Chapter 1

344 20 112
                                    

Ohkay so guys, this is my 7th story and I have many pending but I have to publish this in Ramadan as it is about Ramadan. I can't publish it after Ramadan cause then I won't be able to name it "Iftaar Mulakat". But don't worry, this will be a short story. Like 15 16 chapters mein shayad khatam.

So guys, cast dal di hai. You can see it.

Chapter 1. Enjoy

-------------------------------------------------------------------------------------------------

Afreen's POV:

God! What is going on here

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

God! What is going on here. Mein jab jab mama se kehti hoon ke mom can I do something too for Ifaatri, she scolds me instead. I'm just trying to help you out here dude.

Ajj mom bohat thak gai thein so she went to sleep and it's already 5 and she hasn't woken up. This was the perfect opportunity for me to show her ke mein bhi kuch bana sakti hoon. I know how to cook something delicious too yaar. But Internet se recipes dekh kar. Hehe.

Bai ab mein wahid aisi bachi hoon jo pani bhi jala sakti hai. Tou zahir si baat hai na. Internet hi mera humdard bane ga.

I took out some yummy recipes for iftaari and started making it. When I was done, there was a whole variety of foods on the table. Haan wo alag baat hai ke pura kitchen bohat ganda tha. Now I had to clean the kitchen. After all, I created the mess so I have to clean it and jab baad mein karna hi hai tou abhi kyun nai? Exactly. Tou behter hai dant khae baghir kaam kar loon. Cause well, kisi ko bhi dant khane ka shoq nai hai.

Now I cleaned the kitchen and wahan se mom aa gaein. I went upto her and un ko chair per bethaya.

"Mom you just sit back and see. Ajj iftaari app ki ikloti beti (one and only daughter) ne banai hai." I said proudly.

"HAIN?! Allah Afreen! Afreen hai tum per. Mera pura kitchen ganda kar diya ho ga and pata nai koi cheez sahi tarhan banai bhi hai ya nai. Ya Allah Rehm karna koi bemar na ho jae. Ya tou khana jala hoa ho ga ya kacha ho ga. Dono mein se ek cheez tou zarror ho gi. Allah meri tauba. Ab mujhe uthne bhi nai de rahi ke mein jaldi se kuch bana loon. Kya kitchen mein bohat gand pheilaya hai jo mujhe dekhne nai de rahi? Bolti kyun nai ho agay se?" She kept on saying. 

"Wow mom! Ab app bole ja rahi hain tou mein kaise bolon? You said so yourself ke jab bare baat kar rahe hote hain tou beta bech mein bolte nai hain. And pehle dekh tou lein mein ne kya kya banaya hai. Baad mein mere bechare khane ki burai kar lijiye ga." I said and she looked at me and frowned.

"Ahsan! Le aao khana. Iftaari ka waqt ho raha hai. And mom not to worry, mein ne sara kitchen saaf kar diya tha. You should be thankful ke app ki beti ne kuch tou kaam kiya. Wo bhi roze mein mom." I said and looked at her.

"Tou beta ji kis ne kaha tha yeh meherbani karne ke liye? App ko khudi yeh harkat sooji na." She said looking at me and I sighed.

"Mom yaar pehle dekh tou lein kya kya hai ajj ke menu mein! Phi dil bhar ke dant lena." I said.

Iftaar Mulakat #Missiondesi #ShehryaarAsif [ON HOLD]Where stories live. Discover now