Chapter 2

359 8 1
                                    


Rida was working on the kitchen when Noor came and hugged her from behind.

Rida: uth gayi meri princess !!

Noor: Mumma aap kya bana rahi hain ?? 

Rida: Apni noor ka fav " Aloo ke parathe" .

Noor: wow !! Thank you mumma !!! Allah aapko jaza de !!

Rida: Aapko bhi !!

Noor: Mumma baba kahan hain ??

Rida: Masjid gaye hain !!

Noor: mumma baba bhi hamari tarah Muslim ho gaye??

Rida: Jii !!

Noor: Mai ek baat pochon ??

Rida: poche ??

Noor: aap muslim kaise bane ??

Rida looked at her then smiled.

Rida: jab hidayat milni ho to kaise bhi kar ke mil hi jati hai !!

Noor: aap ko kaise mili ??

Rida: Dard se !!

FLASH BACK

Ridzi was sitting in her ward. After her consciousness she found herself there. Armaan had left. She was crying. She wanted her happy life back. She just wanted to erase these 2 days. She hid her face in her knees. She looked up when she felt a hand on her head.

Ridzi: Sania !!

Sania: kya hua ??

Ridzi: Tumse matlab !! tum ja ke apni zindagi geo mujhey mere haal pe chor do !!

Sania: kya thora sa bhi bharosa nahi kar pa rahi apne rab par ??

Ridzi: Bharosa ?? BHAR MEIN GAYA BHAROSA !! US PE BHAROSA KYA TO USNE MERI MOM KO HI CHEEN LIYA MUJHSE AUR KYA UMEED RAKHUN MEIN ??

Sania: ajar ki !! sabar karo ajar ki umeed rakho !!

Ridzi: u know what !! tumhare liye kehna bohat asaan hai jis par beetti haina usey hi pata hota hai sabar kitna mushkil hai !! Tum hameesha sabar karo sabar karo ka jo Bashan deti rehti ho !!! Mujhey batao kya milta hai is sabar se !!! Kuch nahi milta !!!! Sirf dard milta hai !!! TUM PAGAL HO !!!! YA PHIR JHOOTI HO !!! JO LOGO KA MAZAAQ UNHEY IS TARAH JHOOTE DILASE DE KAR URAATI HAI !!! TUM BHI JHOOTI HO AUR TUMHARA MAZHAB BHI !!!! TUM SAB JHOOTE HO !!! TUMHARA KHUDA BHI ........

**SLAP**

Sania: BAS !!!!! Mujhey jo bolna hai aap bol sakti hain lekin mere mazhab ko nahi !!! Warna Mujhse bura koi nahi hoga !!! Aur aapko kya lagta hai ??? Sirf aap hain jo takleef mein. Hain ??? Nahi !!! Takleef mein har koi hai !!! Kisi ki takleef zyada hai to kisi ki kam !!! Aur aap Mujhse poch rahi ke mere liye kehna asaan hai qk mein takleef mein nahi hun !! MAI AAPSE ZYADA TAKLEEF MEIN HUN !!!
meri zindagi bhi apki zindagi ki tarah bohat achi chal rahi thi !! lekin jis tarah aapki zindagi mein toufaan aaya aisa hi meri zindagi mein bhi aaya. Mere inlaws ko achanak dowry ka lalach hone laga. Mere baba jo kar sakte the unhone kya lekin lalach hota haina khatam hi nahi ho raha tha. jab kuch na kar sake baba to mere husband ne mujhey talaq de di. jab baba ko ye khabar mili to wo bardasht na kar sake pehle hi heart patient the is sadme ne unki jaan leli. mai jab apni beti ko lekar apne ghar wapis a rahi thi tab hi meri car ka accident ho gaya. mujhey 3 din bad hosh aaya. Sabse pehla khyal baba ka aaya ye afsoos raha ke akhiri baar unhey dekh bhi na paayi. jab apni beti ka pocha to nurse ne bataya wo theek hai lekin .....
usey kuch yaad nahi !! bas uske baad se mai roz yahan us se milne aati hun lekin tab jab wo so rahi hoti hai.  Aapke paas to abhi bhi aapke father hain mere paas to koi bhi nahi raha aur jo hai wo hokar bhi nahi hai.
Mai roz apni beti se milne aati hun lekin tab jab wo so rahi hoti hai
ek Maa hun bohat mushkil hota hai !! Bohat takleef hoti hai jab aapki beti aapke saamne ho aur aapko pehchaanne se inkaar kar de.
Meri bhi to takleefein hain !!! Mere bhi dard hain !!! Lekin mai to nahi ro rahi !! Mai to nahi keh rahi koi aake mujhey dilasa de !! Mai to kisi ko blame nahi kar rahi !!! Jaanti hain q ?? Qk Mai akeli hokar bhi akeli nahi hun.
MERE SATH ALLAH HAI.
Jiske sath wo hota hai usey kisi ki zarorat nahi hoti.
Mai jaanti hun ye uski azmaish hai wo mujhey test kar raha hai !!
Wo ye dekhna  chahta hai ke mujhey us par kitna bharosa hai mujhey us se kitni mohabbat hai !!!
Jabhi usne Mujhse sab le liya lekin sabar de diya apna sath de diya.
Yaqeen karo jab tak uski nazar aap par hai to kuch na ho kar bhi sab kuch aapke paas hai. Lekin Usne nazre pher li to sab kuch ho kar aap khali hath reh jayenge !!! Khali  hath.

Aasmano Par LikhaWhere stories live. Discover now