Chaandni~Part 2

168 13 12
                                    

Darwaza paar kar jaise hi Randheer Amrit ke saath chat par aaye waise hi hawaon mein jaise ek khoobsurat rumani itr sa ghul gya. Unhone Amrit ko chat ki ek oar rakhi kursi par baitha diya, unhe unki pasandida kitab "Pyaar aur Parivar" thamai aur bole, "Bas pandra minute mein banda phir haazir hoga", aur wapas neeche ki oar chal diye.

Agle pandra minute Rai Sahab upar se neeche aur neeche se upar kuch na kuch saaman ke saath chakkar lagate rahe aur apni pasandida kitaab paas hone ke bawajood Amrit ne apne khayaalon mein wo waqt guzaara..... Randheer kya kar rahe honge, Kya main jaake dekhoon, Nahi nahi intezaar karti hoon, Wo mujhse kitna pyaar karte hai.....Amrit yeh sab sooch hi rahi thi ki Randheer aaye aur apna haath badhate hue bole," Aayie Amrit Sahani Raizada aapko aapke khwaab ka hakikat mein parivartan dikhaen." Amrit ne Randheer ko apna haath diya, doosre haath se Randheer ne unki aankhein band ki aur wo unhe chat ki doosri oar le gaye.

"Ummeed karta hoon ki meri Amrit ke har khwaab ko pura karne ke vaade ko nibhane ki meri yeh koshish aapko pasand aayegi!", yeh kehte hue Randheer ne apna haath dheere dheere Amrit ki aankhon se hataya.

Amrit ne jaise hi aankhein kholi unse jhalakti khushi ki chamak ke saamne toh chaand bhi feeka lag raha tha. Unhone Randheer ko gale se laga liya aur unki aankhon se behte aasuon ne unki khushi ko bakhoobi bayan kar diya.

Wahan deewar se lag kar ek kaaleen bicha hua tha, do sirahne the, aaspas safed phool, aur ek gramophone. Randheer Amrit ke saath jaakar kaaleen par baith gye aur gramophone par ek gaana baja diya. "Yahi tha na aapka khwaab Amrit ki shaadi ke baad chaandni raat mein aap apne jeevan saathi ke saath in sukoon bhari hawaon ke beech baith kar, unke kaandhe par sir rakh kar yeh gaana sunengi aur puri raat yunhi apne saath ke liye apni kismat likhne waale ka sukhriya ada karengi!", Randheer ne apna haath Amrit ke kaandhe par rakhte hue kaha.

Amrit ne Randheer ke kaandhe par apna sir rakhte hue uttar diya," Haan Randheer, yahi khwaab dekha tha maine. Par tab main yeh nahi jaanti thi ki aap mere jeevan saath banenge aur mere har khwaab ko itni ahemiyat denge!"

Un dono ke dil mein basi khushi aur sukoon unke chehre par jhalak raha tha. Gramophone par gaana sunte sunte yunhi Rai Sahab gaane ke bol dohrane lage aur unke man mein aaye ek prasn ko Amrit se saajha kiya. "Aapne issi gaane ko kyun chuna Amrit?", unhone apni patni ke sir par haath pherte hue pucha.

"Yeh gaana isliye kyunki mummy ji hamesha kehti thi ki humare jeevan saathi kon hoga yeh aasmano se tay hokar aata hai. Dharti pe toh bas khojna, milna, janana ya paana hota hai! Aapko pata hai jab humari baat sirf chitthion se hua karti thi, aap Ranjhan ko chitthian bhejte the, kahi na kahi maine tabhi se aapko aapna jeevan bhar ka saathi maan liya tha!", Amrit ne Randheer ki aankhon mein dekhte hue uttar diya.

Wo dono muskurae aur aankhein band kar aapne saath ki khushi ko mehsoos karte hue wahi gana gungunane lage.

Rumani mahol, chaandni raat, AmDheer aur aaspaas goonjte yeh bol,

"Tera mujhse hai pehle ka naata koi, yunhi nhi dil lubhaata koi!"

maano rab ne mohobbat ki tasveer si bana ho!!

×××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××××

P.s. The song was released in 1973, I've assumed it to present in 1940s.

ChaandniWhere stories live. Discover now