MERE MUKHIJI

176 26 6
                                    

Evening time:
Dhwani returns from the school... Aaj bhi pure din kisi na kisi tareeke se Mukhiji aur unke dono bachche Dhwani ke soch mein the... Khud hi kuch chauk si gayi thi wo... Jaise hi wo ghar mein pahunchi Nani aur Chandani didi ki kuch baatein usse sunai di...
N: Chandani, tu jo un Mukhi ke saath shadi ke khwab dekh rahi hai na pehele usse band kar dein... Ek to unke 4 bachche hain aur unke gaav ke,unke area ke logo ke baare mein jo baatein maine jaani hai saari ajeebo-garib hai...
C: Ajeebo-garib...? Matlab Nani...?
N: Maine suna hai ke unke ilaake mein shaadi ke liye ladkiya paise dekar, mol dekar kharid kr layi jaati hai... Kyaa kehte hai use...? MOL KI DULHAN - MOLKKI... Unki shaadi kisi adhed umr ko mard ke saath lagayi jaati hai... Wo apni molkki ko pair ki jooti ki tarah rakhata hai... Kabhi kabhi to ghar ke baki mard unn molkkiyon ka fayda bhi uthate hai... Suna hai un Mukhi ne bhi khudke liye ek Molkki layi thi.... Pata nhi uske saath kisne kaisa bartaav kiya hoga... Ye bhi pata nhi Mukhi ne apni molkki ka saath kabhi diya bhi ya nhi... Humein to ye bhi pata nhi ke Mukhi ke dil mein auraton ke liye koi aadar bhi hai ya wo bhi nhi... ya fir ye bhi koi bade ghar ka bighdail insaan hai...Aisi history jis gaav ki ho,jin logo ki ho un logo se humein judana hi nhi chahiye tha...😣
C: Nhi Nani... Mere Chandji bahut hi acche hai... Aap jaise soch rahi ho waisa kuch nhi hai...
Suddenly she noticed that Dhwani has came from school.
C:Are Dhwani, tum kab aayi...?
Dh: Abhi di... Aap baatein kariye main fresh hoke aati hun...(and she left.)
N(self): Dhwani beta... Ye saari batein tu sunne issiliye to iss waqt chhedi thi... Ab inn baaton ko sochkar hi sahi pr tu un Mukhi se dur rahegi...

Dhwani freshens up... Ab Mukhiji, unki family aur Naniji ki baatein jaise uske dimaag mein mano dangakr rahi thi. Dh(self):Mukhiji aise nhi ho sakte jaise Nani soch rahi hai... Maine unki aankhen dekhi hai... Galati se haat bhi chhuva hai pr unka touch kabhi mujhe galat nhi laga hai... MERE MUKHIJI aise nhi hai... Naniji bss kisi bhi kahi-suni baat pr vishwas kr rahi hai...Aur ye Molkki kya hota hai...??
.
.

"Bachao,bachao..." Dhwani hears this...
Dh(self): Ye to Sushila ki awaz hai... Usse kya hua...?
Dhwani awaz ki taraf bhagi... Tab tak Nani,Chandani di, Daksh bhi aye... Ye awaz Mukhiji ke ghar ke taraf se aa rahi thi... Aur saamne jo dekha wo dekh kr sab hakke-bakke reh gaye...
Sushila bikhare baalon mein, apne kapadon ke sametate hue ghar se bahar daudi aa rahi thi... Jaise hi Naniji ko dekha wo rone lagi aur kehne lagi "Mukhiji ne mere saath jabardasti ki..."
Aur bss itne hi shabd kehke wo behosh ho gayi... Daksh ne doctor ko phone lagaya aur Naniji ne police ko... Police ne aakar hosh mein aye Sushila ki complaint le li aur Mukhiji ko girftaar karne gaye... Mukhiji to couch pe soye hue the... Police-doctor aur wo Sushila ki condition dekh ke dare hue bachche apne Baba ko police leke jayenge iss baat se baukhala gaye... Mukhiji kuch behosh se hi the... And Police took him with them... Juhi-Manas 'Baba-Baba' chillate rahein aur itni der se chup baithi Dhwani bss itna hi bol payi,
"Mukhijiiii.........."

And she just woke up from her dreams... Puri paseene se latpat ho gayi thi Dhwani abhi... Usne jald se pas mein rakha pura paani pi liya...
Dh(self): Ye nhi ho sakta... Ye bss Naniji ke baatein sun ke mujhe lag raha hai... MERE MUKHIJI aisa kabhi kr hi nhi sakte... Pr main unke baare mein itna kyu soch rahi hun...?🙁 Mujhe na Daksh se baat krni chahiye... Shayad wo mera kisi tarah Mukhiji aur Juhi-Manas se mera dhyaan hataye... Haaa...(She just stands up to go to Daksh's room to talk with him and suddenly...) Prrr... Daksh to Mumbai gaya hai... Main kaise bhul sakti hun...? Dinner krte hi airport ke nikla tha wo... To fir kisse baat kru...?
Nhi abhi soo jati hun... Kisiko itni raat pareshaan krna thik nhi hai... Daksh hota to alag baat thi...

Aur wo bss seedhe bed pe let gai...
Abhi bhi dimaag mein Naniji ke shabd aur uss sapne ki baat hi ghum rahi thi..
MERE MUKHIJI aisa nhi kr sakte yehi wo dheeme dheeme bole jaa rahi thi...
Aaj din bhar mein kitni baar usne MERE MUKHJI aise bola tha yeh shayad usehi maalum nhi tha... Accident ke baad Purvi apna saara atit khokar Dhwani bn gayi thi lekin uska dil abhibhi Mukhiji ke aaspass tha... Uski puri duniya ka maano Mukhiji ke irdgird hi thi... Unka Pati-Patni ka rishta mukkammal nhi tha shayd... Pr haaa koi dor thi jo unhein baandhe rakhi thi... Bahut si utar-chadhaon se gujra tha ye rishta... Prr aaj Dhwani ke pass Purvi ki koi baat nhi thi sivay  MERE MUKHIJI inn do shabd ke... Aur iss beshkimati cheez ki jaankari khud Dhwani ko hi nhi thi....

Next Morning:
J&M came and asked..."Naniji,Haathi kaha hai...? Wo humien aaj school ke liye ready hone mein help krne aanewali thi..."
C: Bachcho... Main batati hun... Nani ko mandir jaane do... Tum yaha aao... (J&M went to her) Waise to Dhwani itni der soti nhi hai... Pr pata nhi aaj kyu itni soyi hai... Main abhi usse uthane jaa hi rahi thi... Prr ab tum dono jaake uthao apni Haathi ko... Tab tak mai apne Chandji aur unke taaron ke liye kuch breakfast bamati hun..
J:Yeee Chand aur taare kon hai...?😅 Aur ye breakfast kaise karenge...?😁
C:Jaao tum apni Haathi ko uthao... Badmash bachche...😊
J&M run towards Dhwani's room and open the door... Dhwani ko sota dekh dono uske pass jaake usse uthane ki koshish karane lage... Pr Dhwani ke haat,sir garam the...
J:Manas, lagata hai Haathi ko fever aya hai... Chalo jaldi Baba ko batate hai...
Aur wo ghar ki taraf bhaagte hue gaye...
"Baba, Haathi ko fever aya hai..."-Juhi
"Haaa Baba, jaldi doctor uncle ko bulao"- Manas
M:Haa main abhi phone karata hun... Tab tk tum dono Daksh ke ghar mein batao... Main abhi ata hun...
Mukhiji called doctor and went to Daksh's house. Tab tk J&M ne ye baat Chandani di ko batayi...
C: Daksh aur Naniji bhi ghar pe nhi hai... Ab main kya kru...?
M:Aap chinta mt kijiye... Maine Doctor saab ko bulaya hai... Wo aate hi honge...
C:Thank you,Mukhiji...
In 10 minutes, doctor arrived...
Sab log ab Dhwani ke room mein the...
J&M dare-sehme se Mukhiji ke pass khade the...Doctor ne Dhwani ko check kiya aur ek injection bhi laga diya.
M:Ke baat hui hai Doctor sahab...? Dhwaniji ko yun achank se bukhar...?Dr: Ye normal bukhar nhi hai Mukhiji, inhone jarur kisi baat ka stress liya hai... Kisi baat se Dhwani bahut pareshaan hai... Aur unki accident ki history dekhte hue unka aisa stress lena bilkul bhi achcha nhi hai... Waise Mr. Daksh kaha hai...? Maine unhe inn sab baton ke baare mein bataya tha...
C:Ji wo kisi kaam se Mumbai gaya hai...
Aur jitna main jaanti hun Dhwani ko stress ho aisi koi baat inn dino ghar mein hui nhi hai... Uske past ke baare mein humne to sochna hi band diya hai... Aisi koi baat chhidi hi nhi...
D:Thik hai... Maine injection di hai... Baki ke medicines main ek nurse ke saath bhej deta hun... Wo yaha din bhar rahengi aur Dhwani ke baare mein mujhe inform karati rahengi... Tab tak aap namak ke pani ki pattiyan rakho unke sir pr... Thodi help ho jayegi bukhaar utrane mein...
C:Ji jaroor...Thank you Doctor...
Mukhiji aur J&M Dhwani ki ye haalat dekh ke mano sunn se ho gaye the....
Kisi ke samajh mein nhi aa raha tha ke ye kisi baat ka stress tha... Bsss Dhwani khud ye jaanti thi ke Mukhiji ke baare mein- jisse usne din kai baar anjaane mein hi MERE MUKHIJI kehke pukara tha- unke baare mein jo kuch bura bhala bola gaya tha uska uske dilo-dimaag ne stress liya tha... Ya shayad wo khud bhi ye nhi jaanti thi...

To be continued...

MolkkiWhere stories live. Discover now