TIME FLIES, IMPRINTS REMAIN

27 4 0
                                    


Jai- we are getting late ani. Jadi chalo yaar.

Anika- coming. Kya problem hain 15 minutes ruk nahi sakte tum?

Jai- o meri jaan, 15 min ki baat nahi main peechle aadhe ghante se m waiting.

Anika came downstairs.

Anika- kitne utaavle ho rahe ho story sun ne ke liye? Seriously shakal dekho apni.

Jai- aur tumne wait karwa ke maza kirkira kar diya.

Anika- kyun bigad rahe ho? Sabr ka fal meetha hota hain. Yeh jaan lo.

Jai(mimics)- sabr ka fal meetha hota hain. Chale ab ya aur sar karna h. jyada meethe se diabetes hota hain.

Anika- mujhe toh ye excitement hain aage kya hoga?

Jai- story toh durga ki thi na? ab tak bindiya par hi cricket khel rahe hain hum toh.

Anika- tym aane par durga bhi aa jayegi.

Jai- haan wo bhi hain ab aise kaamo me tym toh lagta hain.

Anika- issshhh... cheee kya cheap ho tum.

Jai- isme cheap kya h. its purely scientific.

Anika- you should be grateful, yeh saas bahu drama nahi nikli.

Jai- kaise nikalti? Ab tak toh saas damaad chal raha tha. Mujhe pata hota na ki puraane zamaane me saas bahu ki vajay saas damaad ko itna footage milta I swear me usi waqt paida hona chahta.

Anika- rubbish.

Jai- arre ab tu hi dekh... jab se aya hoon teri nani ne kabhi cook banake rakha h toh kabhi coolie kabhi painter toh kabhi mechanic. Ye izzat hoti hai hone wale damaad ki?

Anika- hone wala damaad? Permission li?

Jai- kiski permission? Aunty toh mujhe pasand karti hi hain. Aur tu toh 24*7 mere saath hi padi rehti hain. Rahi baat nani ki toh..

Anika- dream on.

Rajjo's place.

Flashback starts

Soon shantaram and bindiya were blessed with a daughter. They called her durga. As years passed by they had benoy, shampa and deb.

Raja and charu were now grown up. Shantaram had left no stone unturned to instill in them the maharastrian values. Bindiya never objected.

Only fear that had surfaced after the birth of their kids was their religional identity. They were half Bengali half maharashtrian.

Society was bound to question their identity. They were considered to be impure.

She knew this is going to hamper their future someday.

Her mother had married her off owing to the hindrances they had faced.

Her mother had lost her battle with life an year ago but obstacles never left her path.

Shantaram- bindiya, yeh lo mithayi. Charu ke liye rishta aaya hai. Gujarat ka hi hain ladka.

Bindiya taking the box from him- who sab toh theek hain par itne durr pehchaan kaise nikal aayi? Ab toh batane ke liye maa ji bhi nahi hain.

Shantaram- tumse kaha toh tha maine maa waha gujare ke liye kapde silaane ka kaam karti thi. Meri tankhwah bhi itni thi nahi ki main unki madad kar pata. Maa ke purane grahak the wo. Yun samajh le maa ki saheli thi. Unhi ka pota hain. Accha hain, charu ke saath uska joda khoob jachega. Ladka purohit ka kaam karta hain.

Bindiya- bhalo, (good) to ladka Marathi hai?

Shantaram- haan zaahir baat hain, merit oh yahi chahat hain ki raja aur charu agar humare logon me bas jaye toh behtar hi hain.

Bindiya- aur humare bacche?

Shantaram is rendered speechless by bindiya's words.

Shantaram- arre yeh kya tum bhi mithayi laayi ho? Kis khushi mein?

Bindiya- wo durga puri kaksha mein ack aayi hain. Usi ka inaam bhi mila aur ye roshgulla bhi.

Shantaram- khup bhalo. Durga ne sach mein humari gardan unchi kar di h samaj me. Jab se school jati hain tab se pehle no. pe paas hoti hain. Aur chahiye bhi kya hume. Bas bitiya ki zindagi sawar jaye.

Bindiya- shunoon (listen)  mujhe lagta hain hume charu ki baat aage badha deni chahiye. Der karne ki koi gunjaish nahi hain.

Shantaram- Abashyai (sure)

Preparations were round the corner. Both parties had agreed for the alliance.

Durga- charu didi, raja ki ayegi baraat...

Raja- arre meri baraat?

Durga- buddhu, tumhari nahin, didi ka shehzada ayega na unhe le jaane.

Charu- khush hogi na tum ab raaj karne ke liye pura ghar jo mil gaya.

Durga- baba ne bhi kya durr chalang maari hain. Bengal se seedhe Gujarat. Tch aana jana bhi mushkil. Kya pata kab mulaaqat hogi.

The sisters hug.

The day arrives and charu is married off.

Years later.

Kehte hain na waqt behta chala jata hain. Kisi ke liye nahi rukta. Na acche kaamo ko seherata hain aur na galtiyan ginaata hain. This lone realization had dawned upon bindiya.

V.O. Bindiya

kya ajeeb samay hain. Maa ne faisla toh le liya tha kuch saal pehle. Waqt toh beh gaya haste rote, par tab kya pata tha ek aisa waqt bhi ayega jo purane faislo par gaur farmaayega.

Bindiya- aapne kya socha hain durga ke liye? Umar ho chali hain uski shaadi ki. Aaye huye rishte haath se nikal gaye. Iss wajah se ki..

Shantaram- hum dono ki jaat alag hain. Saalon pehle to iss baat ki fikar nahi thi tumhe. Aj bada khayal aa raha hain.

Bindiya- that oh aapko bhi nahi. Bas apne baccho ki khaatir kar li shaadi. Pata nahi meri maa ko bhi kya ho chala tha ki aap ki baton me aa gayi.

Shantaram- majboori dono ki thi bindiya.

Durga overhears their conversation.

Durga- aap dono meri wajah se jhagda mat kijiye bhagwan ke liye. Mujhe der ho rahi hai maa chalti hoon.

Shantaram- tum chinta kyun karti ho bindiya, uparwale ke karam se humari durga padhi likhi hain awwal ati hain har baar. Aisi hi meherbaani rahi uski toh acchi naukri bhi mil jayegi.

Bindiya- taaki aapke sar se yeh 5 logon ka bojh hatt jaaye. Bas phir toh use ghar bithakar hi rakhoge. Kamau putt jo mil jayegi. Itne saalon se jo aediyan ragad rahe hain uska hisaab bhi toh chahiye hoga na.

Shantaram- tum se baat karna hi bekaar hain. Pata nahi jab se charu ki shaadi huyi hain tumhare toh jaise purzein dheele ho chale hain.

*flashback ends*


 

EKAKIWhere stories live. Discover now