KNOWING HER - II

3.3K 407 32
                                    

Khaunga but ek shart pe"

"Ha..ha ...pata hai ...aaja baith ja khilati hu"

"Aaj tu bhi khayegi mere sath mere hath se"

"Main.."

"Ha tu darling."

"Thik hai. Aaja ab khana thanda go raha hai."

They both sat. Sidharth took the moong daal pakora dipped in green chutney and placed it in her mouth.

''hmm''

''abhi meri bari''

Shehnaaz then took an idli dipped it first in coconut chutney then in sambhar made an big bite for SIDHARTH and then made him eat it.

'' are aaraam se kahi bhaga thori jaa raha hu. Aacha sun ek baat puchu bura to nahi manegi na ''

''Bol''

''vo tu Punjabi hai kya ? matlab aise hi puch raha hu mandir me BHAGWAANJI ke saath BABA JI ki murti thi tab ." Sidharth asks reluctantly.

"Acha vo, main batau tujhe sachi tu sunega na shock rah jayega,
Sun, Mere na Dadaji hai na vo hai Marwari, Rajasthan se belong karte hai or Dadi thi to Punjabi par unka mayake valo ka business Rajasthan me tha to vo vahi rahte the . Jaipur me. Dono neighbors the. Aise to dono padosiyon me bahot pyaar tha par tujhe pata hai tab ye love shav kaun smjhta tha . To hua aisa ki Dadaji ka dil aa gaya Dadi pe. Dadaji aise bade hi shaant the, sincere par Dadi ke liye bade possessive, protective or soft ho jate hai. Dadi bhi Dadaji ke liye ekdm sherni ban jati hai, bina dare har kisi se ladne ko tayyar. Apne pariwar se bhi. To jab Sab ghar valo ko pata chala ki Dadaji Dadi ek dusre se pyaar karte hai to sab ekdum khilaaf the iske.

Jo neighbors pahle pariwar ki tarah rahte the vo ek dusre ke dushman ban chuke the . Dadi ka ghar se nikaalna ekdum band kar diya gaya . Ek dusre gaaliyaan nikaalna or bhot kuch. Fir jab sab kuch a-sahniya ho gaya tab Dadaji ne faisla kiya.

Unhone soch liya shadi karenge to Karanjeet kaur se hi nahi to jindagi bhar kunware baithe rahenge. Tab hamare Rajendra Singh Mehra ne apne pitaji se ja kar saaf saaf kah diya ki agar vo shaadi karenge to Dadi se karenge nahi to jindagi bhar nahi karenge.

Tab pahle to Dadaji ke pitaji bhot naaraj huye unpar haat bhi uthaya. Par Dadaji bhi apni jid par ade rahe. Yaha Dadi ne bhi yahi faisla suna diya. Bhot jor jabrdasti karne par bhi jab dono na maane to aant me haar ke gharwalo ko inki shaadi karwani hi padi.

Shaadi dono riti riwazo ke hisab se huyi . Guruduware me bhi or Hindu rituals ke hisab se bhi. Ab bari aati hai shaadi ke baad ki life ki. "

All this while Shehnaaz feeding him with her hands and he was feeding her. They were doing it so naturally that it didn't seems new to them. It looked like they have been doing this from years. And Sidharth was continuously listening to her not once he disturbed her in between. Her talks were so appealing to him. He could hear her talk all day and everyday.

"To Shaadi ke baad Dadi ko na unki Saas Nanad ye log pahle to kuch ni bolti. Par fir Dadaji ka business bada hone lga to unhe bahar jana hota. To jab Dadaji kahi tour ke liye jate to vo piche se Dadi ko bhot pareshan karti thi. Unhe taney marna, ghar ka sara kaam Matlab sara ka sara kaam unse karwana. Pata hai jaan buuj k bartan jyada kar deti taki Dadi ko karne me dikkat aaye.

Or Dadi kabhi na Dadaji ko kuch batati ye soch kr ki pariwar me kalesh hoga or na hi apne mayeke me. Ek din aise hi huya Dadi ki Saas ne jaan ke na floor pe tel daal diya taki Dadi gir jaye or us vakt papa Dadi ke pet me the . Ye to Dadi ne unhe dekh liya tha aisa karte. Or jab apne bache ko bachane ke liye unse Dadi ne pucha to unhone Dadi pe haat uthaya . Tabhi Dadaji aaye or unhone ye dekh liya or sab sach Jane ke baad unhone sada ke liye ghar choor diya.

Uske baad Dadaji , Dadi Chandigarh aake bas gaye or yaha apna business start kiya. Pata hai. RK handlooms hai na Chandigarh . Vo Dadaji or Dadi ki mehnat hai. Unka khoon, pasina unka har ek emotion lga hai usme.

Or unhi se hum sab ne sikha hai. Pahle ek ache or sache insaan bano, sabse barabar pyaar karo, sabki ijat karo chota ya bada, har kaam ki ijat karo chota ya bada , mehnat Karo, jo bhi karo usme apna 100% lga do, bas kabhi kisi ko apni vjh se dukhi mat karo."

"Tabhi tu aisi hai."

"Aisi Matlab...."

"Unique "

"Vo to main hu"

Sidharth was about to give her another bite of dosa but she a hand on her mouth.

"Are bas bas or nahi main agar khaungi na to sach me phat jaungi. Pahle hi baton baton me maine ita kha liya hai. Ab or nahi."

"Ye last bite hai.."

"Please Sidharth "

"Please Shehnaaz ye last"

"Pakka"

"Ha Baba pakka"

Then she opens her mouth and he gives her a big bite of dosa which quite difficult for her to eat.

"Ummm.yemmmmmm"

"Kya mujhe kuch samjh nahi aa raha hai pahle tu khale baad me bol lena"

After completing the bite in her mouth Shehnaaz replies.

"Ye konsa tarika hota hai ek bite khilaneka ka? Or itna bada kon khilata hai?"

"Ye Sidharth Shukla style hai , Baby"

"Acha , main kya tujhe aise khilati hu. Main tujhe kite pyaar se khilati hu."

"To main bhi pyaar se khilata hu , Darling"

And that was it! Shehnaaz has lost the battle. They spent the whole day fighting around for small small things. Sidharth completely forgot about his talk with Arjun.
Shehnaaz was a positive distraction for him. At night when he was watching news he saw that now the roads were clear he can now go to his home but the thing was he didn't want to leave and saw the same in Shehnaaz too.

She froze at her place beside him on the couch and after 10 minutes of silence spoke.

"Agar tu ye soch bhi raha hai ki tu abhi apne ghar jayega to tu bilkul galat soch raha hai. Tu kahi nahi jayega."

"Shehnaaz but.....I need to go..."

"Tu kahi ni ja raha Matlab nahi ja raha.
Or ye mene keh diya to keh diya"
.
.
.
.
.


THE CEO'S  LOVEWhere stories live. Discover now