116

9 1 0
                                    

Maa ne to bada pyaar lutaya
Par muze jatana na aaya

Muze bhi bada pyaar hain usse
Ye kabhi batana na aaya

Sikawe sikayat bohot
chalate rahe hain

Kabhi wo na samazi
Kabhi muze samzana na aaya

Soch soch ka antar raha bas
Muze baat manwana na aaya

Kabhi bewjha wo ruthi
To kabhi muze manana na aaya 

Samza to tha usaka bhi dard muze
Par apana kabhi batana na aaya

Sabdo ke jab tir chale the
Dil ko muze behelana na aaya

Usane to bada khub nibhaya
Sayad muze rista nibhana na aaya

Muze bhi bada pyaar hain usse
Ye kabhi batana nahi aaya .............

AlfazWhere stories live. Discover now