कोई और आगया है !

120 2 1
                                    

Mere dil ke samundar mein tufaan aagya hai,
Eid ke baad ramzaan aagya hai...
Uske jane ke dukh mein ab khud se khafa rehta hu...
Par uski zindgi mein koi aur aagya hai

Ratton mein mere ab andhera badh gya hai,
Ek hi toh chand tha ab voh bhi dhal gya hai,
Uske jane ke baad mai, mai na bacha hu,
Par ...uski zindgi mein koi aur aagya hai

Shaamein bhi uss bin sooni hogyi hai,
Muqaddar bhi mujhse khafa hogya hai,
Jane kya galti kardi hai mene ke,
Zindagi mein uske koi aur aagya hai

Mere jeene ka ab maqsad badal gya hai,
Ek hi toh pyaar tha ab voh bhi bichad gya hai,
Ab khud ko hi kosta rehta hu din bhar ,
Zindagi mein uske koi aur aagya hai

Vaqt ne mujhko bhut kuch sikha diya hai,
Zindagi ki sachchayi ka aaina dikha diya hai,
Jane kyu mai udaas hu soch soch kar usko jab,
Zindagi mein uske koi aur aagya hai.

Tajurbe ke alawa kuch bhi nhi mila hai,
Ishq ne mujhko, bas dhokha hi diya hai,
Jis chehre ki hansi ,mujhe baarish si lagti thi,
Zindagi mein uske koi aur aagya hai.

~trippy

अलफ़ाज़ दिलो के...Where stories live. Discover now