Ek sheher essa bhi!

27 2 0
                                    

Kahi door jaha iss sheher ke,
parinday bhi na udte ho.

Jaha baadal ke upar bhi ek,
asmaan dikha karta ho.

Jaha Pani ki mehek tumhari,
yaad dilati ho.

Jaha hawaye bhi tumhare,
gaane gun gunati ho.

Jaha zulfe tumhari,
meri oor udke aati ho.

Jaha baarish ki boodein,
hame ruksat kar jaati ho.

Jaha zamana bhi ho aur,
zamana bhi na ho.

Jaha mai aur tum sirf,
mai aur tum ho.

Jaha meri aawazein goonj ke,
kayi baar tumtak jaati ho.

Jaha subah ki pehli jhalak mein,
mujhe tum nazar aati ho.

Jaha tumhari payal ki aahat,
door se hi aa jaati ho.

Jaha har gali bas,
tumhari or jaati ho.

Mai bhatku kahi bhi,
tumse door na jaa pau.

Yaad aarhi hai,
tumhe gale kese lagau.

~trippy

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jul 12, 2022 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

अलफ़ाज़ दिलो के...Where stories live. Discover now