💔Beautiful memories💔

655 22 8
                                    

Next day:-

Samantha,shantanu and unki puri team nikal hi rahe the Mumbai ke liye ki achanak piche se kisi ne unlogo ko bulaya..shan piche muda toh dekha ki hotel ke manager bhagte huye shan ke pas arahe hain...

Manager:- sir!! Sorry woh sayed apka kuch saman hotel main reh gaya tha.. yeh lijiye..and he handed over..

Shan to sam:- yeh suitcase!! Yeh to i think vrushika ka hain..yeh yaha kaise??aur iss main hain kya???

Sam:- open karke dekh..

shan open karne ja hi raha tha but sam ne usko rok liya kyuki flight ke lie woh log late ho rahe the...

2days later,

location:- Mumbai (shantanu ke ghar)

6 a.m in the morning..

Aj shantanu bohot jaldi uth gaya tha yah fir yeh kahu ki poori raat so hi nehi paya..sayed vrushika ki letter ne sone hi nehi diya..jab se delhi se lota hain kuch distrub sa rehne laga hain..na kuch khata hain na sota hain har waqt apne app ko apne kam main busy rakhta hain..shantanu ne iss 2din main vrushika ki letter ko kariban 10 baar padh chuka tha jitni baar woh padhta utni baar anjane main uske aakh se aasu girna suru ho jata tha..woh iss aasu ke reason ko samajh nehi paa raha tha.. jitna samajh ne ki kousis kartah utna hi confused hote ja raha tha.. shantanu ka delhi ka concert bohot successfull hua hain.. usse bohot sare music vedio ke offers bhi ane lage hain.. leken shan kush nehi tha..subha se shan bohot be chain feel kar raha hain..usse bar bar aisa lag raha hain ki kuch hone wala hain aisa kuch jo woh nehi chahata ho.. usse aisa kyu lagraha hain ki woh kuch khone wala hain humesha humesha ke liye..leken kya??..aj jab subha woh neend se utha toh dekha news paper pe uska interview chapa hain..but aj pehle ki tarah phone nehi baja uska.. woh bar bar apna phone check kar raha tha..sayed kisi ke call ka intezar kar raha hoga..leken woh intezar kyu kar raha hain??..usse toh kush hona chahiye ki ab usse koi disturb nehi karega..baaton se koi irritated nehi karega..pehle ki tarah koi nehi puche ga ki ''tune khana khaya??'' "tune meri new caller tune suna??kaisa laga bol na??" yah fir "dekh aj tera koi kaam nehi hain aj tu free hain toh chal hum log movie chalte hain.." yah fir "aj tere pasand ka sabji banai hain main ne apne haato se..khayega?? ruk main leke arahi hoon tere ghar" aur phele ki tarah shan ko ek hi reply nehi dena hoga ''nehi mujhe kam hain..baad main baat karenge'' par aj yeh sab baaten kyu yaad aa raha hain shan ko.. miss kar raha hain kisi ko??..leken miss karne ka reason khud ne hi toh diya hain..

yeh sab sochte sochte usse kuch yaad aya ki 2din pehle hotel se nikal te waqt hotel manager ne usse ek suitcase diya tha jo usse laga ki vrushika ka hain..woh jaldi se utke apne room se woh suitcase leke aya..suitcase open kiya toh shocked ho gaya.. uss suitcase main bohot sare gifts the.. aur us gifts ke sath ek ek notes..pehle toh shan ko samajh main nehi aya ki yeh sab hain kya hain??kyu hain?? but jab woh dhire dhire gifts kholne laga toh usse samajh main anne laga..ki woh gifts vrushika ne kharidi thi shan ke liye..shan ke har ek successfull concert ke liye but kabhi uski himmat nehi hui ki woh gifts shan ko de sake..iss baar woh sochi thi ki concert ke baad woh shan ko yeh saari gifts de degi..isliye vrushika woh saari gifts apne sath hi leke gayi thi delhi.. shayed shan ne bohot der kar di woh gifts lene main..itne saare gifts main se ek bohot hi khas gift tha shan ke liye..jo vrushika shan ko iss Valentine's day pe dena chahati thi propose karte waqt..aur woh tha ek electronic photo frame jis main vrushika and shantanu ka photos the jo rotationally frame main aa rahe the..aur back ground main ek English song chal raha tha jo vrushika khud gaa rahi thi.. un photos main kuch kuch photos shantanu ne kabhi nehi dekha..kaise dekhta woh photos vrushika ne chupke se kichi thi saayed khas iss photo frame ke liye..shan aj peheli baar vrushika ko miss kar raha tha..andar se bohot taqlif ho raha tha usko..aj pehli baar kissi aur ke liye shan ke aakh main assu the..woh samajh nehi paa raha tha ki aisa kyu ho raha hain..

Shan's p.o.v
kya mujhe vrushyy ko aur apne app ko 1chance dena chahiye tha?? Kya sam jo keh rahi thi woh kya sach hain?? Vrushyy mujhse sach main pyaar karti hain?? Kya mere dil main usske liye koi feelings hain?? Jo main samajh nehi pa raha hoon?? Itni taqlif kyu ho raha hain vrushyy ke jane se?? Oh god!! Mujhe kuch samajh nehi aa raha hain?? Mujhe vrushyy ko dhunda chahiye..mujhe usse baat karna hoga.. mujhe apna confusion clear karna hain.. mujhe vrushyy ke pass jana hi hoga.. par kaise?? Kuch na kuch toh soch na hi padhega..

Is soch main shan itna dub gaya tha ki usse patah bhi nehi laga ki kabse usska phone baaj raha tha.. usse patah bhi nehi tha ki kya khabar uss ke liye wait ka raha hain phone ke us paar.. jab woh finally apne soch se bahar aya toh dekha usska phone baja raha hain woh caller id dekha toh sam phone kar rahi thi.. uthane jahi raha tha ki call kat gaya.. subha se sam ka 20 missed call aur 1 msg tha..shan ne jaldi se msg open kiya toh woh shocked ho gaya.. uske per ke niche se mano zameen hi nikal gaya ho..

#akhir kya tha uss msg main jo dekh shan itna shocked hogaya??

#thank you so much guyss for supporting me so much..

Vrushanff:-kya Pyaar Karoge Mujhse? {Complete}Where stories live. Discover now