Chapter 121

2.8K 233 72
                                    

So finally much better rn. No medications from tomorrow onwards. It feels great. You guys made my day yesterday. Thank you everyone for keeping a check on me. And thanks for those lovely wishes. Yesterday was the best day ever. Can't even count kya kya hua h kal 🥺
.
.
.
.
A: Wo surprise ye tha ki maine socha tha ki kal Friday h to hum dono kal raat ko weekend k liye Lonavla chalte hai.

J: Wow sacchi?
(Nhi virtually 😑)

A: Ha

J: Awwle mera aly ye sab plan kar raha tha. Aur mai kitni buddhu hu jo aise chillayi.

A: Koi nahi ho gya na ab. Ab bol chalegi mere saath. (He dramatically forwarded his hand)

J: Tere saath nhi jaungi to aur kiske saath jaungi.

A: To aap maan gyi matlab.
(Ye koi puchne ki baat h🥱)

J: Ji ha.

A: To matlab tera day off h us din?

J: Nahi Saturday ko nhi h but le lungi. I also want to go on a small vacay.

A: Oh aisa hai kya?

J: Ha. But tune achanak se kyu plan kiya. Aur wo bhi bina bataye.

A: Wo mujhe man kiya tere liye kuch karne ka. Tu mere liye itna kuch karti hai. To maine socha itna to I can do. Us din jab tu Breakfast banayi tab socha ki kahi chalte hai. Akele. Hum dono. Only peace.
(He said cutely in a shy manner)

J: Awwle mera baby. Tujhe mere liye kuch karna tha. Isiliye puch raha tha ki kya sapne hai mere.
(Happy REALISATION 🙂)

She pulled his cheeks cutely.

A: Ha qki tu sidhe se kbhi nahi bolegi tujhe kya chahiye. Isiliye vacation chotu sa.

J: You are so cute.

A: Tu bhi.

Jas hugged him and kissed his right cheeks.

J: Chal mai jati hu ab kal aaungi.

A: Ha shaam ko yaad se tayyar rehna I will pick you.

J: Pagal h kya ulta aayega?

A: Toh tu aajana
(To aapne bola hi q😑)

J: Ha much better

A: Yaad se aajana

J: Mai kya bhullakad lagti hu tujhe?

A: Nahi nahi tujhe to 4 4 mahine purani baate yaad rehti h

J: Chal bhakk kutta. Mai ja rahi hu. Bye

A: Bye.

They hugged and aly kissed her forehead.

Jas left to her house.

The next day she went to her shoot. In between they texted and aly made sure she was on time. He kept repeating the time.

Jas in between called him

J: Hello..

A: Hello break hua ?

J: Ha. Lunch kar rahi hu. Tune kiya?

A: Ha maine kar liya.
(Wo kaise bhool skte h🙂)

J: Chal accha h..

A: Yaad h na ki....

J: Ha baba yaad h ki late nhi hona h aur time pe aana h aur kapde bhi le liye h aur bag bhi saath me hai. Aur 6 baje tak pohch jaungi.

A: Ye kya meri baat mujhe hi bata rahi hai

J: Ha itni baar bol chuka h to of course yaad ho gyi h mujhe.

Aly giggled a bit.

A: Accha chal thik h tu Khaale and fir

J: Aajaungi.

A: Ha

J: Bye

A: Bye.

She cuts the call.

And finishes her shoot. It was 5 by now. She was almost done. By 5:15 she left for Aly's house.

She reached at his place.

J: Aagyi mai

A: Oh nice

J: Mai kya pagal hu jo bhool jati

A: Nahi nahi. Aaj to jaldi Aagyi. Very nice.

J: Ha I m nice
(Woahhh Woahhh Woahhh)

A: Chal ab muh wuh dhole fir nikalte h.

J: Ha mai aayi.

She freshened up and aly packed his remaining stuff.

J: Chal

A: Ho gya?

J: Ha

A: Thik hai chal

They both left and sat in the car.
(Ha mai sirf jasly ko bhej rhi hu)

Aly started playing songs and singing it

J: Gaane meri nayi dushman hai. Mujhse baat karne k bajaye gaana ga rha h. Isse accha rahul tha.
(Aap galat fehmi me ho rahul thik nhi)

Aly laughed at her cuteness.

A: Attention chahiye kisiko. Gaane bhi to mood k liye lagaya hu na.

J: Mere se baat karke mood accha nahi rehta tera.

A: Ab tu gaane se bhi jealous hogi.

J: Hatt kutta isse accha mai piche baithke so jati hu.

A: Abe pagal h kya. Tere liye hi to h ye pyaara sa gana. Tu piche jayegi to gaane ka kya fayda.

He held her hand and kissed it and she smiled.

J: Kutta h tu
(Rambo, mia - Aur hum jordan)

Aly giggled.
.
.
.
That's it

Lame question

Kal sabse zaada kon pagal hua tha?😂

A). Jasly qki itna kuch jasly mila🧿🧿🧿
B). Mai aki it was a roller coaster ride. Phew😂😂
C). GC k log, mere se zaada pagal after jas replied 😂🤭
D). Wo log jo No daba rahe the aur jinki jal rahi thi. Aak thu🤭🤭
.
.
.
THANK YOU

PEACE 🤍

JASLY 🤍🦁- IT ALL STARTED WITH FRIENDSHIPWhere stories live. Discover now