Part 12 - Depicts Episode 615

76 0 0
                                    

PS - Armaan reading out Sid's blank dairy and saying all his fellings instead of Sidhant's feeling to convince her to be with Sid.

Kyun Armaan kyun madat kar reh the tum sidhant ki. Kya tumhe Dard nahi hota Armaan. Mein nahi chahti Jo sab tum mera bare mein jante ho vo kisi aur ko bhi pata lage Armaan.

Bahut lamba samaye bitaya hai humne saath mein bahut saare lamhe gujare hai saath mein par Armaan vo ridhima jiske sath vo sare pyaar ke pal jiye hai tum mein ne vo ridhima aab kahin hai hi nahi. Vo ridhima toh mar chuki hai na toh uski jine ki khawahish uski pasand na pasand sab mar gai hai uske sath.

Jo kabhi meri favort cheej hua karti thi, Jo mein karna pasand karti thi vo aab nahi karti mein Armaan nahi karti. Kuch adatien kuch khawahish hamari apni nahi ek rishte ki hoti hai. Vo humien kisi insaan ke sath karna pasand hota hai toh iska matlab ye nahi ki us insaan ke chale jaane ke baad vo khawahishien kisi aur se ho kisi aur ke sath vo sab karne ka dil kare. Kyun samjh nahi pate tum Armaan.

Aaj bahut asani se tumne apna dil mera samne khoke rakh diya aur un sab feelings ko sid ka baata ke bahut asani se puh pehr liya tumne. Par aarmaan un feeligs se bhag rahi hun mein nahi jeena chahati vo lamhe phir se.

'Ek mauka chahta hu Riddhima. Tumhe apne dil ki baat batane ko. Kaash mein tumhe bata pata k mein tumhe kitna chahta hu. Jis din mein ne tumhe dekha mera dil jaan Gaya tha ke ab iss dil ki dhadkan tumhare pyaar k sahare hi chalengi. Bahut Bahut miss karta hu tumhe ridhima Please meri zindagi mein wapas aa jao.' Ye hi kahan than a tumne Armaan exact same words aur uske baad Sid ka naam laga diya.

'Humari pehchan pyaar se nahi ladayi se hue thi. Tumhari un badi badi Gusse wali aakhon mein mujhe sirf pyaar hi dikhai deta hai. Ab chahe toh tum pagalpan kaho ya pyaar. Kitna ladte the hum dono. Kitna tang karta tha mein tumhe. Kabhi Orphanage mein toh kabhi basketball match k bahane. Hum toh chale the dost banne...

Jane kaha Dill Mill Gayye. Tumhe Har di dekhna meri jindagi ka maksad ban Gaya tha. Jis din tum hospital nahi aati meri dhadhkan rukh jati. Aur jab tumhe dekhta dil chahata ki waqt tha m jaye. Ridhima pyaar ka dusra naam ho gaya tha mera liye pyaar toh sabhi karte hai par mera jaisa pyaar koi nahi karta kyun ki unke pass um jo nahi.' Tumhara bola hua eke k shad yaad hai mujhe Armaan dil mein likha hai tumhara hare k shad sahi toh kaha tha tumne ladai hi toh hamari pehchan thi Na pehle hi din sanjeevni mein line se pehle hi hum ladpade the.

Aur phir ladte ladte tumhe mujhse aur mujhe tumse pyaar kab ho Gaya pata hi nahi chaha aur hamesha ladhte ladhte aur kareeb aate chale Gaye. Aaj bhi mein bus tumse ladh hi rahi hun aur tumhare kareeb aati ja rahi hun bus farak itna hai ki pehle hum har tareeke se kareb aa jate the aur aab bus emotionally tumse aur jayada judh rahi hun.

Dard ka rishta bhi kitna ajeeb hai Na jisko Dard do ussi se judhte jaate hai hum.


Ridhima's DairyNơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ