( 2 )

3 0 0
                                    

Aaj wo sab gao ke liye nikal rahe they.....
Jab ke kabeer 2 se 3 din mai company ke kuchh kaam nipta kar jaane wala thaa..

Zain yaha rukna chahta tha lekin wo kabeer ka kaha taal nhi skta tha so munh latkaye front seat par betha tha..

Uska muh phula dekh jar kabeer ki hansi nikal gyi

" Ye ruthi haseena jesa bethne se kya hoga jana to tumne hai hi "
Usne muskurate huye apni neeli aankho ko us par gaadhe kaha
Zain ne mazeed muh phulaya

" Aap se naraz hu mai bhai aap nainsaafi karrhe hai " zain sedu sa muh bnaye bola

Abhi kabeer kuch kahne lga tha tabhi hasan aur hakim sahab samait ghar ki aurte nikalti dikhayi di
" Tumhari narazgi waha aakr dururst karuga "
Wo muskura kar kehta un sab ki janib badh gya
Zain pichhe badbdya...

Kuchh hi der mai unki gaadiyan apne safar par gaamjan thi...
Kabeer bhi ready tha so unke pichhe hi office ke liye nikal gya...

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Idhar haveli mai tayyaria apne urooj par thi..
Ghar ke aurate kitchen mai ghusi khane ke intezaam mai masroof thi
Jabke ladkiya apme kamre mai ghusi khud ki tayyario mai
Dono Ladke aur hameed sahab bahar gye huye they
Tabhi 3 badi lambi chamakdaar siyaah gaadiya get se andar enter hui...

Lamz jo kabse khidki mai muh diye na jane kya talaash karrhi thi gaadiya dekhte hi cheekhi

" Baqol mohtrma aabeer umar ke shaher wale tashreef ka tokra uthaye tashreef la chuke haiiiiiii"
Wo is andaz mai cheekhti laila aur aabeer dono ko hansa gyi aur wo teeno apni tayyari par ek aankhri najar daalte niche ki janib badh gyi...

Wo sab yaha aachuke they hall mai qull 8 afraad mehman they wo teeno ek ek baari salam karti andar badi...

" Mashaallah bhai bacchiya to badi pyari hai ab hume btaye ye kon kon hai "
Taii jaan muskura kar boli lamz unke qareeb hi tik kar beth gyi thi..

" Haan bhai bilkul magar ye jarur aabeer hai humare umr ki nishaani "
Hakim sahab apni bhabi ki baat se ittefak karye huye bole..

Charo bade unhe bahot apniyat se mil rahe they wo teeno bhi purjosh si muskura muskura kar apni study wagera ka bta rhi thi wahi . ..
Nadiya ' nida aur zain khud bhi hairat ke sandar mai gota zan they wo log to koi gawar aur sharminda se cousins avccept kar the they magr yaha to mamla hi alag tha wo teeno bla ki khubsurat thi .... Magar neeli aankho wali ne jada number liye they ...wahi
Teeno mai khud aitmadi bhi saaf jhalak rhi thi...

Naazli apne sahi andaze par muskura rhi thi
Nadiya jhal bhun gyi...

Tabhi laila ne un sabko mukhatib kiya ..
" Aur taii ammi Aap bhi to humare cousins se milwaye hum ko ..."
Uski baat par Aabeer ne bhi sar hilaya. ..

" Helo I'm naazli urf naaz aur ye meri badi behen nadiya aur ye nida taya abba ki beti aur ye zain hai nida ka bada bhai jabke kabeer bhai jo sabse bade hai wo nhi aaye "
Naazli kisi ke kuchh kehne se pehle hi keh uthi uski baat par dono muskurae aur un sab se mile jabke lamz apni jagah par hi tiki thi...

"Lamz aap nhi miloge apne bhai behno se "
Chacha ne uske sar par hath rakhte huye kaha ...

" Mil to liya chachu jaruri to nahi ab jakar gale hi lagu "
Lamz apne azli beniyaz andaz mai boli nida aur nadiya ke muh ban gye jabke baki sab hand diye ..

" Lamz "
Ammi ne sakhti se usy toka ...

" Sorry "
Wo fir shaane uchkaye usi anzad mai boli .

Khana bade khushgawar mahol mai hua tha hameed chacha bhi aachuke they jabke ruhan aur ahan rat mai hi aane wale they ...

Khane ke bad sab aaram karne chale gye ...
Naazli , laila aur Aabeer ki kafi dosti hogyi thi ... Jabke lamz bhi ab ussey kafi free hogyi thi ...

_________________________________

Lamz ek aisi hasti jo laadli to sabki thi...
Haan bhai chhoti jo thi sabse ...

Magar iske saath saath uske ziddi pan , munh par bolne wali aadat aur uski shararto ki wajah se , jhaadu , glass , bailan , pochha , kanghi , laathi , hatta ke ghar ki saari cheezo se wo maar khaa chuki thi...

Jada tar ammi ke khusse se..
Aur aaj bhi yahi horha tha. .

Hall mai wo apni kisi nayii sharart ki wajh se maar khaarhi thi aur uski aawaz puri haveli mai gunj rahi thi...

Aaj mehmano ko yaha aaye 5 din hochuke they aur ab khair se wo mehman bhi na rhe they..
Jahir hai ghar ke fard they wo log humesha ke liye jo yaha aa base they...

" hahhaha isey aur maar padni chahiye kuchh jada hi smart banti hai ye.." nadiya aur baki sab young party jo sofe par hi bethe lamz ka darama dekh rhe the nadiya ke ke kehne par uski tarf dekhne lage...

" khair nadiya ... smart hai to dikhegi hi wo aur ye to chhoti he is wajh se maar khaati hai "
Laila muh bnaye boli usko apni behen ke bare me ye tabsira bardasht na hua tha..

____________________________

Hope y'all like it plzz support

Hubun Majnoon~Where stories live. Discover now