dar e yaar (1)

30 2 2
                                    

" bhai aap papa ko kyu kuchh nhi kehrhe matlab hum ab waha us chhote se gaon mai rhege ? Had hoti hai pagal pan ki bhi ".

Zain musalsal uktahat ka shikaar tha achha khaasa mumbai main rehte they khush bhaash aur dosto ke bich free.
  
Achanak hi papa ne gao jaakr humesha ke liye bas jane ka faisla kar daala tha jis par uske bhai ne bhi saath diya isi liye ab wo apne jaan se ajeej bhai se behes karne aa pahocha tha..

" Pehli baat waha aap sab rahoge mai nhi mujhe buissness ke silsile mai aana jaana padega aur...
Wo aur kuchh kehta tabhi zain ne uski baat kaati jis par wo ghoor kar usey dekhne lga ...

"Ye kya zulm hai bhai mai bhi aapke saath yahi rahuga me nhi jaaarha waha gao aur gawaro ke beech mai "
Zain ne muh bnaya kar bezaari se kaha.

" Tameez se kaho zain bhulo mat humare papa bhi gao ke hi hai aur yaha se ek din humne jana hi tha aur dusri baat wo wesa gao nhi hai jesa shayad tum samjh rahe ho "
Usne zra sakht aur tanbiya lehze mai kaha

"Lekin bhai "
Zain ne kuchh kehna chaha ...

"Bss bahot hua zain maine apni baat kardi ab ye tum par depend karta hai ke tum meri baat manoge ya nhi"
Wo keh kar ruka nhi !!

"Aap ka kaha nhi taal sakta main "
Zain bezaari se sar jhatak kar minminaaya..

__________________________________________

Layak sahab ko allah ne chaar adad beto se nawaja tha ....
Jinki shadiya hote hi sbne apne apne kaam sambhal liye ..
Bade bete hasan aur sabse chhote bete hakim apni apni biviyo ke saath sheher chale gye jaha wo dono saath mai rehte they...
Jabke manjhle dono bete hamid aur umar yahi baap ke sath gao mai reh gye..
Waqt ke saath saath unka parivaar badhta gya layak sahab to is duniya e faani se koch kar gye magar chaaro bhaiyo ke bich jo ithaad aur mohabbat thi wo aaj bhi qayam thi ...
Ab jab sab apni jagah sahi hochuka tha aur bacche bhi ab jawan hochuke they to kaii saalo baad hasan aur hakim ne apne parivaar apne beto aur betiyo ko lekar waps apne aabaii gao aur haveli jaane ka faisla karliya jis par ye sheher mai pale bade aur paida huye unke bacche muttafaq nhi they unki najar mai gao aur bastiyao ka kuchh alag ki khaaka bana hua thaa ...

__________________________________________

"Ug mera to zra bhi man nhi gao main reh kar gawar banne ka " nadiya nakhuwat se packing karte huye muh bna kar boli...
Jis par baaki dono uski janib mutawajja huii

" Gawar aur jahil to log shaher mai reh kar bhi ban jate hai "
Nida nakhuno ki tarash kharaash karti hui boli usey kuchh khaas masla nhi tha waha jaane se

" Ab ye to hargiz mat kehna ke tum bhi gao jaakr saalo se bichhde huye humare rishtedaaro se milne chahti ho "
Wo tanziya andaaz mai apne shaano tak aate brown baalo ko jhatakte huye boli

"Magar mai to jaana chahti hu "
Naazi muskura kar apne kapde press karte huye boli to usne gusse se apni chhoti behen ko dekha .

"Tum to ho hi jaahil gawar waha hi paida hoti fir humare hi naseeb mai padi thi "
Wo ab apna bag band kar rhi thi . Naazli ne khafgi se usey dekha aur huhh karke reh gyi apni badtameez behen ko wo kuchh keh bhi nhi sakti thi.

" Waha humare cousins bhi hoge pta nhi kese hoge " nida kuchh toquf ke baad boli tum nadiya ne chamakti aankho se usey dekha ..

Hubun Majnoon~Where stories live. Discover now