Chapter 11

147 34 20
                                    

*A/N: This one is especially for you guys..
MariamArif5
ruquiyya
irtezaaliii
girligirl2000

Mein Urosa ke guest room, jo usne mujhe aur Rida ko rehne ke liye dediya tha wahan akeli bethi hoi thi.
"Tum kyun akele akele muskura rahi ho?" Rida ne mujhse pocha.
"Mohobat bohot hi ajeeb o ghareeb sheh hai, insan ko zamanay bhar mein ruswa kerdeti hai, phir bhi khatam nhi hoti." Mainay muskuratay hoye jawab diya.
"Humaima bhool jao usse. Ab yeh qadam uthaya hai tw is per qaim rehna. Khuda se maafi mangna. Dekhna InshaAllah sab sahi hojaye ga." Usne mujhe tasali dete hoye kaha.
"Janti ho Rida, koi bhi insan kisi ke saath itna bura nahi kersakta jitna ek insan khud apnay saath kersakta hai."
"Acha mujhe btao ke aisa kya hogaya tha ke tumne itna bara qadam uthaliya?" Rida ne aaj pheli baar mujhe yeh jan na chaha tha. Mein usse btanay se kaisay inkar kersakti thi.

*Flashback: narrating the story to Rida..
Mein college ki canteen mein bethi hoi Urosa ka intezaar ker rhi thi, tab achanak David aker meri samnay wali chair per beth gaya. Mainay usse ignore kerne ki poori koshish ki lekin woh kuch kehna chah raha tha. Mujhse raha na gaya mainay usse bechaini se pocha.
"Apko koi kaam hai?"
"Haan woh kuch kehna tha mujhe-" Usne behad confused andaz mein kaha.
"Tum shayad mujhse yeh kehna chah rhay ho ke tun mujhse dosti kerna chahtay ho?" Mainay muskuratay hoye usse kaha.
"Tw kya tum mujhe abhi bhi dosti ke qabil nhi samjhti? Ab tw meri ego bhi dustbin mein pari hoyi hai."
Flashback ends..

"Tum dono kya raaz o niyaaz ki batain ker rhay ho?" Urosa ne kamray mein daakhil hotay hoye pocha.
"Urosa kya tumne kabhi Humaima ko samjhaya nhi? Tum tw janti thi na sab shuro se hi?" Rida ne Urosa se pocha.
"Samjhaya? Dadi amma ki tarha samjhaya tha. Balkay inke beech misunderstandings bhi create kerne ki koshish ki theen."
"Urosaaa?" Mainay usse hairangi se pocha.
"Haan mainay David se kaha tha ke, 'Yeh bat tum zehan nasheen kerlo ke woh tumhe napasand kerti hai' lekin usse kisi bat ka koi asar hi nhi hoa tha."
"Chalo khair jo hoa so hoa. Yeh btao ke Aswad bhai ki flight kab ki hai?" Rida ne shyd meri ankhoon mein anay walay ansoon ankhoon mein anay se phele hi dekhliye thay.
"Oh haan aj shaam ki." Urosa ne bezaar si shkl bna ker kaha. Aur mein aur Rida halka sa mukuradiye.

"Rida tum sogayi ho?" Mainay raat mein Rida se pocha jo bed per mere brabar leti hoyi thi.
"Nahi tw."
"Tumhe yaad hai jis din Baba ne mujhe kaha tha ke mujhe ek psychiatrist ki zarorat hai-"
"Woh unhone ne ghusse mein kaha tha." Rida ne meri baat kanti.
"Mein uske aglay din gayi thi Dr. Shela ke pass.
Flashback..
"Kisi ke pass bhi mere liye waqt nhi tha jab mujhe unki zarorat thi. Ab jab mujhe akele rehne ki adat hogayi hai tw sab aker mere sar par sawar hojatay hain. Ab kal hi ki baat hai jab meri bari bhen ka beta mere kamray mein aya. Mein perh rahi thi tw mainay usse kamray se nikal diya. Jis per mere baba ne mujhse kaha ke mein phyco hoon. Aur yeh ke mein insano mein rehne ke qabil hi nahi."
Mainay rotay hoye Dr. Shela ko sab btaya. Aur woh mujhse muqtalif sawal kerti hoyi mujhe tasaliyaan deti raheen.
Jab mein unke clinic se bahar nikli tw wahan mainay David ko khara dekha. Usne meri ankhoon mein ansoon dekhliye thay.
Flashback ends
"Phir?" Rida ne poocha.
"Phir yeh ke woh mujhe zabardasti coffee shop legaya wahan mainay usse woh saari batain share ki jo mainay kabhi kisi se nahi ki thi. Na tumse aur na Urosa se."
"Humaima tum David ko ek acha dost bhi tw samjh sakti thi. Tumse usse shadi kyun ki? Tumhe usse mohobat kyun hogayi?"
"Pheli baar kisi ko meri perwah hoyi thi. Pheli baar kisi ne mere ansoon pochay thay."
Isse phele Rida mujhse kuch aur pochti Jannat nend se jaag gayi.

How's the chapter people? Boring tha yeh wala I know 😂
Anyways so this was how Humaima fell in love with David.
Do you guys want yo know David ka point of View? Like what he is going through?
Please Vote and Comment.

Khuda Rooh aur Khuwaish Where stories live. Discover now