💔Painfull truth 💔

753 21 13
                                    

Writers p.o.v

Vrushika apne mom ki baaton se bohot sad thi usse samajh ni arah tha ki woh kya karein?? Iss situation main sirf ek sam hi thi jo usse madat kar sakti hain.. vrushika sure toh nehi thi leken abhi situation sure yah unsure hone ka nehi tha..usse kisi bhi haal main iss shaadi ko rok na tha.. yehi sab sochte sochte vrushika sam ke room main jane lagi ek choti si umeed leke ki shayed sam uski madat kar paye.. leken uss bechari ko kya patah tha ki yehi choti si umeed bhi aj tut ne wali hain.. jab woh sam ke room ke samne gayi toh kuch awajein aa rahi thi and door bhi open tha..woh darwaje se jhak ke dekhi toh shan and sam kuch baaten kar rahe the..shan and sam ke beech argument ho rahe thi vrushika ko lekar..

Sam- c'mon shan yeh tujhe bhi patah hain ki vrushika tujhse pyar karti hain..tu kyu apne love life ko 2nd chance nehi dena chahata??..sab sneha jaisi ho aisa jaroori toh nehi hain na?? Akhir kab tak tu apne past ko apne sine se laga ke ghumega?? Kabhi na kabhi tujhe move on karna padhega na?? Aur abhi toh reason bhi hain sneha apne life main aage badh chuki hain.. woh ab kabhi tere life main wapas nehi ayegi..abhi tujhe bhi apne apko ek aur chance dena chahiye..

Shan- sam!! Yeh tu bol rahi hain??tujhe toh sab kuch patah hain na?? Sneha kya thi mere liye infact abhi bhi kya hain mere liye?? Main kitna bhi kousis karu usse nehi vul saktah.. Meri life main sneha ke alawa kisi aur ke liye koi jagah nehi hain..haa main manta hoon ki sneha ne mujhe dhoka diya hain insult bhi kiya hain..leken sam woh mera pehla pyar hain..main apne pehle pyar ko kaise vul saktah hoon??..

Sam- shan tujhe koi vulne ko nehi keh raha hain tu vrushika ko ek chance to de..ho saktah hain woh tujhe itna pyar de ki kabhi tujhe sneha ki yaad bhi na aye..sach batah shan kya kabhi tujhe vrushika ki akhon main woh pyaar dikhai nehi diya jo tu sneha ki akhon main dekhna chahata tha??

Shan- i dont know sam..sach kahu toh mujhe dekhna bhi nehi hain..
haa i know ki vrushika bohot aachi ladki hain sayed mujhse bohot pyaar bhi karti hain..leken main usse woh pyaar nehi de paunga jiski woh haqdaar hogi..main uski life apni jaisi nehi bana sakta..woh jo umeed leke meri life main aayegi..main jab woh umeed woh pyaar nehi de paunga usse woh bhi meri tarah hi tut jayegi..main kisi aur ko jhoote swapne nehi dikha sakta.. nehi sam!! Yeh kabhi nehi ho sakta..aur vrushika sirf meri friend hain bas aur kuch nehi..any way tu please yeh sab baaten chor show ke liye late ho rahe hain chale??

Sam( taking a long breathe):- agar tujhe aisa hi lagtah hain toh mujhe aur kuch nehi kehna..leken ek akhri baat hain jo main tujhe kehna chahati hoon.. iss duniya main agar tujhe koi sabse jada chahati hain toh woh vrushika hain..aur ek na ek din tujhe yeh realise jarur hoga..leken daar sirf iss baat ka hain ki kahi woh din aate aate bohot der na hojaye.. kahi khud kismaat tujhse na ruth jaye..trust me shan jab kismaat ruth jati hain na..tab usse mana na muskil hi nehi naa mumkin ho jatah hain.. aage teri marzi.. chal tu jaa ready ho jaa..mujhe kuch kaam hain khatam karke back stage main milte hain..take care..

Sam's p.o.v

Kisi ne sach kaha hain ki pyaar bohot dard nak hota hain..leken uss dard ka dawa bhi toh pyaar hi hota hain..shan apne past main itna uljha hua tha ki woh apne present ko dekh hi nehi paa raha tha.. shan vrushika se nafrat toh nehi kartah tha shayed pyaar bhi nehi kartah tha yah fir kartah tha bas uss pyaar jaise feelings ko dubara feel karne se dartah tha.. ki kahi sneha jaisi vrushika bhi usse chor ke chali gayi toh?? Ek baar woh khud ko sambhal paya hain leken sayed firse na sambhal paye..

Yehi sochte huye sam ki nazar darwaje par padhi toh dekha waha vrushika khari thi..uski akkhen puri laal thi..ro ro ke bura haal hogaya tha uss ka.. sam kuch bolti usse uske pehle hi vrushika vaag ke apne room main agayi..

Vrushika's room:-
("Phir bhi tumko chahungi" - this song was playing on the speaker outside of the hotel..where shan supposed to preform..)

Baahon mein teri aake laga
Mera safar toh yahi tak hai
Tumse shuroo tumpe hi khatam
Meri kahani tumhi tak hai

(Vrushika apne room ko andar se lock kardi aur zamin pe baith ke zor zor se rone lagi.. aur shan ke sath bitaye har uss paal ko yaad karne lagi)

Dil ko jo de raahat si
Tujhmein hai woh khamoshi
Sau baar talash liya khudko
Kuch tere siva na mila mujhko

Saanson se rishta tod bhi loon
Tumse tod na paungi hmm..

(Dil main ajib si pain ho rahi thi usko jaise kisi ne usske dil ko usske zism se keech ke bahar fek diya ho.. itna dard shayed marne ke waqt bhi na hota ho..)

Main phir bhi tumko chahungi
Main phir bhi tumko chahungi
Iss chaahat mein marr jaungi
Main phir bhi tumko chahungi

Aankhen khule toh main dekhu tujhe
Sirf yeh hi farmaish hai
Pehli toh mujhko yaad nahi
Tu meri aakhiri khwahish hai

(aj woh shan pe nehi apni kismat pe ro rahi thi.. kismat ne aj tak kabhi bhi usska sath nehi diya.. bachpan se aj tak woh apne kismaat se ladti hi toh ayi hain.. aj woh bas shan ko lipatke rona chahati hain usse bol na chahati hain woh usse kitna pyaar karti hain..uske baahon main apne app ko aur iss duniya ko vul jana chahati hain..)

Seh loon main ab teri kami
Mujhse yeh hoga hi nahi

Tum aise mujhme shaamil ho
Tum jaan meri tum hi dil ho
Shaayad main bhula doon khud ko bhi
Par tumko bhool na paungi

( woh kehna chahati hain shan se ki uss main aur himmat nehi hain apne kismaat se akele ladh ne ki.. woh thak chuki hain ladhte ladhte..)

Haa.. Aa..

Main phir bhi tumko chaahungi
Main phir bhi tumko chaahungi
Iss chaahat mein marr jaungi
Main phir bhi tumko chaahungi

The end

Kismaat se usse haar choti badhi baat ke liye ladhna hi padha Chahe woh apne dance ka swapna pura karna ho yah fir ladki hoke apne ghar se apne pariwar se dur ke job karna ke liye aana ho..shan ke pyaar ke liye bhi abhi tak ladhi rahi thi na apne kismaat se.. kismaat bhi kitni ajib chiz hain na?? Kisi ne sahi kaha hain''kismaat se jada kisi ko kuch nehi milta''..leken afsos aj shayed ek baar fir apne kismaat se haar ne ja rahi thi..

Vrushanff:-kya Pyaar Karoge Mujhse? {Complete}Where stories live. Discover now