Part 7 - Depicts Episode 582

89 1 0
                                    

PS - Armaan saying bye to ridhima with all the boards in the basketball court.

Aaj Bhi Armaan aaj bhi, itna sab ho Jane ke baad bhi nahi bhoola pa rahi mein tumhe. Tumhara har ek ehsass mujhse samjh aata hai. Na chhate hua bhi kichi jaati hun mei tumhari oor. Mein ne bahut asaani se bola diya tha ki tum dono mein se koi bhi mera layak nahi hai par sach toh ye hai Armaan ki mein hi tumhare layak nahi hun

.

Aaj bhi mujhe vo puchgani ki raat baar baar yaad aa jati hai Armaan. Nahi bhula pati mein ki meri body jab thandi padhi thi tab sid ne mujhe aapni body heat... nahi bhul pati mein Armaan ki koi aur mera itne karreb aaya aur mein kuch nahi kar pai mein tumhare layak nahi hun Armaan nahi hun.

Aaj jab tum jab jaane se pehle mera pass aaye the maan kara tumhe rok lun par uska bhi haq nahi raha mujhe. Kya keh ke rokhti tumhe tumhara pyaar toh mein ne cheen liya tha bus dard bacha hai mera pass jo men tumhe aur nahi dena chahati.

Ek akhri baar tumhari awaj sune ka maan hua mera par tumne vo sare boards... Phir ek baar tumhari aur mera kadam bhad hi gaye the. Phir ek baar tumhari aankhon mein aapne aapko dekhne ka maan tha par phir vo Goodbye board.. Mein jo pyaar dekhna chahti thi vo khalipan aur dard mein badalta dikha.

Tumne rulaya bahut mujhe pyaar jitna pyaar tumne diya shayad kabhi jindagi mein kisi se nahi mila. Jo promise bolo aaj mein karungi tumse Armaan, par to smile without you vo nahi ho payega muhse Armaan nahi ho payega.

Jis tarah mein tumhari jindagi hun Armaan tum bhi meri jindagi ho par aab... ab sab badal gaya aur ye hi sach hai Armaan ki aab mein kisi ki wife hun.


Aur wada karti hun Armaan ji aagle har janam mein tumhari raungi.

Tum Rok toh gaye aaj Armaan par jis wajha se ruke ho vo tumhe hi nahi mujhe bhi teel teel mar rahi hai. Kash vo Divorce paper tumhare jaane baad aate jisse mujhe tumhe taklif mein nahi dekhna padhta ya phir mujh mein itni himat hoti ki mein samaj se ladkar tumhare pass aa paati.

Tumhari Ridhima


Ridhima's DairyWhere stories live. Discover now