5. (e) VEER - ZAARA 💜

261 21 3
                                    


Main Qaidi Number Saat Sau Chheyasi [786]

Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekhta Hoon

Din Mahine Saalon Ko ,

Yug Mein Badalte Dekhta Hoon

Is Mitti Se Mere Bauji Kii ,

Kheton Ki Khusbuu Aati Hain

Yeh Dhoop Mere Maajii Kii ,

Thandi Chaas Yaad Dilaati Hain

Ye Baarish Mere Saawan ke

Jhoolon Ko Sang Sang Laati Hain

Ye Sardi Meri Lodi Kii ,

Aaag Seinkh Ke Jaati Hai

Woh Kehte Hain Yeh Tera Desh Nahi , 

Phir Kyun Mere Desh Jaisa Lagta Hai

Woh Kehta Hain Main Us Jaisa Nahi

Phir Kyun Mujh Jaisa Woh Lagta Hai

Main Qaidi Number Saat Sau Chheyasi [786]

Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekhta Hoon

Sapnon Ke Gaon Se Utri , 

Ek Nanhi Pari Ko Dekhta Hoon

Kehti Hain Khud Ko Saamiya

Aur Mujhko Veer Bulati Hai

Hain Bilkul Begaani Par

Apno Sii Zid Woh Karti Hai

Uski Sachchi Baaton Se

Phir Jeene Ko Man Karta Hai

Uske Kasmon Vaadon Se

Kuch Karne Ko Man Karta Hai

Woh Kehte Hain Kii Woh Koi Nahi Thi

Phir Kyun Mere Liye Duniya Se Woh Ladti Hai

Woh Kehta Hain Main Us Jaisa Nahi

Phir Kyun Mujh Jaisa Woh Lagta Hain

Main Qaidi Number Saat Sau Chheyasi [786]

Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekhta Hoon

Mere Gaon Ke Rangon Mein Lipti

Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon

Mere Khwabo Ko Pura Karte

Khud Ke Khwab Bhool Chuki Hai Woh

Mere Logon Ki Sewa Karte

Apne Logon Ko Chhod Chuki Hai Woh

Uska Daaman Ab Khushiyon Se

Bharne Ko Man Karta Hai

Uske Liya Ek Aur Zindagi

Jeene Koh Jee Karta Hai

Woh Kehta Hai Main Mera Desh Uska Nahi

Phir Kyun Mere Ghar Woh Rehti Hai

Woh Kehte Hain Main Us Jaisa Nahi

Phir Kyun Mujh Jaisi Woh Lagti Hai

Main Qaidi Number Saat Sau Chheyasi [786]

Jail Ki Salakhon Se Bahar Dekhta Hoon

🙇🙇🙇

BOLLYWOOD DIALOGUES 💜💛💚💙حيث تعيش القصص. اكتشف الآن