nandani ki zidd cabir ka gussa hona.

2.2K 229 25
                                    


At police station.

Police inspectors _ han to tune dekha tha oss picture wale aadmi ko bachche ko le jate hue kyu.

Kidneper _darte darte han.

Polic _ tughe ghar ka adress  kaise pata chala  bachche ke ghar ka ye baat mughe nasik itna bada hai tughe ye ghar ka pata kaise malom chala bol .

Kidneper aur oska boss chup se hojate hai ki ab kya kahe.
Cabir _ bolo tumhe kaise pata ko bachche ka ghar ye hi hai.

Kidneper _woh woh.

Tab hi police inspectors ek jordar slap onke face par marta hai aur.

Police _ Mr raghu sharma ye hi name hai na tera jisko har city ki police sarch kar rahi hai kyunki tumhara sabse bada kaam hai bachcho ko kidnap karke onhe bech na aur kisko bech na woh tere sath khada hai Mr aanand desai kyu sahi hai na.

Kidneper _  nahi nahi hum woh nahi hai sir hum to bas oss bachche ke kidnap hone ki news oski mom ko dena chahte the.

Police _ abhi bhi jhot bol raha hai raghu Sach bol nahi third degree se Sach pata karonga main.

Raghu _ third degree no no main Sach bata deta hon.

Cabir _ jaldi bol Aarav ko lekar kaha gaya tha tu jaldi bol.

Kid _ Mumbai lekar gaya tha magar gadi kharab ho gayi to main sahi karwate ke liye bahar nikal aur bachcha pata nahi kab nikal kar mandir main chala gaya tha aur ek aadmi ke sath dekh kar main bhag gaya par ye picture thi oske pass ho maire pass reh gayi thi to main aur maire boss ne ye plane banaya ki Hume oski mom ko batana chahiye ki ye picture wala bachche ko lekar gaya hai aur police pata karegi ki woh aadmi koun hai aur hum aage kuchh kar paaye nge par sab olta hogaya aur hum pakde gaye.

Phir cabir police se baat karke sidha nandani ke pass aata hai aur .

Cabir _woh dono kidneper the aur Aarav ab mumbai main hai kaha hai koi nahi janta hai ab mughe manik se baat karni hogi iske bare main.

Nandani _ no never aap osse baat nahi karenge maire bete ko lekar ke police apne aap pata karegi woh kya karega agar ose pata bhi chala to hai koun woh maire bete ka.

Cabir _ woh Aarav ka bap hai samghi tum legal child hai woh illegal nahi oske real father ka blood hai oski body main kisi anjan aadmi ka nahi agar manik Aarav ka father nahi hai to phir koun hai Aarav ka father kya woh aaditye ya koi aur batao.

Nandani _ gusse main oth kar bhai how can you say like that han oska Coler hold karke bolti hai aur.

Cabir _ sorry to aur kya kahin phir main bekar si zidd lekar bethi ho dimag main kitni samgh tum main thi itni hi oss waqt hum dono main bhi thi navya main bhi thi maine to sara blame navya par nahi dala pregnant hone ka khud par liya tha aur osse shadi ki manik ko tumne batya tha kya ki woh bap banne wala hai aur woh sunkar bhag gaya tha bolo.

Nandani _ nahi mughe khud pata nahi tha main pregnant hon.

Cabir _ to phir tum sara blame manik ke sar kaise dal sakti ho agar woh itna hi galt hota to singhapore se waps nahi aata tumhare liye tumhe sarch karta hua sidha village nahi jata aur ye pata hone par ki tum bhi maa banne wali thi rota nahi aur pareshan hokar waps nahi jata ki tum aur oska bachcha pata nahi kaise honge tumse Vada kiya tha isliye ose adress nahi batya tha maine galti ki bata dena chahiye tha shayd Aarav kidnap hi nahi hota aur ab main jaa raha hon sidha manik ke pass ose ye batane ki oska beta kho gaya hai sarch kare woh dekhna kaise sarch karke le aayega woh apne bete ko. Zidd karo par pagal pan nahi samghi na woh galt hota hai zindagi gujar ne ke liye turn karke amms ko dekhta hai jo chup chap khadi hoti hai aur onse blesing lekar nikal jata hai aur nandani rote hue bed par beth jati hai aur amms ose kuchh nahi kehti hai apne room main jakar beth jati hai.

Cabir sidha nasik se mumbai ki ticket book karke at evening manik ke ghar ke samne pahunchta hai aur.

Button push karta hai bell ka aur sarvent gate kholta hai aur samne ka scene ose shoked kar deta hai kyunki manik horse bana hua tha aur Aarav oski riding kar raha tha hanste hue aur sare family member ye scene enjoy kar rahe the.


Sorry tabiyat thik nahi hai isliye update nahi de paa rahi ho main

innocent Manan ka cute love. (Complite)Where stories live. Discover now