot jald bua.
Chapter completed.
Hope you'll like it.
Do vote and comment.