8.niyati ❣️

847 78 4
                                    

(Niyati is ks' 1.5 year old daughter)

Sorry story idea nahi a raha tha toh yeh hi likh di

Veyoshma's home

Ks-veyom ji uthiye....

Vs-sone do na karu....niti puri raat sone nahi di

Ks-woh toh hum bhi nahi soye...

Vs-niti ke uthne se pehle breakfast kar le...warna aaj woh bhi nahi milega
(Parenthood se peerit bechare🤣)

Ks-ji chaliye...

Vs-karu aaj kya bana rahi ho ?

Ks- maggi hi banega patidev

Vs- wahi chalega
•——————————————•
Anuseena's place -

*hm is 5 months pregnant now*

Anu is sleeping and hm is awake as she felt nauseous....

She went out (balcony) and sat on the swing

Anu woke up and couldn't find hm near him so he went to the balcony....

He came and sat beside hm
Held her hand....

As-kya hua jaan ?

Hm-darr lag raha hai

As-kis baat ka darr ?

Hm-anu hume bachhe ki fikr ho rahi hai....

As-kyu ?

Hm-anu hum dono duty karte hai....kab koi mission ayega ya humara transfer hoga...hume
Pata bhi nahi hai....anu hum bachhe ko samay kaise denge ? Uski parvarish kaise karenge...
agar kabhi use humare kami mehsus huyi ?

As-jaan (side hugged her) kyu itni fikr kar rahe ho ? Mana duty kabhi bhi ho sakti hai...missions bhi aate rehte hai...magar in sab mein...hum thoda time toh nikal hi lenge na... aur jo bhi ho hum koshish toh kar sakte hai na use samjhane ki hum bachhe ko samjhaye...ki humare line of duty mein kuchh bhi ho sakta hai....hume ummid hai woh zurur samjhega....

Hm- haan...hum hi zyaada soch rahe hai...
Achha anu ek baat sach sach bataoge...??

as-ji bilkul....puchhiye

Hm- anu aapko kya chahiye ? Matlab ladka ya ladki ?

As-pehle toh ek ladki chahiye....phir ek ladka... aur.....

Hm-anu....!! Bass yaar...hum bachho ke factory nahi hai...itne farmaish ?

As-haan....akhir...aapko hi kahenge na...
(Teasingly) kyu...kisi aur se mange 'bachhe' ??

Hm-anu...hum jaan le lenge aapki...(making some tiger claw figures with her fingers-like hota hai na nochne wala)

As-arrey baba...aaram se....(keeping his head on her lap) hum aapke alawa aaj tak...kisi ladki ko mud ke dekhe tak nahi hai...aapko bhi nahi dekhte par aap sabse alag hai...sabse haseen
❣️meri jaan ho aap

Hm- I love you anu...

As- love you too jaan...
•——————————————•
(Singh family visit anuseena)
Niyati runs (baby steps) and hugs hm...

Ns- mammi (mami hi bolna tha...bachhi hai toh mammi ban gaya...)

Hm- arrey mami ki jaan....(lifts her up) kaise ho aap...

Ns- achhi...

Hm- (kisses her chhek)

As/ks- hum bhi hai....

Vs/ks- ohoo (teasing)

As-aa...woh hum keh rahe the...ki woh...

Vs- rehne dijiye...bhaiya...aapse cover up nahi ho raha....

As-dhatt yaar....

(All chukle)
(In anuseena's room)

Niyati- mami...

Hm- hmm...

Ns-maami...baby kab...ayega...

Hm- umm...char mahine baad...

Ns-4 mahine kitne hote hai ?

Hm-char mahine....(to ks) kitne hote hai...

Ks-taking Ns on her lap....niti...aap jab 2 years ke ho jaoge...tab 4 months honge...

Ns-mere birthday mein toh bohot time hai

Ks-haan toh tabhi...honge char mahine

Ns-mujhe baby aaj chahiye

Ks-aaj toh nahi hoga baby....

Ns-mujhe abhi chahiye...(started crying loudly)

Ks-shhhh...!!! Shant ho jaao...(taps her back)
Bhabhi aaplog baat kariye...hum ise shant karke aate hai...(goes out)

Hm- pehle ks har baat pe gussa ho jati thi...ab woh kitni shant ho chuki hai

Vs- woh toh hai...pehle se gussa bhi kam aata hai usse....

As-sahi mein badal gyi hai...

Hm- hmm...par achhe ke liye

Vs- haan...abhi ghar mein...shanti rehti hai....
Amma aur inka jhagda nahi hota...par ek shikayat hai inse

Hm- aur woh kya ?

Vs- romance bhool chuki hai...

As-hota hai...yaha toh baby ke aane se pehle hi sab khatam....(said in trance)

Hm- ji ?

As-j...j...ji nahi...humne kuchh nahi kaha...
•——————————————•

Sorry guys yeh part short tha...aur next part bhi shayad kuchh din baad aaye...aur plz request hai...ki comment aur dm mein na puchhe kab ayega...mujhe khud ke liye time nahi mil raha padhai ke wajah se phirbhi mai abhi yeh likhi....plz samjho...

IK aap mein se bohot students hi hai...toh plz samjhiye...

Thankyou
~admin

Anuseena ~ A never ending love story Where stories live. Discover now