Sahi Ya Galat?

2.4K 253 24
                                    

Ting tong....

Sana- haaye rabba...is waqt kon aa gya? Chain se some bhi nhi deta koi mujhe..... ( Mummers to herself while walking towards door )



She opened the door and sid went inside immediately.




Sana- ( looks at him shockingly and then saw him going into her room ) oye...udhar kaha ja raha.... ( Saw him packing her stuffs in a bag ) or ye kya kar raha hai?




Sid- andhi hai kya? Tera samaan pack kar raha hu gadhi ....




Sana- haa to vahi naa....ye kyu kar raha hai? Ab kaha jaana hai mujhe? Chain se ek jagah rehne de....




Sid- vahi kar raha hu....ab tu chain se ek jagah rehke time pass kar.....




Sana- (pouted ) kya matlab hai tera? Kya bolna chah raha hai?




Sid- ( smiled and pinched her pout making her blush ) tu mere ghar chal rahi hai....or vahi rahegi...okay moti baby?





Sana- haaye sidhaaaarth....na kara kar na...mereko is naam se mat bulaya kar...dekhna..main patli hoke dikhaungi...huh...or ek mint...ye main tere ghar kyu aaungi? Haa? Aunty kya sochengi sidharth...bilkul achaa nhi lagta hai.....





Sid- kyu achaa nhi lagta hai baby...tu reh sakti hai ghar mein....main mom se baat karke aaya hu....okay? Ab chal ( held her hand and started moving )





Sana- ( stopped and held him back through their joined hands ) Sidharth....main teri kya lagti hu jo tu mereko apne ghar le ja raha hai rehne ke liye ( asked with a smile thinking he would confess his side also )





Sid- ( left her hand angrily ) vo to bilkul nhi jo tu soch rahi hai...dekh shehnaaz... bhohot baar samjha liya hai mene tujhe...tu meri dost hai...or dost hi lagti hai...na usse zyada na usse kam. Or ye khayal apne man se plz nikal de ki main tere liyr pyaar jaisa kuch feel karta hu....I know mere words bhohot zyada harsh hai...but agar tu nhi samjhegi to kisi na kisi tarah to samjhana hi padega na...





Sana- ( looked at him with tears ) to tu kya apne har dost ko apne ghar mein rakhta hai Sidharth? Main kya hu iska answer nhi de sakta to atleast is sawaal ka jawaab de de. Tu apne har dost ko rakhta hoga na phir apne ghar mein?





Sid- ( rubbed his forehead In anger ) faaltu ki bakwaas band kar or chal chup karke.... ( And again started moving )





Sana- ( stood there only ) main nhi aaungi Sidharth....agar tu apne kisi bhi dost ko ghar mein nhi rakhta ese or mujhe sirf ek dost maanta hai to mujhe tera ye ehsaan nhi chaiye....itne paise to hai mere paas ki khudka pait paal saku... chala ja yahan se abhi....main nhi chahti ki tujhe kuch ulta seedha bol du....






Sid- achaa? Tu nhi chahti ki kuch ulta seedha bol de mereko? Tu seh rahi hai mujhe? Haa? Or ye tujhe ehsaan lag raha hai? Huh? Pagal ho gyi hai tu....thoda apne bigg boss ke ghar se bahar aa...or dekh asal duniya ko....aaj tak tu udhar hi atki hai...nhi karta main tere liye kuch vesa feel....hai hi nhi tu mere type ki....or kya sunna hai haa? Or kya karu...kya kahu ki tujhr yakeen ho jaye ki main tujhse pyaar nhi karta.....bol.....






Sana- ( started crying ) main tere type ki nhi hu? Vo sab sahi kehte the Sidharth ghar mein ki main tere type ki nhi hu...main hi pagal thi ki maine galat samjh liya....I am sorry...tu ja yahan se...main khudko bhohot ache se samhala jaanti hu...pehle bhi samhali thi ab bhi samhal jaungi..... Tu ja Sidharth....





Sid- ( held her hand ) akele to bilkul nhi jaunga...mom ne bulaya hai tujhe...chup chap chal... tereko time chaiye na khudko samhalne ka to le..but mom ki baat main nhi taal sakta...( And moved with her )

.
.
.
.
.
.
Ting tong....


Mom- aa gye bache....andar aa jao...dono haath muh dho lo phir khaana khaate hai....



Both nodded without saying anything and left.....sid in his room and sana in guest room.




Mom- ( went in sid's room ) tum dono itne chup chup kyu ho? Kya hua hai?



Sid- mom yaar ....is ladki ne dimaag kharab kar diya hai pyaar pyaar karke....nhi karta yaar main...to ab kya karu? Bolne se pyaar thodi na ho jata hai.... lekin usko samjhna hi nhi hai....zyada bolo to rone lag jati hai...janti hai na ki main use rota nhi dekh sakta... isiliye fayida uthati hai mera....pta nhi kab badi hogi ye...agar aaj aapse bolke nhi jaata na ki lene ja raha hu usko to main sach mein use vahi chhod aata....kam se kam itna dimaag nhi sadta mera....




Mom- koi baat nhi bache...samjh jayegi...bachi hai....




Sid- mom...vo bachi nhi hai...she is 27 not 5. Usko itna to samjhna chaiye na...sach keh raha hu aaj bhohot control kara varna hamesha ke liye dosti toot jati...phir roti rehti ye....


Unfortunately....all of this was herd by sana and she ran to guest room and cried her heart out. ' Mene nhi karna usse pyaar....vo nhi karta....sochta hai uske bina kamzor ho jaungi ....itni badi controversy jhel li mene....itna hate seh liya to ye koi badi baat nhi hai....ab main sidharth Shukla ko Shehnaaz Kaur Gill banke dikhaungi.... Bhaad mein gya pyaar...jo merepe ehsaan kar raha hai uska kuch nhi chaiye....sahi kehte the sab...self respect rakh...kabhi nhi rakhi ....but ab rakhungi..... ' she thought and called her manager.


Other side....

Mom- shaant ho ja beta....usko time de...sab theek ho jayega.... Tu bhi janta hai tu bhi uske bina nhi reh sakta...dosti todne ki baat karta hai....






Sid- mom...I know main nhi reh sakta uske bina...but use samjhna bhi zaroori hai...kal ko agar koi or galti se bhi aa gye meri life mein to usko hi problem hogi na....main to bas uske bhale ke liye bol raha hu... you understand me naa? ( And kept his head on her lap )





Mom- I understand you beta....just give her some time...she will definitely move on..... ( She siad while caressing his hair )















How was this part?





Keep streaming SHONA SHONA










Let me know your opinions 🥺
Do vote and comment ❤️
Love you all 😘
Thank you 😊

Humdard Ya Humsafar? ( Short Story )जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें