Chaandni~Part 1

258 13 15
                                    


Okay so thought to start the Wattapad journey with my IG fanfictions. Hope you all enjoy reading!! Your reviews would matter a lot!!!!

-------------------------------------------------------------------------------------------

Aadhi raat ho gyi thi aur baarish abhi abhi thami thi. Yun toh chaand ko aasmaan mein aaye ek peher beet chuki thi par wo baadalon ki oat se abhi nikla tha.

"Lekhika- Amrit Sahani Raizada." likh kar Amrit ne iss hafte ke akhbaar ke liye apni nayi kahaani khatam hi ki thi ki tabhi chaand ki chaandni kamre ke jharokhe se hote hue Amrit ke chehre par padi.

Apni mohobbat ko dekhte hi tabhi kamre mein aae Rai Sahab bol pade,"Jab humare chaand ke chehre par us chaand ki chaandni padi toh aisa laga ki maano dharti par farishta utar aya hai!" Wo apni Amrit ko aise nihaar rahe the ki jaise wo chaandni mein doobe kamal ko nihaar rahein hon.

Unhe dekh Amrit sharmai, thoda muskurai aur jaake jharokhe ke paas khadi ho gyi. Uska yun sharmana Rai Sahab ke dil ko aaj bhi ghayal kar hi deta tha.

Khidki ke bahar mitti ki bheeni-bheeni khushboo maano jaadu saa chala rahi thi, tabhi ek thanda hawa ka jhoka waha se guzra. Amrit shawl lene hi waali thi ki tabhi Rai Sahab peeche se aae aur unhone apni Amrit ko apni baahon mein le liya.

"Randheer, kya kar rahe hain aap?" apni thami hui saason ko sambhalte hue Amrit ne pucha.

"Apni patni ko apni baahon mein leke in sukoon bhari hawaon ko mehsoos kar raha hoon", Rai Sahab ne apna sir Amrit ke kaandhe pe rakhte hue kaha.

"Aapko pata hai humare vyah se pehle aise hi ek raat baarish hui thi, maine aur Vashma ne puri raat baatein ki thi aur baaton hi baaton mein maine ek chota sa khwaab dekha tha!", Amrit ne ek halki muskaan ke saath kaha.

"Kya tha wo khwaab?", Rai Sahab ne Amrit ki oar dekh kar puucha.

"Khwaab.....", yeh kehkar Amrit kuch samay ke liye apne khayaalon mein kho gyi.

"Bataiye na Amrit!", bolte hue Randheer ne Amrit ko uske khayaalon se bahar nikala.

Ek halki muskaan ke saath Amrit ne phir Rai Sahab ki utsukta ka anth kiya," Wo khwaab kuch yun tha ki..."

Jaise hi Rai Sahab ne Amrit ki puri baat suni unke chehre par bhi unki wo man moh lene waali muskurahat aa gyi! Wo bol pade," Chaliye Amrit!!"

"Iss waqt, kahan Randheer?", Amrit ne ghadi ki oar dekhte hue kaha. "Aapka khwaab pura karne", Randheer ne Amrit ki taraf dekhte hue bola.

"Randheer! Aapne toh meri zindagi ke sabse bade khwaab pure kiye hain. Logon ka mujhe ek acchi lekhika ke roop mein janana, humara saath hona. In sab ke muqable yeh khwaab toh bas...." Isse pehle ki Amrit iske aage kuch keh paati, Randheer uske paas aaye aur uske hoton pe ungli rakhte hue bole," Shhh, Amrit aapka chote se chota khwaab pura kar paana mujhe kitni khushi deta hai yeh aap nahi jaanti. Aapka har khwaab pura karna na sirf mera vaada hai balki meri khushi bhi! Aap bas chaliye mere saath!"

Randheer ki baat sunte hi maano Amrit ke sab jasbaat umad pade hon. Uski aankhon se ek aasu zameen pe girne hi waala tha ki Randheer ne uske pochte hue kaha," Aapko yaad hai na Raanjhan ne apni kahani mein kya likha tha, kudiyon ki annkhon mein aasu kabhi nhi aane chahiye."

Yeh sunkar Amrit ne Randheer ko gale laga liya aur kaha," Shukriya Randheer, mujhse itna pyaar karne ke liye. Mere jeevan saathi banane ke liye."

Apne pyaar ke sar pe haath rakhte hue Rai Sahab bole," Nahi Amrit shukriya toh mujhe kehna chahiye aapko ki aap meri zindagi mein aayin! Accha chaliye ab, aaiye mere saath!"

Itna kehke Rai Sahab ne Amrit ko apni baahon mein utha liya aur chaat ki oar chal diye.

ChaandniWhere stories live. Discover now