Hand Of Help

1.7K 91 29
                                    

Heyy Guys!! No I am not publishing before completion of Target. I just gave that target, because I was not sure if I may get a nice internet here. Anyways..let's get back to our story. 

Kahani ab tak : Ishita ki sagaai tay hui hai. Dushyant ko apne pyaar ka ehsaas hota hai. Purvi madad karne aati hai to Kavin uspe chillata hai.


Ab aage:

Purvi – Ab bhi bohot kuch ho sakta hai sir.

Kavin (hiding Dushyant) – Purvi tum? Kya? Kya ho sakta hai? Aur tum kya chup chup ke humari baatein sun rahi thi? I never expected this from YOU! PURVI... This is DISGUSTING! Kisi aur ki baatein chup chup ke nahi sunni chahiye, uski ijajat ke bina nahi sunni chahiye. Itne manners nahi sikhai hai maa-baap ne?

Dushyant (rubbing his eyes) – Kavin..Kya bol raha hai? Limit me reh..

Purvi (with anger in her eyes, but controlling her emotions) – Nahi sir..mai aapki baate sunne nahi par jo file aap study karne nikle wo meri desk par thi. Mujhe laga aapko dedu. Isliye yaha aai thi.

Purvi gives the file to Kavin and leaves..but then..

Dushyant (with a fake smile on his face) – Ruko Purvi.Pehle to Kavin ki aur se mai Sorry bolta hu. Aur.. Mujhe nahi pata tumne kya suna. Aur tumne mujhe shayad judge bhi kiya ho. Jo kuch ho. Ye baat hum teeno ke beech hi rehni chahiye. Aur aage se hum teeno is baat ko bhul jayege. Okay?

Purvi – Dushyant sir aap..

Kavin – Purvi tumne suna nahi Dushyant ne kya kaha? Either say yes or leave!

Dushyant – Kavin. Please shaant ho ja... Purvi?

Purvi – Sir please aap meri baat sunege?

Dushyant sees Kavin and nods his head in yes

Purvi – Sir..sagaai ko ab bhi 20 din hai.

Dushyant – To?

Purvi – Sir mujhe nahi lagta ki Ishita is sagaai se khush hai.

Kavin – Matlab?

Purvi ignores him and talks with Dushyant

Purvi – Sir..mai jitna Ishita ko jaanti hu..wo arrange marriages me believe nahi karti. Use humesha se love marriage karni thi. Ek insaan jise wo khud se jyada jaanti hai. Jo uski kaabiliyat par apne aap se jyada wishwash karta hai. Jo uske decisions me uska support karta ho. She always waited for that one sir. Shayad usne mamaji ke pressure me ha kaha hai.

Dushyant – Par jo bhi ho. Uski sagaai to ho rahi hai na?

Purvi – Par sir..kya wo khush rahegi? Is duty se dur jake..aapse dur jaake?

Kavin (with a glow of happiness in his eyes) – Do you mean ki

Purvi (ignoring Kavin again) – Sir..mujhe confirm to pata nahi hai..par shayad Ishita bhi..

Dushyant (with hopes) – Purvi agar aisa hai to usne ab tak bataya kyu nahi?

Purvi – Sir aapne kyu nahi bataya?

Dushyant – Kyuki..mujhe...

Purvi – Abhi abhi realise hua? Shayad use abhitak realise hi nahi hua hai. Sir agar uske aankho me maine Khushi dekhi hoti to mai aapki help karne nahi aati. Mai bhul bhi jaati hum teeno ke beech ki ye baat. Par she's sad sir. Iska matlab hai ki uske dil me koi aur hai..aur shayad use pata nahi. Ekbaar sagaai ho gayi to koi kuch nahi kar payega.

Dil_Will_Pyaar_VyaarWhere stories live. Discover now