Chapter 18

1.3K 79 21
                                    

VOTE ⭐️VOTE ⭐️VOYE

Zindagi lhaak na thi , khaak uraate guzri
Tujhse kya kehte , tere paas jo aate guzri..!

Din jo guzra to kisi yaad ki ro main guzra
Shaam aayi, to koyi khuab dikhate guzri..!

Achhe waqton ki tamanna main rahi umr rawa'n
Waqt aisa tha ke bus, naaz uthate guzri..!

Zindagi naam udhar hai , surshari ka..
Aur idhar door se aas lagate guzri...!

Baarha chonk si jaati hai , masafat dil ki..
Kis ki awaz thi , ye kis ko bulaate guzri..!

Naseer taraabi

$$$$$$$$$$$$$$$$$$$$$$$

Chapter 18

Subha ke panchh baj chukay thay lekin Rubi ki aankhon se neend koson door thi. Parde ke siron se dakhil hoti suraj ki roshni tareek kamre ko roshan karna shuroo kar chuki thi.

Usne gardan ghuma kar apne pehlu main stay wajood ko dekha. Kal poori raat se abtak wo isi tarhan uski taraf pusht kiye soya huwa tha. Ek baar bhi Huzaifa ne na uske nazdeek aane ki koshish ki thi aur na hi usay mukhtib kiya tha. Wo jesay uske wajood se ghafil ho ke soya tha.

Aur ye pehli baar nahi huwa tha. Pichhle kayi dinon se wo jese usay nazar andaz kar raha tha. Uska makhsoos khushgawaar mizaaj kahien kho gaya tha. Ab to aksar wo usay isi tarhan pareshan , apni soch main uljha hi dikhayi deta. Jesay wo kisi , bohat hi mushkil paheli ko suljhane ki koshish kar raha ho , jis par uski zindagi inhisaar karti ho.

Unki shadi ko abhi sirf teen mahine guzary thay , lekin Huzaifa ki apni taraf khatam hoti is dilchaspi ko dekh usay mehsoos honay laga tha jesay uski nazar main wo apni ahmiyat kho chuki hai. Aur ab wo uske saath sirf ek farz ki tarhan waqt guzar raha hai.

Kya teen mahine pehle Huzaifa ko shadi par majboor karne ka uska faisla sahi tha....? Ye usnay koyi ghalti kar di..?

Uski apni Cousin se shadi ke baad wo dekh sakti thi ke Huzaifa us se door ho raha hai. lekin wo aisa kese hone de sakti thi , kunkay Huzaifa wo wahid zariya tha jiski madad se wo apni zindagi badal sakti thi.

Bachpan se uski zindagi sirf apni maa ke saath ghurbat main guzri. jahan uski maa ne mehnat mazdoori karke usay parhaya likhaya bara kiya.

Lekin unki itni mehnat ke baad bhi uski zindagi main aisay din bhi aaye jub unhain bhooke pait bhi sona parta. Lekin haalat ke aagay ghutne taikna uski fitrat ke barkhilaf tha , aur wo apne haalat badalne ke liye bazid thi.

Bees saal ki hotay hi usne apni dost ki madad se showbiz main qadam rakha , jahan paanchh saal ki shadeed struggle ke baad jaake usay is cham chamaati dunya main apna naam banane ka moqa mila.

Wo un larkion main se nahien thi jo khuabon main kho kar haqeeqat se moo phair lain , wo jaanti thi is dunya main agar kuchh hasil karna hai to usay dil se nahien par dimaag se zindagi jeeni hogi , jahan jazbaat ka koyi amal dakhal nahien hota.

Aur inhi sub rules par chal kar wo apni zindagi achhay se guzaar rahi thi , jahan usay dunya ki har aasaish to na sahi lekin apni zaroorat ki har shai ab asani se muyassar thi.

Moomal , ek La haasil ishq موملWhere stories live. Discover now