2.

986 42 17
                                    

Naina so rahi he. Kal last paper tha uska. Kai dino se bharpur neend ni ayi usko. Wajah- wo sadkchap do take ka lawyer. Kya jarurat thi usko Itna mahnga water bottle kharidne ki.. na wo kharidta na Naina us se panga leti. Kair jo huya so huya isi bahane usne do char act pad liye Indian Constitution ke. Ab bari he ji bhar ke sone ki..lekin uski kismat me chain ni he shayad..

pag ghunghru bandh meera nachi re..
Aur hum nache bin ghunghru ke..
Ke pag ghunghru...

Naina ki ankh khul gayi. Uska phone baj raha he. Lekin phone he kidhar?
'Ha bhai, subah subah phone na kiya karo. Ab kar diya he to kam bolo aur mujhe sone do.' Phone jameen pe pada tha. Thanks to electricity, naina found it.

'Kam to tujhko mujhse padega. Mere Card se 10000 debit huye he. Kya mujhko batayegi ki itne paise kaha udaye? Aur mene pin last month hi change kiya tha tujhko kaha se mila?'

'Bhai, mana ki me unemployed hu lekin koi galat kam ni karti. Mene kuch kitabe khareedi thi. Usme kharch ho gye. Aur apka pin mene papa se pucha.'

'Masters in psychology. Still you need books? Kya library kholegi? Aur papa se lunga me ye paise kyunki unhone mujhko cheat kiya. Jab Next time Rakhi bandhegi na to ek paisa ni dunga.'

'Chill bro. Pura ka pura ghar tu rakhega mere sasural jane ke bad. Abhi 10000 ke liye mat ro. Aur is bar rakhi per mujhe ek accha sa gold bracelet dila dena.'

'Pahal he kya? Ajkal chain snatching ke jamane me tu gold ka bracelet pahnegi? Abhi kal hi ek news ayi thi ki golden necklace na dene per ek snatcher ne ek middle aged lady ka gale pe chaku chala diya. I care for you naina. Tu bracelet ki jagah glass bangles le lena na'

'Accha tu phone rakh. After two months we'll discuss this matter in detail. Aur ha thode paise bhej diyo. Abhi mujhe jarurat he'

'Hello naina..naina..awaz ni aa rahi.. hello..lagta he signal weak he'
And he disconnected the call.

Naina knows her brother very well afterall they're twins. Thinking about the necessary stratergy for getting that bracelet, she slept.

*****

Abhimanyu apne room me baithe us portait ko tad rahe he jo kal hi bana he. Lekin abhi bhi kuch kami he...

'Ha, ab ap lag rahihe hamari maharani..' after putting a dot in the middle of her brows, he concluded.

'Kunwar ji, wo koi diwakar sahab aaye he.' A servant came out of nowhere.

'Kitni bar humne bola he ki jab bhi aayo to darwaje per knock karo. Ye tameez sikhne me waqt lag rha he.. kaise bekar log bhar ker rakhe he babuji ne ghar me. Aur ha us diwakar ko andar bhej do.'
Naukar ko bura to lga lekin bechara kya kar sakta he. Agar kunwarsahab chai peete hote to kab ka usne badla le liya hota...magar ajkal unke hontho ko somras ka swad laga he..

Diwakar andar ate hi gir pada, fisal kar ni balki portrait dekh kar. Ye to wahi ladki he jiska pura chitta uske hatho me he. Chauhan pagal ho gya he. Shayd ab ye daulat trust ko chali jaye aur logo ka bhala ho..

'Humko pta tha jo ladki itni khubsurat ho wo hi aise nek kaam kar sakti he. Hamare manager ko bolo ki jake unke NGO ke office jaye aur jitna wo log chahe utna donate kare. Aur aap diwakar sahab, ye rhi apki fee.' Abhimanyu ne diwakar ko ek blank check diya.. kewal first digit blanck thi already filled five digits me.
Amount written in digits: _0000

Krishna Rai Chauhan ko samajh nahi aa rha ki aj unke palace me itni shanti kaise he. Puchne pe pta chala ki Abhimanyu kisi kam se bikaner gya he.. kisi ko dekhne shayd milne.

Abhimanyu gunguna rha he..
Aj unse pahli mulaqat hogi..
Phir hoga kya pta kya khabar..

Abhimanyu muskura rha he ki kaise uske samne us ladki ne bina dare usko warn kiya tha ki next time agar packed bottle ke sath najar aya to bottle sar pe maregi..
'Apka gussa hi apko khubsurat banata he, Naina ji. Hum aa rahe apse milne. Ummed he hum bhi apko utne hi pasand ayenge jitni ap humko pasand he.'
Shayad Kamdev ka pahla teer kam kar gya he. Abhimanyu ko pyaar ka bahut tez bukhar he..

****
Naina reports bna rahi he. Pichle week jab uske CLAT ke exam khatm huye to dusre din wo apne NGO gayi thi. Waha per koi bahut bada donation milne ki bat chal rahi thi. Naina khush huyi. Is donation se wo pure bikaner me water tank lagwayegi. Gharo ki roofs se girne wala pani sabhi save kar rhe he lekin road pe girne wala pani bhi to pani hi he.. roads ke liye bhi ek system hona chahiye. Last meeting me uska ifea sabne drop kar diya. Is bar ki donation se wo Roads me Watertanks installed karwayegi. Water is life. Save water save life...

Naina ka door kisi ne knock kiya.
'Kaun he ye andha jisko doorbell ni dikhti.'
Badbadate huye Naina ne darqaza khola aur kholte hi usko laga ki sath me apna baseball ka bat kyu ni layi......

#####
My mind is nowadays working too fast. Next story is out now. Comment and enjoy.

ISHQ PAR JOR NAHI.Where stories live. Discover now