First meet

1K 77 26
                                    

Us din mausam apne alag hi rang me tha.. kale badal jaise raat jaldi bulane ki zid me ho..  hawa ne bhi rukh mod rkha tha.. thandi thandi hawa jaise dil ko aur sukoon deti aur mann se saare dukhon ko kheench kr le jaa rhi ho.. baarish jaise kisi bhi waqt aakr galle lg jaegi..

Vhi college ke ground me chl rhe kavi samelan (poets gathering) event me sbhi log apni apni baaton me lge hue the.. aur stage ke side me hi ek ladka kaale (black) kurte aur jeans me apne kuch doston ke saath khda event ki saari taiyaariyon me uljha hua tha..

Vhi paas se uske kisi dost ne awaaz di "Neilllll" tbhi usne jaise hi palat kr dekha uski nazar khi ruk gyi.. uske aage jo tha voh shayad uske zindagi me dekhi hui sbse khoobsurat cheez thi... ek pyaari si muskaan apne chehre pr sajaye.. gulaabi (pink) suit pehne sidiyon (stairs) se bhaagti hui.. us tez hawaa me apne suit ka dupatta (strol) lehrati hui.. apne baalon(hairs) ko apne gulaab ki patiyon (rose petals) jaise hoothon(lips) se hataane ki koshish kr rhi thi jisme voh tez  hawa uska saath nhi de rhi thi... uski aankhien jaise puri duniya unme samai ho.. usme alag chamak aur khushi thi jo kisi ke bhi aankhon me umeed laa skti h.. uske phoolon (flowers) se bhi komal(soft) per payal ki chan chan krte hue udhar ki taraf aa rhe the... use dekh kr jaise Neil toh bhul hi gya tha ki abhi bhi sbke beech khda h aur dost ali use bulaye jaa rha h tbse... phr akhir kar ali pareshan hokr uske paas jaakr zor se uske kaan pr chilaya "Neilllllllllll" aur bs Neil ka zindagi ka sbse pyaara view usne tod diya tha.. phr voh dono vahan se chle gye pr jaate jaate bhi Neil durr tk Avni ko hi dekhne ki koshish kr rha tha...

Thodi derr me function shuru hua aur saare log vahan ikhate ho gye.. Riya aur Avni bhi jaakr stage ke saamne ki 2 row me beth gye.. Neil bhi vahan stage ke paas aakr khda ho gya tha pr uski aankhein Tb se sirf Avni ko dhund rhi thi... Sb alag alag shayari suna rhe the.. thodi derr me hi Neil aakhir khush ho hi gya tha uski talash puri hui thi use Avni apne saamne dikh rhi thi... tbhi usne kuch socha aur stage pr chla gya.. usne apne haath me mike liya aur tbhi Avni ne use pehli baar dekha..

Un dono ki aankhein mili aur Avni kho gyi uski gehri aankhon me jo sirf sirf Avni ko hi dekh rhi thi.. Avni ke saamne ki voh do aankhein jinhe apni baat smjhane ke liye kisi shabd ki zaroorat nhi thi.. Avni use dekhe jaa rhi thi use nhi pta kyu pr voh apni aankhein vahan se hataa hu nhi paa rhi thi..

Tbhi Neil ne uski aankhon me dekhte hue hoothon pr halki muskan laye bola

"Yeh reshmi zulfe ye sharbati aankhein inhe dekhkr jee rhe h sbhi.."
sunte hi Avni ki aankhein sharm se neeche ho gye uski us pyaari si sharmahat aur halki si hasi ne Neil ko aur uski taraf kheech liya..
Use dekh phr voh bola
"Tum agar saath dene ka vaada kro me yuhi mast nagme luta ta rhu... tum mujhe dekhkr mushkurati rho me tumhe dekhkr geet gaata rhu.. "
Iske baad toh Avni sharm se aankhein utha bhi nhi paa rhi thi aur uski taraf bina dekhe reh bhi nhi paa rhi thi... jaise hi usne halki si aankhein upr ki tbhi usne Neil ki pyaar bhari awaaz me phr suna

"Ye shaam mastani madhosh kiye jaaye mujhe dor koi kheeche teri orr liye jaye"

Avni uski aankhon me dekhe jaa rhi thi jaise use samajhne ki koshish kr rhi ho.. tbhi Riya me Avni ko ghr chalne ke liye awaaz di.. kyunki is pal me khokr voh dekh hu nhi paayi ki mausam aur gehra ho gya tha baarish shuru ho chuki thi pr shayad uske liye mausam se zyada Neil ki aankhein gehri thi.. pr Riya ki baat sunkr aur apne aas paas aur logo ko dekhkr voh aur sharma gyi aur vahan se uthne lgi.. tbhi usne phr voh pyaari awaaz suni aur phr uski aankhein Neil ki taraf gyi vahan Neil use jaata dekh kr khush nhi tha aur bola

"Jaana h toh jao manaenge nhi.. nakhre kisi ke uthaenge nhi.. "

Aur ye bolte hi Neil ne apna chehra neeche kr liya.. Avni bhi kuch smjh nhi paa rhi thi use Neil ko aise dekh acha nhi lga aur Neil ko stage se utarta dekhkr voh Riya ke saath usi taraf se nikli aur Neil paas se guzrte hue dheere se boli (jo sirf Neil hi sun paaya)
"Dhadkane apne dil ki suno kisi ko sunate nhi.." aur avni yeh bolte hi Riya ke saath vahan se turant chli gyi..
Avni ki meethi aawaz se pehli baar Neil me jaise hi ye suna uski aankh khuli reh gyi aur jaise hi phr usne Avni ko vahan se jaate dekha aur use hosh aaya toh ekdum se uske chehre pr hasi aa gyi thi jo pehle use stage ke saamne se jaata dekhkr chli gyi thi... usne haste hue apne baal apne haathon se hilaye aur phr apne doston ke saath dusri taraf chla gya..

Avni aur Neil dono hi aaj apne khayalon me the dono smjh nhi paa rhe the ki unhe achanak hua kya tha... pr voh ab bhi ek dusre ke baare me soche jaa rhe the.. aaj unke dil me alag si khushi thi jaise saawan ki pehli baarish hui ho.. zindagi aaj thodi nhi bohot khoobsurat lg rhi thi..

Pr zindagi hai khushi itni asaani se kaise milegi bhai.. abhi toh bohot kuch hona baaki hai.. Avni ke baavon ke is khel me abhi aur bhi chaal chlni baaki hai!!

———————
So this the next update hope you all like it... please do tell your views..😊 and thank you for all your love and support ❤

Love love 💕

Diary Hikayelerin yaşadığı yer. Şimdi keşfedin