Zurich?

5.8K 262 18
                                    

After breakfast, Shivaay and Rudra leave for office and so does Saumya (RuMya have joined the family business). Om, Dadi, Pinky, Shakti and Jahnvi in their respective rooms while Gauri and Anika sit in the living area.

Anika: Toh, Gauri, apne baare main kuch batao.

Gauri: Hum wahin South Mumbai main apni maa aur papa ke saath rehte. Bandra main, Om ki art gallery ke paas main hi, humara dance studio hain. Hum dance sikhate hain.

Anika: Yeh bahot achhi baat hain. Achha, tum Om se kaise mili?

Gauri: Hum... bas, chalte-chalte, saamne wali chai ki dukaan par.

Anika giggles.

Gauri: Arey, likin aap bataiye, aap bade bhaiya se kaise mili?

Anika: Arey, badi hi khidki-tod mulakaat thi humari.

Gauri: Khidki-tod kaise?

Anika tells her about her first encounter with Shivaay. Gauri cups her mouth with shock.

Gauri: Hai Shankarjee! Pehli hi mulakaat main gaadi ka sheesha tod diya.

Anika: *flicking her hair back with attitude* Woh zyaada tadi maar rahe toh mujhe bhi dabang Anika banna pada.

Gauri: Ab main samjhi aap dono ki itni achhi kyoon banti hain.

Anika blushes a little. Om comes there with his car's keys.

Om: Gauri, chalo, main tumhe ghar drop kar deta hoon. Uncle-aunty ko bhi chinta ho rahi hogi.

Gauri: Iski kya zaroorat Om. Hum chale jayenge.

Om: Hello? Main pooch nahi raha hoon, bata raha hoon. Car main baitho.

Gauri: Na baitoon, toh?

Om: Toh...last time ka repetition hoga.

Her eyes widen with shock.

Gauri: Hum khud hi baith jaate hain.

Om: *giving victory smile* Good girl.

They go towards parking lot, leaving behind a confused Anika. Rudra comes there.

Rudra: Kya hua Bhabhi? Itne confused kyoon lag rahe ho?

Anika: Yeh Om Gauri se kya keh raha tha? Last...time...jaisa...?

Rudra: Last time... *giggles* Oh! Last time jab Gauri O ke saath jaane se mana kar rahi thi, tab O unhe sabke saamne apni... woh kya kehte hain... haan, apni baahon main utha ke le gaye they.

Anika: *shocked* Oh bete ki! Sach?

Rudra: Haan. Bechari Gauri embarrassment ke maare laal ho gayi thi.

Shivaay comes there and gets hell-angry seeing Rudra giggling away with Anika.

Shivaay: Rudra, agar tumhe gossip karne se phursat mil gayi ho toh thoda kaam bhi kar lo.

Rudra: Bhaiya, din bhar toh hum kaam hi karte rehte hain. Kabhi-kabhi mujhe bhi bhabhi se baat karne ka mann karta hain.

Shivaay: Yeh kaam pura ho jaaye toh non-stop ek hafte tak baat kar lena likin abhi nahi.

Saying so, he rushes to his room while Rudra pouts.

Rudra: Bhabhi, bhaiya ko honeymoon par hi rehna chahiye tha. Wapas aake phirse Workaholic Singh Oberoi ban gaye hain.

Rudra, too, goes to his room and Anika goes to hers. There, Shivaay was hurriedly looking through cupboards.

Anika: Shivaay, aap kuch dhoond rahe hain?

Shivaay: Anika, mera passport kahaan hain?

Anika: Woh doosre drawer main peechhe ki side par.

Shivaay finds it and passes a warm smile to her.

Anika: Aapko achanak passport kyoon chahiye?

Shivaay: Zurich main ek important conference hain isliye jaana pad raha hain.

Anika: Kitne dino ke liye?

Shivaay: Minimum one week.

Anika: *concerned* Likin Shivaay, hum abhi Singapore se wapas aaye hain. Aap itna kaam karenge toh bimaar pad jayenge.

Shivaay: Nahi, aisi koi baat nahi hain. Main bilkul theek hoon.

Anika feels a little uneasy and fiddles with her dupatta, which he notices and cups her face.

Shivaay: Kya hua Anika?

Anika: Pata nahi Shivaay. Kuch ajeeb si michmichi mach rahi. Jaise...jaise kuch gadbad hain.

Shivaay: Kisine tumhe kuch kaha kya?

Anika: Nahi.

Shivaay: Toh Shivika?

She sighs and nods a no.

Anika: Mujhe...bas...*whines* ahaan... kuch samaj nahi aa raha.

She buries her face in her palms and starts crying. Shivaay immediately hugs her and caressed her hair. After sometime, she stops crying.

Shivaay: *worried* Anika, mujhe seriously tumhari bahot chinta ho rahi hain. Tum sach main theek ho na?

Anika: Haan, shayad main kuch zyaada hi soch rahi thi. Likin aap jaldi wapas aana aur *threatens him* khabardaar jo itne handsome lagne ki koshish ki. Kahin wahaan ko cheepri ne aap par dore daalne ki koshish ki, toh?

Shivaay: *teasingly* Oh, so Mrs ASSO is getting jealous?

Anika: Aisa kuch nahi hain.

Shivaay: *running backwards* Aisa hi hain. Aisa hi hain.

Anika: *runs behind him* Nahi, aisa kuch nahi hain.

They run around in the room jumping from sofas to bed before falling on it together. They look at each other and start laughing. After their laughing session, he hugs her and she reciprocates.

Shivaay: I'll miss you jaan.

Anika: I'll miss you too. Jaldi wapas aayiyega, billuji.

Shivaay: Done.

He was about to leave but Anika pulls him back.

Shivaay: Kya hua?

Anika: Aap...jahaan bhi jaa rahe hain, aise bikhre baalon ke saath jaayenge?

Shivaay realises that, due to running around the room, his hair were in a total mess.

Anika: *chuckling* Aayi mere saath.

She pulls him towards the dressing table, takes some gel in her hands and sets his hair in place.

Anika: Ab lag rahe hain aap *does his signature step* SSO.

Shivaay spins and back-hugs her, looking into the mirror.

Shivaay: Waise maanna , tumhe kaafi handsome husband mila hain. *teases her* Mujhe toh dar lag raha ki kahin Zurich ki ladkiyaan mere peeche na pad jaayein.

Anika: *angrily* Agar kisi cheepri ne aisi harkat karne ki koshish ki toh meri Chameli udti hui aayegi. Aur agar aapne kuch kiya toh...

Shivaay: Toh...

Anika: *seriously* Ek baar aur main apna dil tootte hue nahi dekh paaoongi. *teary eyed* Shivaay, main mar...

She couldn't complete as he slammed his lips on her. Though she was shocked at first, she reciprocated the kiss. They parted due to lack of oxygen. Shivaay cupped her face.

Shivaay: Khabardaar jo dobaara aisi baat kahi. Anika, agar tumhe kuch bhi hua toh main bhi jee nahi paaoonga.

Anika: Aisa mat kahiye. Chaliye, is topic ko yahin band kar dete hain.

Shivaay: Why not? Okay, this topic is officially closed.

They shake hands in agreement and hug each other. He pecks her forehead before leaving and goes with Rudra.

You and me make WE (A ShivIka FF) ||✔️||حيث تعيش القصص. اكتشف الآن