Part -5

852 63 4
                                    

Manik aur Nandini ek dusre ko dekh rhe the. Iska fayda uthakar woh insan waha se bhag gya jise manik marne wala tha. Tabhi sujangarh ke bahut sare sainik waha aa gye . Ye dekh kar cabir me kaha - Manik chal yaha se yaha bahut sare sainik hai .
Rajkumari ji chaliye yaha se - Champa ne kaha aur nandini ko le jane lagi par manik aur nandini abhi bhi ek dusre ko dekh rhe the .

Cabir manik ko aur champa aur kartik nandini ko apne sath le gye . Kuch door jakar nandini ne kaha - hum thoda ghum kar aate hai.
Par nandini ye jungle yaha aap kaha jayengi - Kartik me kaha.
Chinta mat karo hum jyada dur nhi jayenge - Nandini ne kaha.
Kartik janta tha ki Nandini manik ko wajah se pareshan hai isliye usne use jane diya.

Nandini jungle ke taraf chali gyi . Uska man manik mein hi laga hua tha isliye use yeh bhi pata nhi chala ki woh jungle ke bahut ander aa gyi. Achanak kuch jungli adiwasi waha aa gye . Nandini unhe dekh kar dar gyi.
Nandini - Ab hum kya karein hamari talwar bhi hamare paas nahi hai .
Nandini ne kartik ko awaz di lekin woh kartik se bahut dur aa gyi thi isliye uski awaz kartik tak nhi pahuchi.
Un adiwasi mein se ek ne nandini ko marne ke liye jaise hi talwar uthayi kisi ne unki talwar pakad li. Usne piche mudkar dekha waha manik khada tha . Manik ne un adiwasi se ladayi ki aur unhe maar diya .

Pagal ho gyi ho tum jungle mein akele aa gyi . Tumhe pata hai aaj mein sahi wakt par nhi aata toh kya ho jata - Manik ne gusse se kaha.
Kya hota woh adiwasi humein maar dete bas - nandini ne kaha.
Nandini - Manik ne jor se chillate hue kaha.
Chilla kyun rhe ho sahi toh kaha humne aur waise bhi tumhe kya farak padta hai ki hum jiye ya marein tumhare liye hum kuch nhi hai na - Nandini ne kaha.
Manik kuch kahe usse pehle hi undono ko kartik aur baki sab ki awaz unhe sunayi di. Un sab ki awaz sunkar manik waha se chala gaya.
Nandini aap thik hai na - Kartik ne pucha .
Ha hum bilkul thik hai - nandini ne kaha.
Hamare khyal se humein chalna chahiye bahut der ho gyi hai - Maithili ne kaha.
Phir sab Sujangarh wapas aa gye . Nandini apne kamre mein chali hai. Use aise jate dekh kar gayatri ne kartik se  pucha - kya hua Nandini aise kyun chali gayi.
Kartik ne use sab kuch bataya .
Choti maa nandini didi thik nhi hai . Yuvraj Manik ko dekh kar unhe phir se sab kuch yaad aagya hoga - Maithil ne kaha.
Kitni azeeb baat hai na maa hamari bahen itne dard mein hai aur hum kuch nhi kar sakte - Karik ne kaha .
Aap udas mat ho kartik mohabbat ka toh kaam ho hota hai pyar karne walo ka intehan lena aur humari nandini bahut bahadur hai humein pura yakeen hai ki woh is intehan mein zaroor safal hogi - Gayatri ne kaha.
Ek varsh ho gya hai us baat ko par lagta hai jaise kal hi sab kuch hua tha . Kash ek vrsh pehle hum nandini ko us safar par jane hi nhi dete - Kartik ne kaha.

Nandini come to his room and stand on window and close his eyes and remember what happen a year ago.

Mohabbat Ka IntehanWhere stories live. Discover now